Surah Al-Araf Verse 155 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafوَٱخۡتَارَ مُوسَىٰ قَوۡمَهُۥ سَبۡعِينَ رَجُلٗا لِّمِيقَٰتِنَاۖ فَلَمَّآ أَخَذَتۡهُمُ ٱلرَّجۡفَةُ قَالَ رَبِّ لَوۡ شِئۡتَ أَهۡلَكۡتَهُم مِّن قَبۡلُ وَإِيَّـٰيَۖ أَتُهۡلِكُنَا بِمَا فَعَلَ ٱلسُّفَهَآءُ مِنَّآۖ إِنۡ هِيَ إِلَّا فِتۡنَتُكَ تُضِلُّ بِهَا مَن تَشَآءُ وَتَهۡدِي مَن تَشَآءُۖ أَنتَ وَلِيُّنَا فَٱغۡفِرۡ لَنَا وَٱرۡحَمۡنَاۖ وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلۡغَٰفِرِينَ
Aur usne apni qaum ke satter (seventy) aadmiyon ko muntakhab kiya taa-ke woh (uske saath) hamare muqarrar kiye huey waqt par haazir hon. Jab in logon ko ek sakht zalzale ne aa pakda to Moosa ne arz kiya “ aey mere sarkar, aap chahte to pehle hi inko aur mujhey halaak kar sakte thay, kya aap us kasoor mein jo hum mein se chandh nadano ne kiya tha hum sab ko halaak kar denge? Yeh to aap ki daali hui ek aazmaish thi jiske zariye se aap jisey chahte hain gumrahi mein mubtila kardete hain aur jisey chahte hain hidayat baksh dete hain. Hamare sarparast to aap hi hain, pas humein maaf kardijiye aur humpar reham farmaiye. Aap sabse badhkar maaf farmane waley hain