Surah Yusuf Verse 80 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Yusufفَلَمَّا ٱسۡتَيۡـَٔسُواْ مِنۡهُ خَلَصُواْ نَجِيّٗاۖ قَالَ كَبِيرُهُمۡ أَلَمۡ تَعۡلَمُوٓاْ أَنَّ أَبَاكُمۡ قَدۡ أَخَذَ عَلَيۡكُم مَّوۡثِقٗا مِّنَ ٱللَّهِ وَمِن قَبۡلُ مَا فَرَّطتُمۡ فِي يُوسُفَۖ فَلَنۡ أَبۡرَحَ ٱلۡأَرۡضَ حَتَّىٰ يَأۡذَنَ لِيٓ أَبِيٓ أَوۡ يَحۡكُمَ ٱللَّهُ لِيۖ وَهُوَ خَيۡرُ ٱلۡحَٰكِمِينَ
jab ye us se mayoos ho gaye to tanhaai mein bait kar mashwera karne lage, un mein jo sub se bada tha us na kaha tumhe maloom nahi ke tumhare waalid ne tum se Allah ki qasam le kar poqta qaul qaraar liya hai aur us se pehle yousuf ke baare mein tum kotaahi kar chuke ho, pus main to is sar zameen se na talonga jab tak ke waalid sahab khud mujhe ijaazat na de ya Allah ta’ala mere is maamle ka faisla karde, wahi behetreen faisla karne wala hai