Surah Ar-Rad Verse 17 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Ar-Radأَنزَلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَسَالَتۡ أَوۡدِيَةُۢ بِقَدَرِهَا فَٱحۡتَمَلَ ٱلسَّيۡلُ زَبَدٗا رَّابِيٗاۖ وَمِمَّا يُوقِدُونَ عَلَيۡهِ فِي ٱلنَّارِ ٱبۡتِغَآءَ حِلۡيَةٍ أَوۡ مَتَٰعٖ زَبَدٞ مِّثۡلُهُۥۚ كَذَٰلِكَ يَضۡرِبُ ٱللَّهُ ٱلۡحَقَّ وَٱلۡبَٰطِلَۚ فَأَمَّا ٱلزَّبَدُ فَيَذۡهَبُ جُفَآءٗۖ وَأَمَّا مَا يَنفَعُ ٱلنَّاسَ فَيَمۡكُثُ فِي ٱلۡأَرۡضِۚ كَذَٰلِكَ يَضۡرِبُ ٱللَّهُ ٱلۡأَمۡثَالَ
osi ne aasmaan se paani barsaaya, phir apni apni was’ath ke mutaabiq naale beh nikle phir paani ke rele ne upar chade jhaag ko uta liya aur us cheez mein bhi jis ko aag mein daal kar tapaate hai zewar ya saaz wa samaan ke liye isi tarah ke jhaag hai, isi tarah Allah ta’ala haq wa baatil ki misaal bayaan farmata hai, ab jhaag to na kaara ho kar chala jata hai lekin jo logo ko nafa dene waali cheez hai wo zameen mein tehri rehti hai, Allah ta’ala isi tarah misaale bayaan farmata hai