Surah Yusuf Verse 21 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Yusufوَقَالَ ٱلَّذِي ٱشۡتَرَىٰهُ مِن مِّصۡرَ لِٱمۡرَأَتِهِۦٓ أَكۡرِمِي مَثۡوَىٰهُ عَسَىٰٓ أَن يَنفَعَنَآ أَوۡ نَتَّخِذَهُۥ وَلَدٗاۚ وَكَذَٰلِكَ مَكَّنَّا لِيُوسُفَ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلِنُعَلِّمَهُۥ مِن تَأۡوِيلِ ٱلۡأَحَادِيثِۚ وَٱللَّهُ غَالِبٌ عَلَىٰٓ أَمۡرِهِۦ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعۡلَمُونَ
Misr (Egypt) ke jis shaks ne usey khareeda usne apni biwi se kaha, “isko acchi tarah rakhna, baeed nahin ke yeh hamare liye mufeed(useful) sabit ho ya hum isey beta bana lein”.Is tarah humne Yusuf ke liye us sar-zameen mein qadam jamane ki surat nikali aur usey maamla fahmi ki taleem dene ka intezam kiya. Allah apna kaam karke rehta hai, magar aksar log jantey nahin hain