Surah Ar-Rad Verse 31 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Ar-Radوَلَوۡ أَنَّ قُرۡءَانٗا سُيِّرَتۡ بِهِ ٱلۡجِبَالُ أَوۡ قُطِّعَتۡ بِهِ ٱلۡأَرۡضُ أَوۡ كُلِّمَ بِهِ ٱلۡمَوۡتَىٰۗ بَل لِّلَّهِ ٱلۡأَمۡرُ جَمِيعًاۗ أَفَلَمۡ يَاْيۡـَٔسِ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَن لَّوۡ يَشَآءُ ٱللَّهُ لَهَدَى ٱلنَّاسَ جَمِيعٗاۗ وَلَا يَزَالُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ تُصِيبُهُم بِمَا صَنَعُواْ قَارِعَةٌ أَوۡ تَحُلُّ قَرِيبٗا مِّن دَارِهِمۡ حَتَّىٰ يَأۡتِيَ وَعۡدُ ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُخۡلِفُ ٱلۡمِيعَادَ
agar (bil-farz) kisi Qur’aan (aasmaani kitaab) ke zariye pahaad chalaa diye jaate ya zameen tukde tukde kar di jaati ya murdo se batein karadi jaati (phir bhi wo imaan na laate) baath ye hai ke sab kaam Allah ke haath mein hai, to kya imaan walo ko us baath par dil jamyee nahi ke agar Allah ta’ala chaahe to tamaam logo ko hidayath de de, kuffaar ko to un ke kufr ke badhle hamesha hee koi na koi saqt saza pahonchti rahegi ya un ke makaano ke qareeb nazil hoti rahegi, ta waqt ye ke waada ilaahi aa pahonche, yaqinan Allah ta’ala waada qillafi nahi karta