Surah Yusuf Verse 25 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Yusufوَٱسۡتَبَقَا ٱلۡبَابَ وَقَدَّتۡ قَمِيصَهُۥ مِن دُبُرٖ وَأَلۡفَيَا سَيِّدَهَا لَدَا ٱلۡبَابِۚ قَالَتۡ مَا جَزَآءُ مَنۡ أَرَادَ بِأَهۡلِكَ سُوٓءًا إِلَّآ أَن يُسۡجَنَ أَوۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Aakhir e kaar Yusuf aur woh aagey peechey darwaze ki taraf bhaage aur usne peechey se Yusuf ka kamees (khinch kar) phadh diya , darwaze par dono ne uske shohar ko maujood paya.Usey dekhte hi aurat kehne lagi, “ kya saza hai us shaks ki jo teri gharwali par niyyat kharab karey? Iske siwa aur kya saza ho sakti hai ke woh qaid kiya jaye ya usey sakht azaab diya jaye”