Surah Yusuf Verse 43 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Yusufوَقَالَ ٱلۡمَلِكُ إِنِّيٓ أَرَىٰ سَبۡعَ بَقَرَٰتٖ سِمَانٖ يَأۡكُلُهُنَّ سَبۡعٌ عِجَافٞ وَسَبۡعَ سُنۢبُلَٰتٍ خُضۡرٖ وَأُخَرَ يَابِسَٰتٖۖ يَـٰٓأَيُّهَا ٱلۡمَلَأُ أَفۡتُونِي فِي رُءۡيَٰيَ إِن كُنتُمۡ لِلرُّءۡيَا تَعۡبُرُونَ
badshah ne kaha main ne qwaab mein dekha hai ke saath mooti taazi farba gaaye hai jin ko saath laaghar dobli patli gaaye kha rahi hai aur saath baaliya hai hari hari aur dosri saath bilkul khushk, aye darbaariyo! mere is qwaab ki tabeer batlaao agar tum qwaab ki tabeer de sakte ho