Surah Yusuf Verse 80 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Yusufفَلَمَّا ٱسۡتَيۡـَٔسُواْ مِنۡهُ خَلَصُواْ نَجِيّٗاۖ قَالَ كَبِيرُهُمۡ أَلَمۡ تَعۡلَمُوٓاْ أَنَّ أَبَاكُمۡ قَدۡ أَخَذَ عَلَيۡكُم مَّوۡثِقٗا مِّنَ ٱللَّهِ وَمِن قَبۡلُ مَا فَرَّطتُمۡ فِي يُوسُفَۖ فَلَنۡ أَبۡرَحَ ٱلۡأَرۡضَ حَتَّىٰ يَأۡذَنَ لِيٓ أَبِيٓ أَوۡ يَحۡكُمَ ٱللَّهُ لِيۖ وَهُوَ خَيۡرُ ٱلۡحَٰكِمِينَ
Jab woh Yusuf se mayous ho gaye to ek goshey mein jaa kar aapas mein mashwara karne lagey. Un mein jo sabse bada tha woh bola “tum jantey nahin ho ke tumhare walid tumse khuda ke naam par kya ahad o paiman le chuke hain, aur issey pehle Yusuf ke maamle mein jo zyadati tum kar chuke ho woh bhi tumko maloom hai. Ab main to yahan se hargiz na jaunga jab tak ke mere walid mujhey ijazat na dein, ya phir Allah hi mere haqq mein koi faisla farma de, ke woh sab se behtar faisla karne wala hai