Surah Al-Adiyat - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
وَٱلۡعَٰدِيَٰتِ ضَبۡحٗا
Kasam hai un (ghodon) ki jo phunkare marte hue dhaudte hai
Surah Al-Adiyat, Verse 1
فَٱلۡمُورِيَٰتِ قَدۡحٗا
Phir (apne tapon se) chingariyan jhaadte hain
Surah Al-Adiyat, Verse 2
فَٱلۡمُغِيرَٰتِ صُبۡحٗا
Phir subah sawere chapa marte hain
Surah Al-Adiyat, Verse 3
فَأَثَرۡنَ بِهِۦ نَقۡعٗا
Phir is mauke par gard o gubar udatey hai
Surah Al-Adiyat, Verse 4
فَوَسَطۡنَ بِهِۦ جَمۡعًا
Phir isi halat mei kisi majmey ke andar ja ghustey hai
Surah Al-Adiyat, Verse 5
إِنَّ ٱلۡإِنسَٰنَ لِرَبِّهِۦ لَكَنُودٞ
Haqiqat yeh hai ke Insan apne Rubb ka bada nashukra hai
Surah Al-Adiyat, Verse 6
وَإِنَّهُۥ عَلَىٰ ذَٰلِكَ لَشَهِيدٞ
Aur woh khud is par gawah hai
Surah Al-Adiyat, Verse 7
وَإِنَّهُۥ لِحُبِّ ٱلۡخَيۡرِ لَشَدِيدٌ
Aur woh maal-o-daulat ki muhabbat mei buri tarah mubtala hai
Surah Al-Adiyat, Verse 8
۞أَفَلَا يَعۡلَمُ إِذَا بُعۡثِرَ مَا فِي ٱلۡقُبُورِ
To kya woh us waqt ko nahin janta jab qabron mein jo kuch (madfun) hai usey nikal liya jayega
Surah Al-Adiyat, Verse 9
وَحُصِّلَ مَا فِي ٱلصُّدُورِ
Aur seeno mein jo kuch (makhfi) hai usey baramad karke uski jaanch padtal ki jayegi
Surah Al-Adiyat, Verse 10
إِنَّ رَبَّهُم بِهِمۡ يَوۡمَئِذٖ لَّخَبِيرُۢ
Yaqeenan unka Rubb us roz unse khoob bakhabar hoga
Surah Al-Adiyat, Verse 11