Surah Hud Verse 7 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Hudوَهُوَ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ فِي سِتَّةِ أَيَّامٖ وَكَانَ عَرۡشُهُۥ عَلَى ٱلۡمَآءِ لِيَبۡلُوَكُمۡ أَيُّكُمۡ أَحۡسَنُ عَمَلٗاۗ وَلَئِن قُلۡتَ إِنَّكُم مَّبۡعُوثُونَ مِنۢ بَعۡدِ ٱلۡمَوۡتِ لَيَقُولَنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّا سِحۡرٞ مُّبِينٞ
Aur wahi hai jisne aasmano aur zameen ko chey (six) dino mein paida kiya jabke issey pehle uska arsh pani par tha taa-ke tumko aazma kar dekhe tum mein kaun behtar amal karne wala hai. Ab agar (aey Muhammad) tum kehte ho ke logon, marne ka baad tum dobara uthaye jaogey, to munkireen fawran bol uthte hain ke yeh to sareeh jaadugari hai