Surah Ar-Rad - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
الٓمٓرۚ تِلۡكَ ءَايَٰتُ ٱلۡكِتَٰبِۗ وَٱلَّذِيٓ أُنزِلَ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَ ٱلۡحَقُّ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يُؤۡمِنُونَ
Alif laaam meeem raa
Surah Ar-Rad, Verse 1
ٱللَّهُ ٱلَّذِي رَفَعَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ بِغَيۡرِ عَمَدٖ تَرَوۡنَهَاۖ ثُمَّ ٱسۡتَوَىٰ عَلَى ٱلۡعَرۡشِۖ وَسَخَّرَ ٱلشَّمۡسَ وَٱلۡقَمَرَۖ كُلّٞ يَجۡرِي لِأَجَلٖ مُّسَمّٗىۚ يُدَبِّرُ ٱلۡأَمۡرَ يُفَصِّلُ ٱلۡأٓيَٰتِ لَعَلَّكُم بِلِقَآءِ رَبِّكُمۡ تُوقِنُونَ
ye Qur’an ki ayate hai aur jo kuch aap ki taraf aap ke rub ki jaanib se utara jata hai sub haq hai lekin aksar log imaan nahi laate, Allah wo hai jis ne aasmaano ko baghair sutuno ke buland kar rakha hai, ke tum ose dekh rahe ho phir wo arsh par qaraar pakde hoye hai, osi ne suraj aur chaand ko ma-tehti mein laga rakha hai, har ek miyaad muayyan par gasht kar raha hai, wahi kaam ki tadbeer karta hai, wo apne nashanaath khol khol kar bayaan kar raha hai ke tum apne rub ki mulaqaath ka yaqeen karlo
Surah Ar-Rad, Verse 2
وَهُوَ ٱلَّذِي مَدَّ ٱلۡأَرۡضَ وَجَعَلَ فِيهَا رَوَٰسِيَ وَأَنۡهَٰرٗاۖ وَمِن كُلِّ ٱلثَّمَرَٰتِ جَعَلَ فِيهَا زَوۡجَيۡنِ ٱثۡنَيۡنِۖ يُغۡشِي ٱلَّيۡلَ ٱلنَّهَارَۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَتَفَكَّرُونَ
osi ne zameen phaila kar bhicha di hai aur us mein pahaad aur nehre paida kardi hai aur us mein har qism ke phalo ke jode dohre dohre paida kar diye hai, wo raath ko din se chupa deta hai, yaqinan ghaur wa fikr karne walo ke liye us mein bahuth si nishaniya hai
Surah Ar-Rad, Verse 3
وَفِي ٱلۡأَرۡضِ قِطَعٞ مُّتَجَٰوِرَٰتٞ وَجَنَّـٰتٞ مِّنۡ أَعۡنَٰبٖ وَزَرۡعٞ وَنَخِيلٞ صِنۡوَانٞ وَغَيۡرُ صِنۡوَانٖ يُسۡقَىٰ بِمَآءٖ وَٰحِدٖ وَنُفَضِّلُ بَعۡضَهَا عَلَىٰ بَعۡضٖ فِي ٱلۡأُكُلِۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَعۡقِلُونَ
aur zameen mein muqtaleef tukde ek dosre se lagte lagaate hai aur anguro ke baghaath hai aur khet hai aur khajuro ke daraqt hai shaaq daar aur baaz aise hai jo be shaaq hai, sub ek hee paani pilaaye jaate hai phir bhi hum ek ko ek par phalo mein bartari dete hai, us mein aqal mandho ke liye bahuth si nishaniya hai
Surah Ar-Rad, Verse 4
۞وَإِن تَعۡجَبۡ فَعَجَبٞ قَوۡلُهُمۡ أَءِذَا كُنَّا تُرَٰبًا أَءِنَّا لَفِي خَلۡقٖ جَدِيدٍۗ أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِرَبِّهِمۡۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ ٱلۡأَغۡلَٰلُ فِيٓ أَعۡنَاقِهِمۡۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
agar tujhe tajjub ho to waaqei un ka ye kehna ajeeb hai ke kya jab hum mitthi ho jayenge to kya hum nayi paidaish mein honge? yahi wo log hai jinhone apne parvardigaar se kufr kiya, yahi hai jin ki gardano mein tauq honge aur yahi hai jo jahannum ke rehne wale hai jo is mein hamesha hamesha rahenge
Surah Ar-Rad, Verse 5
وَيَسۡتَعۡجِلُونَكَ بِٱلسَّيِّئَةِ قَبۡلَ ٱلۡحَسَنَةِ وَقَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِهِمُ ٱلۡمَثُلَٰتُۗ وَإِنَّ رَبَّكَ لَذُو مَغۡفِرَةٖ لِّلنَّاسِ عَلَىٰ ظُلۡمِهِمۡۖ وَإِنَّ رَبَّكَ لَشَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
aur jo tujh se (sazaa ki talbi mein) jaldi kar rahe hai raahath se pehle hee yaqinan un se pehle sazaaye (bataur misaal) guzar chuki hai aur beshak tera rub albatta baqshne wala hai, logo ke beja zulm par bhi aur ye bhi yaqini baath hai ke tera rub badi saqt saza dene wala bhi hai
Surah Ar-Rad, Verse 6
وَيَقُولُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَوۡلَآ أُنزِلَ عَلَيۡهِ ءَايَةٞ مِّن رَّبِّهِۦٓۗ إِنَّمَآ أَنتَ مُنذِرٞۖ وَلِكُلِّ قَوۡمٍ هَادٍ
aur kaafir kehte hai ke is par is ke rub ki taraf se koi nishani (maujeza) kyo nahi utaari gayi, baath ye hai ke aap to sirf agaah karne wale hai aur har khaum ke liye haadi hai
Surah Ar-Rad, Verse 7
ٱللَّهُ يَعۡلَمُ مَا تَحۡمِلُ كُلُّ أُنثَىٰ وَمَا تَغِيضُ ٱلۡأَرۡحَامُ وَمَا تَزۡدَادُۚ وَكُلُّ شَيۡءٍ عِندَهُۥ بِمِقۡدَارٍ
maada apne shikm mein jo kuch rakhti hai ose Allah ba-qoobi jaanta hai aur pet ka ghatna badna bhi har cheez us ke paas andaaze se hai
Surah Ar-Rad, Verse 8
عَٰلِمُ ٱلۡغَيۡبِ وَٱلشَّهَٰدَةِ ٱلۡكَبِيرُ ٱلۡمُتَعَالِ
zaaher wa poshida ka wo aalim hai (sub se) bada aur (sub se) buland wa baala
Surah Ar-Rad, Verse 9
سَوَآءٞ مِّنكُم مَّنۡ أَسَرَّ ٱلۡقَوۡلَ وَمَن جَهَرَ بِهِۦ وَمَنۡ هُوَ مُسۡتَخۡفِۭ بِٱلَّيۡلِ وَسَارِبُۢ بِٱلنَّهَارِ
tum mein se kisi ka apni baath ka chupa kar kehna aur ba awaaze buland ose kehna aur jo raath ko chupa hoa ho aur jo din mein chal raha ho sub Allah par baraabar wa yeksa hai
Surah Ar-Rad, Verse 10
لَهُۥ مُعَقِّبَٰتٞ مِّنۢ بَيۡنِ يَدَيۡهِ وَمِنۡ خَلۡفِهِۦ يَحۡفَظُونَهُۥ مِنۡ أَمۡرِ ٱللَّهِۗ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُغَيِّرُ مَا بِقَوۡمٍ حَتَّىٰ يُغَيِّرُواْ مَا بِأَنفُسِهِمۡۗ وَإِذَآ أَرَادَ ٱللَّهُ بِقَوۡمٖ سُوٓءٗا فَلَا مَرَدَّ لَهُۥۚ وَمَا لَهُم مِّن دُونِهِۦ مِن وَالٍ
us ke phairedaar insaan ke aage piche muqarrar hai jo Allah ke hukm se us ki nigehbaani karte hai, kisi khaum ki haalath Allah ta’ala nahi badalta jab tak ke wo khud ose na badle jo unke dilo mein hai, Allah ta’ala jab kisi khaom ki saza ka iraada kar leta hai to wo badla nahi karta aur sivaae us ke koi bhi un ka kaarsaaz nahi
Surah Ar-Rad, Verse 11
هُوَ ٱلَّذِي يُرِيكُمُ ٱلۡبَرۡقَ خَوۡفٗا وَطَمَعٗا وَيُنشِئُ ٱلسَّحَابَ ٱلثِّقَالَ
wo Allah hee hai jo tumhe bijli ki chamak daraane aur ummid dilaane ke liye dikhaata hai aur bhaari baadhlo ko paida karta hai
Surah Ar-Rad, Verse 12
وَيُسَبِّحُ ٱلرَّعۡدُ بِحَمۡدِهِۦ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ مِنۡ خِيفَتِهِۦ وَيُرۡسِلُ ٱلصَّوَٰعِقَ فَيُصِيبُ بِهَا مَن يَشَآءُ وَهُمۡ يُجَٰدِلُونَ فِي ٱللَّهِ وَهُوَ شَدِيدُ ٱلۡمِحَالِ
garj us ki tasbih wa taareef karti hai, aur farishte bhi us ke khauf se, wahi aasmaan se bijliya giraata hai aur jis par chaahta hai us par daalta hai, kuffaar Allah ki baabat lad jhagad rahe hai aur Allah saqt quwwath wala hai
Surah Ar-Rad, Verse 13
لَهُۥ دَعۡوَةُ ٱلۡحَقِّۚ وَٱلَّذِينَ يَدۡعُونَ مِن دُونِهِۦ لَا يَسۡتَجِيبُونَ لَهُم بِشَيۡءٍ إِلَّا كَبَٰسِطِ كَفَّيۡهِ إِلَى ٱلۡمَآءِ لِيَبۡلُغَ فَاهُ وَمَا هُوَ بِبَٰلِغِهِۦۚ وَمَا دُعَآءُ ٱلۡكَٰفِرِينَ إِلَّا فِي ضَلَٰلٖ
osi ko pukaarna haq hai, jo log auro ko us ke siva pukaarte hai, wo un (ki pukaar) ka kuch bhi jawaab nahi dete magar jaise koi shaqs apne duno haath paani ki taraf phailaye hoye ho ke us ke mu mein pad jaye halaan ke wo paani us ke mu mein pahonchne wala nahi, un munkiro ki jitni pukaar hai sub gumraahi mein hai
Surah Ar-Rad, Verse 14
وَلِلَّهِۤ يَسۡجُدُۤ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ طَوۡعٗا وَكَرۡهٗا وَظِلَٰلُهُم بِٱلۡغُدُوِّ وَٱلۡأٓصَالِ۩
Allah hee ke liye zameen aur aasmaano sub maqlooq khushi aur na khushi se sajda karti hai aur un ke saaye bhi subah wa shaam
Surah Ar-Rad, Verse 15
قُلۡ مَن رَّبُّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ قُلِ ٱللَّهُۚ قُلۡ أَفَٱتَّخَذۡتُم مِّن دُونِهِۦٓ أَوۡلِيَآءَ لَا يَمۡلِكُونَ لِأَنفُسِهِمۡ نَفۡعٗا وَلَا ضَرّٗاۚ قُلۡ هَلۡ يَسۡتَوِي ٱلۡأَعۡمَىٰ وَٱلۡبَصِيرُ أَمۡ هَلۡ تَسۡتَوِي ٱلظُّلُمَٰتُ وَٱلنُّورُۗ أَمۡ جَعَلُواْ لِلَّهِ شُرَكَآءَ خَلَقُواْ كَخَلۡقِهِۦ فَتَشَٰبَهَ ٱلۡخَلۡقُ عَلَيۡهِمۡۚ قُلِ ٱللَّهُ خَٰلِقُ كُلِّ شَيۡءٖ وَهُوَ ٱلۡوَٰحِدُ ٱلۡقَهَّـٰرُ
aap pochiye ke aasmaano aur zameen ka parvardigaar kaun hai ? keh dijiye Allah, keh dijiye kya tum phir bhi us ke siva auro ko himaayati bana rahe ho jo kuch apni jaan ke bhi bhale bore ka eqtiyaar nahi rakhte, keh dijiye ke kya andhaa aur bina baraabar ho sakta hai ? ya kya andheriya aur roshni baraabar ho sakti hai, kya jinhe ye Allah ke shareek tehra rahe hai unhone bhi Allah ki tarah maqlooq paida ki hai ke un ki nazar mein paidaish mushtaba ho gayi ho, keh dijiye ke sirf Allah hee tamaam chizo ka khaaliq hai, wo akela hai aur zabardast ghaalib hai
Surah Ar-Rad, Verse 16
أَنزَلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَسَالَتۡ أَوۡدِيَةُۢ بِقَدَرِهَا فَٱحۡتَمَلَ ٱلسَّيۡلُ زَبَدٗا رَّابِيٗاۖ وَمِمَّا يُوقِدُونَ عَلَيۡهِ فِي ٱلنَّارِ ٱبۡتِغَآءَ حِلۡيَةٍ أَوۡ مَتَٰعٖ زَبَدٞ مِّثۡلُهُۥۚ كَذَٰلِكَ يَضۡرِبُ ٱللَّهُ ٱلۡحَقَّ وَٱلۡبَٰطِلَۚ فَأَمَّا ٱلزَّبَدُ فَيَذۡهَبُ جُفَآءٗۖ وَأَمَّا مَا يَنفَعُ ٱلنَّاسَ فَيَمۡكُثُ فِي ٱلۡأَرۡضِۚ كَذَٰلِكَ يَضۡرِبُ ٱللَّهُ ٱلۡأَمۡثَالَ
osi ne aasmaan se paani barsaaya, phir apni apni was’ath ke mutaabiq naale beh nikle phir paani ke rele ne upar chade jhaag ko uta liya aur us cheez mein bhi jis ko aag mein daal kar tapaate hai zewar ya saaz wa samaan ke liye isi tarah ke jhaag hai, isi tarah Allah ta’ala haq wa baatil ki misaal bayaan farmata hai, ab jhaag to na kaara ho kar chala jata hai lekin jo logo ko nafa dene waali cheez hai wo zameen mein tehri rehti hai, Allah ta’ala isi tarah misaale bayaan farmata hai
Surah Ar-Rad, Verse 17
لِلَّذِينَ ٱسۡتَجَابُواْ لِرَبِّهِمُ ٱلۡحُسۡنَىٰۚ وَٱلَّذِينَ لَمۡ يَسۡتَجِيبُواْ لَهُۥ لَوۡ أَنَّ لَهُم مَّا فِي ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعٗا وَمِثۡلَهُۥ مَعَهُۥ لَٱفۡتَدَوۡاْ بِهِۦٓۚ أُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمۡ سُوٓءُ ٱلۡحِسَابِ وَمَأۡوَىٰهُمۡ جَهَنَّمُۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمِهَادُ
jin logo ne apne rub ke hukm ki baja aawari ki un ke liye bhalaai hai aur jin logo ne us ki hukm bardaari na ki, agar un ke liye zameen mein jo kuch hai sub kuch ho aur osi ke saath waisa hee aur bhi ho to wo sub kuch apne badle mein de de, yahi hai jin ke liye bora hisaab hai aur jin ka tikhaana jahannum mein jo bahuth bori jageh hai
Surah Ar-Rad, Verse 18
۞أَفَمَن يَعۡلَمُ أَنَّمَآ أُنزِلَ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَ ٱلۡحَقُّ كَمَنۡ هُوَ أَعۡمَىٰٓۚ إِنَّمَا يَتَذَكَّرُ أُوْلُواْ ٱلۡأَلۡبَٰبِ
kya wo ek shaqs jo ye ilm rakhta ho ke aap ki taraf aap ke rub ki jaanib se jo utaara gaya hai wo haq hai, us shaqs jaisa ho sakta hai jo andha ho, nasihath to wahi qubool karte hai jo aqal mand ho
Surah Ar-Rad, Verse 19
ٱلَّذِينَ يُوفُونَ بِعَهۡدِ ٱللَّهِ وَلَا يَنقُضُونَ ٱلۡمِيثَٰقَ
jo Allah ke ehad (wa paimaan) ko pora karte hai aur qaul wa qaraar ko todte nahi
Surah Ar-Rad, Verse 20
وَٱلَّذِينَ يَصِلُونَ مَآ أَمَرَ ٱللَّهُ بِهِۦٓ أَن يُوصَلَ وَيَخۡشَوۡنَ رَبَّهُمۡ وَيَخَافُونَ سُوٓءَ ٱلۡحِسَابِ
aur Allah ne jin cheezo ke jodne ka hukm diya hai wo ose jodte hai aur wo apne parvardigaar se darte hai aur hisaab ki saqti ka andesha rakhte hai
Surah Ar-Rad, Verse 21
وَٱلَّذِينَ صَبَرُواْ ٱبۡتِغَآءَ وَجۡهِ رَبِّهِمۡ وَأَقَامُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَأَنفَقُواْ مِمَّا رَزَقۡنَٰهُمۡ سِرّٗا وَعَلَانِيَةٗ وَيَدۡرَءُونَ بِٱلۡحَسَنَةِ ٱلسَّيِّئَةَ أُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمۡ عُقۡبَى ٱلدَّارِ
aur wo apne rub ki raza mandi ki talab ke liye sabr karte hai aur namaazo ko baraabar qayam rakhte hai aur jo kuch hum ne unhe de rakha hai ose chupe khule kharch karte hai aur boraai ko bhi bhalaai se taalte hai, inhee ke liye aqibath ka ghar hai
Surah Ar-Rad, Verse 22
جَنَّـٰتُ عَدۡنٖ يَدۡخُلُونَهَا وَمَن صَلَحَ مِنۡ ءَابَآئِهِمۡ وَأَزۡوَٰجِهِمۡ وَذُرِّيَّـٰتِهِمۡۖ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ يَدۡخُلُونَ عَلَيۡهِم مِّن كُلِّ بَابٖ
hamesha rehne ke baghaath, jahaan ye khud jayenge aur un ke baap dadaao aur biwiyo aur aulaado mein se bhi jo nekokaar honge un ke paas farishte har har darwaaze se ayenge
Surah Ar-Rad, Verse 23
سَلَٰمٌ عَلَيۡكُم بِمَا صَبَرۡتُمۡۚ فَنِعۡمَ عُقۡبَى ٱلدَّارِ
kahenge ke tum par salaamti ho sabr ke badle, kya hee accha (badla) hai is daar aqirath ka
Surah Ar-Rad, Verse 24
وَٱلَّذِينَ يَنقُضُونَ عَهۡدَ ٱللَّهِ مِنۢ بَعۡدِ مِيثَٰقِهِۦ وَيَقۡطَعُونَ مَآ أَمَرَ ٱللَّهُ بِهِۦٓ أَن يُوصَلَ وَيُفۡسِدُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِ أُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمُ ٱللَّعۡنَةُ وَلَهُمۡ سُوٓءُ ٱلدَّارِ
aur jo Allah ke ahad ko us ki mazboti ke baad tod dete hai aur jin cheezo ke jodne ka Allah ne hukm diya hai unhe todte hai aur zameen mein fasaad phailate hai, un ke liye laanate hai aur un ke liye bora ghar hai
Surah Ar-Rad, Verse 25
ٱللَّهُ يَبۡسُطُ ٱلرِّزۡقَ لِمَن يَشَآءُ وَيَقۡدِرُۚ وَفَرِحُواْ بِٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا وَمَا ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَا فِي ٱلۡأٓخِرَةِ إِلَّا مَتَٰعٞ
Allah ta’ala jis ki rozi chahta hai badata hai aur ghatata hai, ye to dunya ki zindagi mein mast ho gaye, halaan ke dunya aqirath ke muqaable mein nihayath (haqeer) ponji hai
Surah Ar-Rad, Verse 26
وَيَقُولُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَوۡلَآ أُنزِلَ عَلَيۡهِ ءَايَةٞ مِّن رَّبِّهِۦۚ قُلۡ إِنَّ ٱللَّهَ يُضِلُّ مَن يَشَآءُ وَيَهۡدِيٓ إِلَيۡهِ مَنۡ أَنَابَ
kaafir kehte hai ke us par koi nishani (maujiza) kyo nazil nahi kiya gaya? jawaab de dijiye ke jise Allah gumrah karna chahe kar deta hai aur jo us ki taraf jhuke ose raasta dikha deta hai
Surah Ar-Rad, Verse 27
ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَتَطۡمَئِنُّ قُلُوبُهُم بِذِكۡرِ ٱللَّهِۗ أَلَا بِذِكۡرِ ٱللَّهِ تَطۡمَئِنُّ ٱلۡقُلُوبُ
jo log imaan laye un ke dil Allah ke zikr se itmenaan haasil karte hai, yaad rakho Allah ke zikr se hee dilo ko tasalli haasil hoti hai
Surah Ar-Rad, Verse 28
ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ طُوبَىٰ لَهُمۡ وَحُسۡنُ مَـَٔابٖ
jo log imaan laye aur jinhone nek kaam bhi kiye un ke liye khush haali hai aur behetreen thikana
Surah Ar-Rad, Verse 29
كَذَٰلِكَ أَرۡسَلۡنَٰكَ فِيٓ أُمَّةٖ قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِهَآ أُمَمٞ لِّتَتۡلُوَاْ عَلَيۡهِمُ ٱلَّذِيٓ أَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡكَ وَهُمۡ يَكۡفُرُونَ بِٱلرَّحۡمَٰنِۚ قُلۡ هُوَ رَبِّي لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ عَلَيۡهِ تَوَكَّلۡتُ وَإِلَيۡهِ مَتَابِ
isi tarah hum ne aap ko is ummat mein bheja hai jis se pehle bahuth si ummate guzar chuki hai, ke aap unhe hamari taraf se jo wahi aap par utri hai pad kar sunaiye, ye Allah rehmaan ke munkir hai, aap keh dijiye ke mera paalne wala to wahi hai, us ke siva dar haqiqath koi bhi laayeq e ibaadath nahi, osi ke upar mera bharusa hai aur osi ki jaanib mera rujo hai
Surah Ar-Rad, Verse 30
وَلَوۡ أَنَّ قُرۡءَانٗا سُيِّرَتۡ بِهِ ٱلۡجِبَالُ أَوۡ قُطِّعَتۡ بِهِ ٱلۡأَرۡضُ أَوۡ كُلِّمَ بِهِ ٱلۡمَوۡتَىٰۗ بَل لِّلَّهِ ٱلۡأَمۡرُ جَمِيعًاۗ أَفَلَمۡ يَاْيۡـَٔسِ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَن لَّوۡ يَشَآءُ ٱللَّهُ لَهَدَى ٱلنَّاسَ جَمِيعٗاۗ وَلَا يَزَالُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ تُصِيبُهُم بِمَا صَنَعُواْ قَارِعَةٌ أَوۡ تَحُلُّ قَرِيبٗا مِّن دَارِهِمۡ حَتَّىٰ يَأۡتِيَ وَعۡدُ ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُخۡلِفُ ٱلۡمِيعَادَ
agar (bil-farz) kisi Qur’aan (aasmaani kitaab) ke zariye pahaad chalaa diye jaate ya zameen tukde tukde kar di jaati ya murdo se batein karadi jaati (phir bhi wo imaan na laate) baath ye hai ke sab kaam Allah ke haath mein hai, to kya imaan walo ko us baath par dil jamyee nahi ke agar Allah ta’ala chaahe to tamaam logo ko hidayath de de, kuffaar ko to un ke kufr ke badhle hamesha hee koi na koi saqt saza pahonchti rahegi ya un ke makaano ke qareeb nazil hoti rahegi, ta waqt ye ke waada ilaahi aa pahonche, yaqinan Allah ta’ala waada qillafi nahi karta
Surah Ar-Rad, Verse 31
وَلَقَدِ ٱسۡتُهۡزِئَ بِرُسُلٖ مِّن قَبۡلِكَ فَأَمۡلَيۡتُ لِلَّذِينَ كَفَرُواْ ثُمَّ أَخَذۡتُهُمۡۖ فَكَيۡفَ كَانَ عِقَابِ
yaqinan aap se pehle ke paighambaro ka mazaaq udaya gaya tha aur main ne bhi kaafiro ko dheel di thi, phir unhe pakad liya tha, pas mera azaab kaisa raha
Surah Ar-Rad, Verse 32
أَفَمَنۡ هُوَ قَآئِمٌ عَلَىٰ كُلِّ نَفۡسِۭ بِمَا كَسَبَتۡۗ وَجَعَلُواْ لِلَّهِ شُرَكَآءَ قُلۡ سَمُّوهُمۡۚ أَمۡ تُنَبِّـُٔونَهُۥ بِمَا لَا يَعۡلَمُ فِي ٱلۡأَرۡضِ أَم بِظَٰهِرٖ مِّنَ ٱلۡقَوۡلِۗ بَلۡ زُيِّنَ لِلَّذِينَ كَفَرُواْ مَكۡرُهُمۡ وَصُدُّواْ عَنِ ٱلسَّبِيلِۗ وَمَن يُضۡلِلِ ٱللَّهُ فَمَا لَهُۥ مِنۡ هَادٖ
aaya wo Allah jo nigehbaani karne wala hai, har shaqs ki us ke kiye hoye amaal par, un logo ne Allah ke shareek tehraye hai, keh dijiye zara un ke naam to lo, kya tum Allah ko wo batein bataate ho jo wo zameen mein jaanta hee nahi ya sirf upri batein bata rahe ho, baat asal ye hai ke kufr karne walo ke liye un ke makr saja diye gaye hai aur wo sahih raah se rook diye gaye hai aur jis ko Allah gumraah karde us ko raah dikhaane wala koi nahi
Surah Ar-Rad, Verse 33
لَّهُمۡ عَذَابٞ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۖ وَلَعَذَابُ ٱلۡأٓخِرَةِ أَشَقُّۖ وَمَا لَهُم مِّنَ ٱللَّهِ مِن وَاقٖ
un ke liye dunya ki zindagi mein bhi azaab hai aur aqirath ka azaab to bahuth hee zyaada saqt hai, unhe Allah ke ghazab se bachaane wala koi bhi nahi
Surah Ar-Rad, Verse 34
۞مَّثَلُ ٱلۡجَنَّةِ ٱلَّتِي وُعِدَ ٱلۡمُتَّقُونَۖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۖ أُكُلُهَا دَآئِمٞ وَظِلُّهَاۚ تِلۡكَ عُقۡبَى ٱلَّذِينَ ٱتَّقَواْۚ وَّعُقۡبَى ٱلۡكَٰفِرِينَ ٱلنَّارُ
us jannath ki sifath, jis ka waada parhezgaro ko diya gaya hai, ye hai ke us ke neeche se nehre beh rahi hai, us ka mewa hameshgi wala hai aur us ka saAya bhi, ye hai anjaam parhezgaaro ka aur kaafiro ka anjaame kaar dozakh hai
Surah Ar-Rad, Verse 35
وَٱلَّذِينَ ءَاتَيۡنَٰهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ يَفۡرَحُونَ بِمَآ أُنزِلَ إِلَيۡكَۖ وَمِنَ ٱلۡأَحۡزَابِ مَن يُنكِرُ بَعۡضَهُۥۚ قُلۡ إِنَّمَآ أُمِرۡتُ أَنۡ أَعۡبُدَ ٱللَّهَ وَلَآ أُشۡرِكَ بِهِۦٓۚ إِلَيۡهِ أَدۡعُواْ وَإِلَيۡهِ مَـَٔابِ
jinhe hum ne kitaab di hai wo to jo kuch aap par utara jata hai us se khush hote hai aur dosre firqe us ki baaz batho ke munkir hai, aap elaan kar dijiye ke mujhe to sirf yahi hukm diya gaya hai ke main Allah ki ibadath karo aur us ke saath shareek na karo, main osi ki taraf bula raha hoon aur osi ki jaanib mera lautna hai
Surah Ar-Rad, Verse 36
وَكَذَٰلِكَ أَنزَلۡنَٰهُ حُكۡمًا عَرَبِيّٗاۚ وَلَئِنِ ٱتَّبَعۡتَ أَهۡوَآءَهُم بَعۡدَ مَا جَآءَكَ مِنَ ٱلۡعِلۡمِ مَا لَكَ مِنَ ٱللَّهِ مِن وَلِيّٖ وَلَا وَاقٖ
isi tarah hum ne is Qur’an ko arabi zabaan ka farmaan utara hai, agar aap ne un ki qwaahisho ki pairvi karli, us ke baad ke aap ke paas ilm aa chuka hai to Allah (ke azaabo) se aap ko koi himaayati milega aur na bachaane wala
Surah Ar-Rad, Verse 37
وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا رُسُلٗا مِّن قَبۡلِكَ وَجَعَلۡنَا لَهُمۡ أَزۡوَٰجٗا وَذُرِّيَّةٗۚ وَمَا كَانَ لِرَسُولٍ أَن يَأۡتِيَ بِـَٔايَةٍ إِلَّا بِإِذۡنِ ٱللَّهِۗ لِكُلِّ أَجَلٖ كِتَابٞ
hum aap se pehle bhi bahuth se rasool bhej chuke hai, hum ne un sab ko biwi baccho wala banaya tha, kisi rasool se nahi ho sakta ke koi nishaani baghair Allah ki ijaazath ke le aaye, har muqarrara waade ki ek liqath hai
Surah Ar-Rad, Verse 38
يَمۡحُواْ ٱللَّهُ مَا يَشَآءُ وَيُثۡبِتُۖ وَعِندَهُۥٓ أُمُّ ٱلۡكِتَٰبِ
Allah jo chaahe mitaade aur jo chahe saabith rakhe, lohe mehfooz osi ke paas hai
Surah Ar-Rad, Verse 39
وَإِن مَّا نُرِيَنَّكَ بَعۡضَ ٱلَّذِي نَعِدُهُمۡ أَوۡ نَتَوَفَّيَنَّكَ فَإِنَّمَا عَلَيۡكَ ٱلۡبَلَٰغُ وَعَلَيۡنَا ٱلۡحِسَابُ
un se kiye hoye waado mein se koi agar hum aap ko dikhaade ya aap ko hum fauth karle to aap par to sirf pahoncha dena hee hai, hisaab to hamare zimme hee hai
Surah Ar-Rad, Verse 40
أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّا نَأۡتِي ٱلۡأَرۡضَ نَنقُصُهَا مِنۡ أَطۡرَافِهَاۚ وَٱللَّهُ يَحۡكُمُ لَا مُعَقِّبَ لِحُكۡمِهِۦۚ وَهُوَ سَرِيعُ ٱلۡحِسَابِ
kya wo nahi dekhte? ke hum zameen ko us ke kinaaro se ghataate chale aa rahe hai, Allah hukm karta hai, koi us ke ehkaam piche daalne wala nahi, wo jald hisaab lene wala hai
Surah Ar-Rad, Verse 41
وَقَدۡ مَكَرَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ فَلِلَّهِ ٱلۡمَكۡرُ جَمِيعٗاۖ يَعۡلَمُ مَا تَكۡسِبُ كُلُّ نَفۡسٖۗ وَسَيَعۡلَمُ ٱلۡكُفَّـٰرُ لِمَنۡ عُقۡبَى ٱلدَّارِ
un se pehle logo ne bhi apni makkari mein kami na ki thi, lekin tamaam tadbire Allah hee ki hai, jo shaqs jo kuch kar raha hai Allah ke ilm mein hai, kaafiro ko abhi maalom ho jayega ke (us) jahaan ki jaza kis ke liye hai
Surah Ar-Rad, Verse 42
وَيَقُولُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَسۡتَ مُرۡسَلٗاۚ قُلۡ كَفَىٰ بِٱللَّهِ شَهِيدَۢا بَيۡنِي وَبَيۡنَكُمۡ وَمَنۡ عِندَهُۥ عِلۡمُ ٱلۡكِتَٰبِ
ye kaafir kehte hai ke aap Allah ke rasool nahi, aap jawaab di jiye ke mujh mein aur tum mein Allah gawaahi dene wala kaafi hai aur wo jis ke paas kitaab ka ilm hai
Surah Ar-Rad, Verse 43