Surah Hud Verse 27 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Hudفَقَالَ ٱلۡمَلَأُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِن قَوۡمِهِۦ مَا نَرَىٰكَ إِلَّا بَشَرٗا مِّثۡلَنَا وَمَا نَرَىٰكَ ٱتَّبَعَكَ إِلَّا ٱلَّذِينَ هُمۡ أَرَاذِلُنَا بَادِيَ ٱلرَّأۡيِ وَمَا نَرَىٰ لَكُمۡ عَلَيۡنَا مِن فَضۡلِۭ بَلۡ نَظُنُّكُمۡ كَٰذِبِينَ
jawab mein uski qaum ke sardar, jinhon ne uski baat maanne se inkar kiya tha, bole “ hamari nazar mein to tum iske siwa kuch nahin ho ke bas ek Insaan ho hum jaise, aur hum dekh rahey hain ke hamari qaum mein se bas un logon ne jo hamare haan arazil thay(adna darje / lowliest) be-soochey samjhey tumhari pairwi ikhtiyar karli hai. Aur hum koi cheez bhi aisi nahin patey jis mein tumlog humse kuch badhey huye ho. Balke hum to tumhein jhoota samajhte hain”