Surah Al-Araf Verse 32 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Arafقُلۡ مَنۡ حَرَّمَ زِينَةَ ٱللَّهِ ٱلَّتِيٓ أَخۡرَجَ لِعِبَادِهِۦ وَٱلطَّيِّبَٰتِ مِنَ ٱلرِّزۡقِۚ قُلۡ هِيَ لِلَّذِينَ ءَامَنُواْ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا خَالِصَةٗ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۗ كَذَٰلِكَ نُفَصِّلُ ٱلۡأٓيَٰتِ لِقَوۡمٖ يَعۡلَمُونَ
aap farmaiye ke Allah ta’ala ke paida kiye hoye asbaabe zeenath ko, jin ko us ne apne bandho ke waaste banaaya hai aur khaane pine ki halaal chizo ko, kis shaqs ne haraam kiya hai? aap keh di jiye ke ye ashya is taur par ke qayaamath ke roz qaalis hogi ahle imaan ke liye, dunyaawi zindagi mein momino ke liye bhi hai, hum isi tarah tamaam ayaath ko samajh-daaro ke waaste saaf saaf bayaan karte hai