Surah Yusuf Verse 51 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Yusufقَالَ مَا خَطۡبُكُنَّ إِذۡ رَٰوَدتُّنَّ يُوسُفَ عَن نَّفۡسِهِۦۚ قُلۡنَ حَٰشَ لِلَّهِ مَا عَلِمۡنَا عَلَيۡهِ مِن سُوٓءٖۚ قَالَتِ ٱمۡرَأَتُ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡـَٰٔنَ حَصۡحَصَ ٱلۡحَقُّ أَنَا۠ رَٰوَدتُّهُۥ عَن نَّفۡسِهِۦ وَإِنَّهُۥ لَمِنَ ٱلصَّـٰدِقِينَ
Is par baadshah ne un auraton se dariyaft kiya “tumhara kya tajurba hai us waqt ka jab tumne Yusuf ko rujhane(entice) ki koshish ki thi?” Sab ne ek zubaan hokar kaha “haasha lillah! (God protect us), humne to usmein badhi(evil) ka shaiba tak na paya.” Azeez ki biwi bol uthi, “ab haqq khul chuka hai, woh main hi thi jisne usko phuslane ki koshish ki thi. beshak woh bilkul saccha hai”