Surah Ar-Rad - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
الٓمٓرۚ تِلۡكَ ءَايَٰتُ ٱلۡكِتَٰبِۗ وَٱلَّذِيٓ أُنزِلَ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَ ٱلۡحَقُّ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يُؤۡمِنُونَ
Alif laam Meem Raa Yeh kitab-e-ilahi ki aayat hain, aur jo kuch tumhare Rubb ki taraf se tumpar nazil kiya gaya hai woh ain haqq hai, magar (tumhari qaum ke) aksar log maan nahin rahey hain
Surah Ar-Rad, Verse 1
ٱللَّهُ ٱلَّذِي رَفَعَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ بِغَيۡرِ عَمَدٖ تَرَوۡنَهَاۖ ثُمَّ ٱسۡتَوَىٰ عَلَى ٱلۡعَرۡشِۖ وَسَخَّرَ ٱلشَّمۡسَ وَٱلۡقَمَرَۖ كُلّٞ يَجۡرِي لِأَجَلٖ مُّسَمّٗىۚ يُدَبِّرُ ٱلۡأَمۡرَ يُفَصِّلُ ٱلۡأٓيَٰتِ لَعَلَّكُم بِلِقَآءِ رَبِّكُمۡ تُوقِنُونَ
Woh Allah hi hai jisne aasmano ko aisey saharon (support) ke bagair qayam kiya jo tumko nazar aatey hon, phir woh apne takht e sultanat par jalwa farma hua, aur usne aftaab (Sun) o mahtaab (Moon) ko ek kanoon ka paband banaya. Is sarey nizam ki har cheez ek waqt-e-muqarrar tak ke liye chal rahi hai. Aur Allah hi is sarey kaam ki tadbeer farma raha hai. Woh nishaniyan khol khol kar bayan karta hai, shayad ke tum apne Rubb ki mulaqat ka yaqeen karo
Surah Ar-Rad, Verse 2
وَهُوَ ٱلَّذِي مَدَّ ٱلۡأَرۡضَ وَجَعَلَ فِيهَا رَوَٰسِيَ وَأَنۡهَٰرٗاۖ وَمِن كُلِّ ٱلثَّمَرَٰتِ جَعَلَ فِيهَا زَوۡجَيۡنِ ٱثۡنَيۡنِۖ يُغۡشِي ٱلَّيۡلَ ٱلنَّهَارَۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَتَفَكَّرُونَ
Aur wahi hai jisne zameen phayla rakkhi hai, is mein pahadon ke khunte gaad rakkhe hain aur dariya baha diye hain , usi ne har tarah ke phalon (fruits) ke jodey paida kiye hain, aur wahi din par raat taari karta hai. In saari cheezon mein badi nishaniyan hain un logon ke liye jo gaur o fikr se kaam letey hain
Surah Ar-Rad, Verse 3
وَفِي ٱلۡأَرۡضِ قِطَعٞ مُّتَجَٰوِرَٰتٞ وَجَنَّـٰتٞ مِّنۡ أَعۡنَٰبٖ وَزَرۡعٞ وَنَخِيلٞ صِنۡوَانٞ وَغَيۡرُ صِنۡوَانٖ يُسۡقَىٰ بِمَآءٖ وَٰحِدٖ وَنُفَضِّلُ بَعۡضَهَا عَلَىٰ بَعۡضٖ فِي ٱلۡأُكُلِۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَعۡقِلُونَ
Aur dekho, zameen mein alag alag khittey (regions) paye jatey hain jo ek dusre se muttasil (close to one another) waqeh hain angoor ke baagh hain, khetiyan hain, khajoor ke darakht hain jinmein se kuch ekehre(single) hain aur kuch dohre(double trunk). Sabko ek hi pani sairaab karta hai magar mazey mein hum kisi ko behtar bana dete hain aur kisi ko kamtar. In sab cheezon mein bahut si nishaniyan hain un logon ke liye jo aqal se kaam lete hain
Surah Ar-Rad, Verse 4
۞وَإِن تَعۡجَبۡ فَعَجَبٞ قَوۡلُهُمۡ أَءِذَا كُنَّا تُرَٰبًا أَءِنَّا لَفِي خَلۡقٖ جَدِيدٍۗ أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِرَبِّهِمۡۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ ٱلۡأَغۡلَٰلُ فِيٓ أَعۡنَاقِهِمۡۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
Ab agar tumhein tajjub karna hai to tajjub ke qabil logon ka yeh qaul hai ke “jab hum marr kar mitti ho jayenge to kya hum naye sirey se paida kiye jayenge?” Yeh woh log hain jinhon ne apne Rubb se kufr kiya hai, yeh woh log hain jinki gardano mein tauq(tauq/fetters) padey huey hain, yeh jahannumi hain aur hamesha rahenge
Surah Ar-Rad, Verse 5
وَيَسۡتَعۡجِلُونَكَ بِٱلسَّيِّئَةِ قَبۡلَ ٱلۡحَسَنَةِ وَقَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِهِمُ ٱلۡمَثُلَٰتُۗ وَإِنَّ رَبَّكَ لَذُو مَغۡفِرَةٖ لِّلنَّاسِ عَلَىٰ ظُلۡمِهِمۡۖ وَإِنَّ رَبَّكَ لَشَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
Yeh log bhalayi se pehle burayi ke liye jaldi macha rahey hain, halanke insey pehle (jo log is rawish par chale hain unpar khda ke azaab ki) ibrat-naak misaalein guzar chuki hain. Haqeeqat yeh hai ke tera Rubb logo ki zyadatiyon ke bawajood unke saath chashm-poshi (forbearance) se kaam leta hai aur yeh bhi haqeeqat hai ke tera Rubb sakht saza dene wala hai
Surah Ar-Rad, Verse 6
وَيَقُولُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَوۡلَآ أُنزِلَ عَلَيۡهِ ءَايَةٞ مِّن رَّبِّهِۦٓۗ إِنَّمَآ أَنتَ مُنذِرٞۖ وَلِكُلِّ قَوۡمٍ هَادٍ
Yeh log jinhon ne tumhari baat maanne se inkar kardiya hai, kehte hain ke “Is shaks par iske Rubb ki taraf se koi nishani kyun na utari? Tum to mehaz khabardaar kardene waley ho, aur har qaum ke liye ek rehnuma hai
Surah Ar-Rad, Verse 7
ٱللَّهُ يَعۡلَمُ مَا تَحۡمِلُ كُلُّ أُنثَىٰ وَمَا تَغِيضُ ٱلۡأَرۡحَامُ وَمَا تَزۡدَادُۚ وَكُلُّ شَيۡءٍ عِندَهُۥ بِمِقۡدَارٍ
Allah ek ek haamila (pregnant) ke pait se waqif hai, jo kuch usmein banta hai usey bhi woh jaanta hai aur jo kuch ismein kami ya beshi hoti hai ussey bhi woh bakhabar rehta hai. Har cheez ke liye uske haan ek miqdar muqarrar hai
Surah Ar-Rad, Verse 8
عَٰلِمُ ٱلۡغَيۡبِ وَٱلشَّهَٰدَةِ ٱلۡكَبِيرُ ٱلۡمُتَعَالِ
Woh posheeda aur zaahir, har cheez ka aalim hai, woh buzurg hai aur har haal mein baala-tar rehne wala hai
Surah Ar-Rad, Verse 9
سَوَآءٞ مِّنكُم مَّنۡ أَسَرَّ ٱلۡقَوۡلَ وَمَن جَهَرَ بِهِۦ وَمَنۡ هُوَ مُسۡتَخۡفِۭ بِٱلَّيۡلِ وَسَارِبُۢ بِٱلنَّهَارِ
Tum mein se koi shaks khwa zoar se baat karey ya aahista, aur koi raat ki tareeki (darkness) mein chupa hua ho ya din ki roshni mein chal raha ho, uske liye sab yaksan hai
Surah Ar-Rad, Verse 10
لَهُۥ مُعَقِّبَٰتٞ مِّنۢ بَيۡنِ يَدَيۡهِ وَمِنۡ خَلۡفِهِۦ يَحۡفَظُونَهُۥ مِنۡ أَمۡرِ ٱللَّهِۗ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُغَيِّرُ مَا بِقَوۡمٍ حَتَّىٰ يُغَيِّرُواْ مَا بِأَنفُسِهِمۡۗ وَإِذَآ أَرَادَ ٱللَّهُ بِقَوۡمٖ سُوٓءٗا فَلَا مَرَدَّ لَهُۥۚ وَمَا لَهُم مِّن دُونِهِۦ مِن وَالٍ
Har shaks ke aage aur peechey uske muqarrar kiye huey nigraan lage huey hain jo Allah ke hukum se uski dekh-bhal kar rahey hain. Haqeeqat yeh hai ke Allah kisi qaum ke haal ko nahin badalta jab tak woh khud apne awsaf ko nahin badal deti, aur jab Allah kisi qaum ki shamat(retribution) laney ka faisla karle to phir woh kisi ke taaley nahin tal sakti, na Allah ke muqable mein aisi qaum ka koi haami o madadgaar ho sakta hai
Surah Ar-Rad, Verse 11
هُوَ ٱلَّذِي يُرِيكُمُ ٱلۡبَرۡقَ خَوۡفٗا وَطَمَعٗا وَيُنشِئُ ٱلسَّحَابَ ٱلثِّقَالَ
Wahi hai jo tumhare saamne bijliyan chamkata hai jinhein dekh kar tumhein andeshe(fear) bhi lahaq hotey hain aur umeedein bhi bandhti hai, wahi hai jo pani se laday huey badal utarta hai
Surah Ar-Rad, Verse 12
وَيُسَبِّحُ ٱلرَّعۡدُ بِحَمۡدِهِۦ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ مِنۡ خِيفَتِهِۦ وَيُرۡسِلُ ٱلصَّوَٰعِقَ فَيُصِيبُ بِهَا مَن يَشَآءُ وَهُمۡ يُجَٰدِلُونَ فِي ٱللَّهِ وَهُوَ شَدِيدُ ٱلۡمِحَالِ
Badalon ki garaj uski hamd ke saath uski paaki bayan karti hai aur farishte uski haibat(awe) se larazte huey uski tasbeeh karte hain. Woh kadakti hui bijliyon ko bhejta hai aur (basa auqat) unhein jispar chahta hai ain is haal mein gira deta hai jabke log Allah ke barey mein jhagad rahey hotey hain. Fil waqeh uski chaal badi zabardast hai
Surah Ar-Rad, Verse 13
لَهُۥ دَعۡوَةُ ٱلۡحَقِّۚ وَٱلَّذِينَ يَدۡعُونَ مِن دُونِهِۦ لَا يَسۡتَجِيبُونَ لَهُم بِشَيۡءٍ إِلَّا كَبَٰسِطِ كَفَّيۡهِ إِلَى ٱلۡمَآءِ لِيَبۡلُغَ فَاهُ وَمَا هُوَ بِبَٰلِغِهِۦۚ وَمَا دُعَآءُ ٱلۡكَٰفِرِينَ إِلَّا فِي ضَلَٰلٖ
Usi ko pukarna bar-haqq hai, rahi wo dusri hastiyan jinhein usko chodh kar yeh log pukarte hain, woh unki duaon ka koi jawab nahin de sakti, unhein pukarna to aisa hai jaise koi shaks pani ki tarf haath phaila kar ussey darkhwast karey ke tu mere mooh tak pahuch ja, halanke pani us tak pahunchne wala nahin, bas isi tarah kaafiron ki duaein bhi kuch nahin hai magar ek teer be hadaf (aimless efforts)
Surah Ar-Rad, Verse 14
وَلِلَّهِۤ يَسۡجُدُۤ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ طَوۡعٗا وَكَرۡهٗا وَظِلَٰلُهُم بِٱلۡغُدُوِّ وَٱلۡأٓصَالِ۩
Woh to Allah hi hai jisko zameen o aasman ki har cheez touan (willingly) o karhan (unwillingly) sajda kar rahi hai aur sab cheezon ke saaye subh-o-shaam uske aagey jhukte hain
Surah Ar-Rad, Verse 15
قُلۡ مَن رَّبُّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ قُلِ ٱللَّهُۚ قُلۡ أَفَٱتَّخَذۡتُم مِّن دُونِهِۦٓ أَوۡلِيَآءَ لَا يَمۡلِكُونَ لِأَنفُسِهِمۡ نَفۡعٗا وَلَا ضَرّٗاۚ قُلۡ هَلۡ يَسۡتَوِي ٱلۡأَعۡمَىٰ وَٱلۡبَصِيرُ أَمۡ هَلۡ تَسۡتَوِي ٱلظُّلُمَٰتُ وَٱلنُّورُۗ أَمۡ جَعَلُواْ لِلَّهِ شُرَكَآءَ خَلَقُواْ كَخَلۡقِهِۦ فَتَشَٰبَهَ ٱلۡخَلۡقُ عَلَيۡهِمۡۚ قُلِ ٱللَّهُ خَٰلِقُ كُلِّ شَيۡءٖ وَهُوَ ٱلۡوَٰحِدُ ٱلۡقَهَّـٰرُ
Insey pucho, aasman o zameen ka Rubb kaun hai? Kaho, Allah, phir insey kaho ke jab haqeeqat yeh hai to kya tumne usey chodh kar aisey maboodon ko apna kaarsaaz thehra liya jo khud apne liye bhi kisi nafa o nuksaan ka ikhtiyar nahin rakhte? Kaho, kya andha aur aankhon wala barabar hua karta hai? Kya roshni aur tareekiyan yaksan hoti hai? Aur agar aisa nahin to kya inke thehraye huey shareekon ne bhi Allah ki tarah kuch paida kiya hai ke uski wajah se inpar takhleeq(creation) ka maamla mushtaba(seemed alike) ho gaya? Kaho, har cheez ka khaliq(creator) sirf Allah hai aur woh yakta hai, sab par galib
Surah Ar-Rad, Verse 16
أَنزَلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَسَالَتۡ أَوۡدِيَةُۢ بِقَدَرِهَا فَٱحۡتَمَلَ ٱلسَّيۡلُ زَبَدٗا رَّابِيٗاۖ وَمِمَّا يُوقِدُونَ عَلَيۡهِ فِي ٱلنَّارِ ٱبۡتِغَآءَ حِلۡيَةٍ أَوۡ مَتَٰعٖ زَبَدٞ مِّثۡلُهُۥۚ كَذَٰلِكَ يَضۡرِبُ ٱللَّهُ ٱلۡحَقَّ وَٱلۡبَٰطِلَۚ فَأَمَّا ٱلزَّبَدُ فَيَذۡهَبُ جُفَآءٗۖ وَأَمَّا مَا يَنفَعُ ٱلنَّاسَ فَيَمۡكُثُ فِي ٱلۡأَرۡضِۚ كَذَٰلِكَ يَضۡرِبُ ٱللَّهُ ٱلۡأَمۡثَالَ
Allah ne aasman se pani barsaya aur har nadi naala apne zarf ke mutabiq isey lekar chal nikla, phir jab sailaab utha to satah par jhaag (foam) bhi aa gaye. Aur waise hi jhaag un dhaton (metals) par bhi uthte hain jinhein zewar (ornaments) aur bartan (utensils) wagairah banane ke liye log pighlaya karte hain. Isi misaal se Allah haqq aur baatil ke maamle ko wazeh karta hai. Jo jhaag hai woh udh (vanish) jaya karta hai aur jo cheez Insaano ke liye naafey (faiydamand) hai woh zameen mein thehar jati hai. Is tarah Allah misaalon se apni baat samjhata hai
Surah Ar-Rad, Verse 17
لِلَّذِينَ ٱسۡتَجَابُواْ لِرَبِّهِمُ ٱلۡحُسۡنَىٰۚ وَٱلَّذِينَ لَمۡ يَسۡتَجِيبُواْ لَهُۥ لَوۡ أَنَّ لَهُم مَّا فِي ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعٗا وَمِثۡلَهُۥ مَعَهُۥ لَٱفۡتَدَوۡاْ بِهِۦٓۚ أُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمۡ سُوٓءُ ٱلۡحِسَابِ وَمَأۡوَىٰهُمۡ جَهَنَّمُۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمِهَادُ
Jin logon ne apne Rubb ki dawat qabool karli hai unke liye bhalayi hai. Aur jinhon ne isey qabool na kiya woh agar zameen ki saari daulat ke bhi maalik hon aur utni hi aur faraham karlein to woh khuda ki pakad se bachne ke liye is sab ko fidiya (ransom) mein de daalne par tayyar ho jayenge. Yeh woh log hain jinsey buri tarah hisaab liya jayega, aur unka thikana jahannum hai, bahut hi bura thikana
Surah Ar-Rad, Verse 18
۞أَفَمَن يَعۡلَمُ أَنَّمَآ أُنزِلَ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَ ٱلۡحَقُّ كَمَنۡ هُوَ أَعۡمَىٰٓۚ إِنَّمَا يَتَذَكَّرُ أُوْلُواْ ٱلۡأَلۡبَٰبِ
Bhala yeh kis tarah mumkin hai ke woh shaks jo tumhare Rubb ki is kitaab ko jo usne tumpar nazil ki hai haqq jaanta hai, aur woh shaks jo is haqeeqat ki taraf se andha hai, dono yaksan ho jayein? Naseehat to danishmand (wise) log hi qabool kiya karte hain
Surah Ar-Rad, Verse 19
ٱلَّذِينَ يُوفُونَ بِعَهۡدِ ٱللَّهِ وَلَا يَنقُضُونَ ٱلۡمِيثَٰقَ
Aur unka tarz-e-amal yeh hota hai ke Allah ke saath apne ahad ko poora karte hain, usey mazboot baandhne ke baad todh nahin daalte
Surah Ar-Rad, Verse 20
وَٱلَّذِينَ يَصِلُونَ مَآ أَمَرَ ٱللَّهُ بِهِۦٓ أَن يُوصَلَ وَيَخۡشَوۡنَ رَبَّهُمۡ وَيَخَافُونَ سُوٓءَ ٱلۡحِسَابِ
Unki rawish yeh hoti hai ke Allah ne jin jin rawabit ko barqarar rakhne ka hukum diya hai, unhein barqarar rakhte hain, apne Rubb se darte hain aur is baat ka khauf rakhte hain ke kahin unsey buri tarah hisab na liya jaye
Surah Ar-Rad, Verse 21
وَٱلَّذِينَ صَبَرُواْ ٱبۡتِغَآءَ وَجۡهِ رَبِّهِمۡ وَأَقَامُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَأَنفَقُواْ مِمَّا رَزَقۡنَٰهُمۡ سِرّٗا وَعَلَانِيَةٗ وَيَدۡرَءُونَ بِٱلۡحَسَنَةِ ٱلسَّيِّئَةَ أُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمۡ عُقۡبَى ٱلدَّارِ
Unka haal yeh hota hai ke apne Rubb ki raza ke liye sabr se kaam lete hain, namaz qayam karte hai, hamare diye huye rizq mein se elaniya (openly) aur posheeda kharch karte hai, aur burayi ko bhalayi se dafa karte hain, aakhirat ka ghar unhi logon ke liye hai
Surah Ar-Rad, Verse 22
جَنَّـٰتُ عَدۡنٖ يَدۡخُلُونَهَا وَمَن صَلَحَ مِنۡ ءَابَآئِهِمۡ وَأَزۡوَٰجِهِمۡ وَذُرِّيَّـٰتِهِمۡۖ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ يَدۡخُلُونَ عَلَيۡهِم مِّن كُلِّ بَابٖ
Yani aisey baagh jo unki abadi qayamgaah honge. Woh khud bhi unmein daakhil honge aur unke aaba o ajdaad aur unki biwiyon aur unki aulad mein se jo jo saleh (righteous) hain woh bhi unke saath wahan jayenge. Malaika har taraf se unke isteqbal ke liye aayenge
Surah Ar-Rad, Verse 23
سَلَٰمٌ عَلَيۡكُم بِمَا صَبَرۡتُمۡۚ فَنِعۡمَ عُقۡبَى ٱلدَّارِ
Aur unse kahenge ke “tumpar salamati hai, tumne duniya mein jis tarah sabr se kaam liya uski badaulat aaj tum iske mustahiq huey ho”. Pas kya hi khoob hai yeh aakhirat ka ghar
Surah Ar-Rad, Verse 24
وَٱلَّذِينَ يَنقُضُونَ عَهۡدَ ٱللَّهِ مِنۢ بَعۡدِ مِيثَٰقِهِۦ وَيَقۡطَعُونَ مَآ أَمَرَ ٱللَّهُ بِهِۦٓ أَن يُوصَلَ وَيُفۡسِدُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِ أُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمُ ٱللَّعۡنَةُ وَلَهُمۡ سُوٓءُ ٱلدَّارِ
Rahey woh log jo Allah ke ahad ko mazboot baandh lene ke baad toad daltey hain, jo un raabton(relations) ko kaat-te hain jinhein Allah ne jodne ka hukum diya hai, aur jo zameen mein fasaad phaylate hain, woh laanat ke mustahiq hain aur unke liye aakhirat mein bahut bura thikana hai
Surah Ar-Rad, Verse 25
ٱللَّهُ يَبۡسُطُ ٱلرِّزۡقَ لِمَن يَشَآءُ وَيَقۡدِرُۚ وَفَرِحُواْ بِٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا وَمَا ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَا فِي ٱلۡأٓخِرَةِ إِلَّا مَتَٰعٞ
Allah jisko chahta hai rizq ki farakhi bakshta hai aur jisey chahta hai napa-tula rizq deta hai.Yeh log dunyavi zindagi mein magan hain, halanke duniya ki zindagi aakhirat ke muqable mein ek mataa-e-qaleel (brief passing enjoyment) ke siwa kuch bhi nahin
Surah Ar-Rad, Verse 26
وَيَقُولُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَوۡلَآ أُنزِلَ عَلَيۡهِ ءَايَةٞ مِّن رَّبِّهِۦۚ قُلۡ إِنَّ ٱللَّهَ يُضِلُّ مَن يَشَآءُ وَيَهۡدِيٓ إِلَيۡهِ مَنۡ أَنَابَ
Yeh log jinhon ne (risalat e Muhammadi ko manne se) inkar kardiya hai kehte hain “is shaks par iske Rubb ki taraf se koi nishani kyun na utri?” kaho, Allah jisey chahta hai gumraah kardeta hai aur woh apni taraf aane ka raasta usi ko dikhata hai jo uski taraf rujoo karey
Surah Ar-Rad, Verse 27
ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَتَطۡمَئِنُّ قُلُوبُهُم بِذِكۡرِ ٱللَّهِۗ أَلَا بِذِكۡرِ ٱللَّهِ تَطۡمَئِنُّ ٱلۡقُلُوبُ
Aisey hi log hain woh jinhon ne (is Nabi ki dawat ko) maan liya hai aur unke dilon ko Allah ki yaad se itminaan naseeb hota hai, khabardar raho! Allah ki yaad hi woh cheez hai jissey dilon ko itminaan naseeb hua karta hai
Surah Ar-Rad, Verse 28
ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ طُوبَىٰ لَهُمۡ وَحُسۡنُ مَـَٔابٖ
Phir jin logon ne dawat-e-haqq ko maana aur neik amal kiye woh khush-naseeb hain aur unke liye accha anjaam hai
Surah Ar-Rad, Verse 29
كَذَٰلِكَ أَرۡسَلۡنَٰكَ فِيٓ أُمَّةٖ قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِهَآ أُمَمٞ لِّتَتۡلُوَاْ عَلَيۡهِمُ ٱلَّذِيٓ أَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡكَ وَهُمۡ يَكۡفُرُونَ بِٱلرَّحۡمَٰنِۚ قُلۡ هُوَ رَبِّي لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ عَلَيۡهِ تَوَكَّلۡتُ وَإِلَيۡهِ مَتَابِ
(Aey Muhammad) isi shaan se humne tumko Rasool bana kar bheja hai, ek aisi qaum mein jissey pehle bahut si qaumein guzar chuki hain, taa-ke tum in logon ko woh paigham sunao jo humne tumpar nazil kiya hai, is haal mein ke yeh apne nihayat meharbaan khuda ke kafir baney huey hain. Insey kaho ke wahi mera Rubb hai, uske siwa koi mabood nahin hai, usi par maine bharosa kiya aur wahi mera malja-o-mawi hai (He is my sole Resort/On Him is my trust, and to Him do I turn)
Surah Ar-Rad, Verse 30
وَلَوۡ أَنَّ قُرۡءَانٗا سُيِّرَتۡ بِهِ ٱلۡجِبَالُ أَوۡ قُطِّعَتۡ بِهِ ٱلۡأَرۡضُ أَوۡ كُلِّمَ بِهِ ٱلۡمَوۡتَىٰۗ بَل لِّلَّهِ ٱلۡأَمۡرُ جَمِيعًاۗ أَفَلَمۡ يَاْيۡـَٔسِ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَن لَّوۡ يَشَآءُ ٱللَّهُ لَهَدَى ٱلنَّاسَ جَمِيعٗاۗ وَلَا يَزَالُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ تُصِيبُهُم بِمَا صَنَعُواْ قَارِعَةٌ أَوۡ تَحُلُّ قَرِيبٗا مِّن دَارِهِمۡ حَتَّىٰ يَأۡتِيَ وَعۡدُ ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُخۡلِفُ ٱلۡمِيعَادَ
Aur kya ho jata agar koi aisa Quran utaar diya jata jiske zoar se pahad chalne lagey, ya zameen shaqq ho (phatt) jaati, ya murde qabaron se nikal kar bolne lagte? (Is tarah ki nishaniyan dikha dena kuch mushkil nahin hai) balke saara ikhtiyar hi Allah ke haath mein hai. Phir kya ehle iman (abhi tak kuffar ki talab ke jawab mein kisi nishani ke zahoor ki aas lagaye baithey hain aur woh yeh jaan kar) mayous nahin ho gaye ke agar Allah chahta to sarey Insaano ko hidayat de deta? Jin logon ne khuda ke saath kufr ka rawayya ikhtiyar kar rakkha hai unpar unke kartooton ki wajah se koi na koi aafat aati hi rehti hai ya unke ghar ke qareeb kahin nazil hoti hai.Yeh silsila chata rahega yahan tak ke Allah ka wada aan poora ho. Yaqeenan Allah apne wadey ki khilaf warzi nahin karta
Surah Ar-Rad, Verse 31
وَلَقَدِ ٱسۡتُهۡزِئَ بِرُسُلٖ مِّن قَبۡلِكَ فَأَمۡلَيۡتُ لِلَّذِينَ كَفَرُواْ ثُمَّ أَخَذۡتُهُمۡۖ فَكَيۡفَ كَانَ عِقَابِ
Tumse pehle bhi bahut se Rasoolon ka mazaak udaya jaa chuka hai, magar maine hamesha munkireen ko dheel di aur aakhir e kaar unko pakad liya, phir dekhlo ke meri saza kaisi sakht thi
Surah Ar-Rad, Verse 32
أَفَمَنۡ هُوَ قَآئِمٌ عَلَىٰ كُلِّ نَفۡسِۭ بِمَا كَسَبَتۡۗ وَجَعَلُواْ لِلَّهِ شُرَكَآءَ قُلۡ سَمُّوهُمۡۚ أَمۡ تُنَبِّـُٔونَهُۥ بِمَا لَا يَعۡلَمُ فِي ٱلۡأَرۡضِ أَم بِظَٰهِرٖ مِّنَ ٱلۡقَوۡلِۗ بَلۡ زُيِّنَ لِلَّذِينَ كَفَرُواْ مَكۡرُهُمۡ وَصُدُّواْ عَنِ ٱلسَّبِيلِۗ وَمَن يُضۡلِلِ ٱللَّهُ فَمَا لَهُۥ مِنۡ هَادٖ
Phir kya woh jo ek ek mutanaffis(every soul) ki kamayi par nazar rakhta hai ( uske muqable mein yeh jasaratein ki jaa rahi hain ke) logon ne uske kuch shareek thehra rakkhey hain? (Aey Nabi), insey kaho (agar waqayi woh khuda ke apne banaye huey shareek hain to) zara unke naam lo ke woh kaun hain? Kya tum Allah ko ek nayi baat ki khabar de rahey ho jisey woh apni zameen mein nahin jaanta? Ya tum log bas yunhi jo mooh mein aata hai keh daalte ho? Haqeeqat yeh hai ke jin logon ne dawat e haqq ko maanne se inkar kiya hai unke liye unki makkariyan khushnuma bana di gayi hain aur woh raah-e-raast se roak diye gaye hain, phir jisko Allah gumraahi mein phenk de usey koi raah dikhane wala nahin hai
Surah Ar-Rad, Verse 33
لَّهُمۡ عَذَابٞ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۖ وَلَعَذَابُ ٱلۡأٓخِرَةِ أَشَقُّۖ وَمَا لَهُم مِّنَ ٱللَّهِ مِن وَاقٖ
Aisey logon ke liye duniya ki zindagi hi mein azaab hai, aur aakhirat ka azaab ussey bhi zyada sakht hai, koi aisa nahin jo unhein khuda se bachane wala ho
Surah Ar-Rad, Verse 34
۞مَّثَلُ ٱلۡجَنَّةِ ٱلَّتِي وُعِدَ ٱلۡمُتَّقُونَۖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۖ أُكُلُهَا دَآئِمٞ وَظِلُّهَاۚ تِلۡكَ عُقۡبَى ٱلَّذِينَ ٱتَّقَواْۚ وَّعُقۡبَى ٱلۡكَٰفِرِينَ ٱلنَّارُ
Khuda tars Insaano ke liye jis jannat ka wada kiya gaya hai uski shaan yeh hai ke uske nichey nehrein (canals) beh rahi hain, uske phal (fruits) daimi(eternal) hain aur uska saaya la-zawal (perpetual). Yeh anjaam hai muttaqi(pious) logon ka, aur munkireen e haqq ka anjaam yeh hai ke unke liye dozakh ki aag hai
Surah Ar-Rad, Verse 35
وَٱلَّذِينَ ءَاتَيۡنَٰهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ يَفۡرَحُونَ بِمَآ أُنزِلَ إِلَيۡكَۖ وَمِنَ ٱلۡأَحۡزَابِ مَن يُنكِرُ بَعۡضَهُۥۚ قُلۡ إِنَّمَآ أُمِرۡتُ أَنۡ أَعۡبُدَ ٱللَّهَ وَلَآ أُشۡرِكَ بِهِۦٓۚ إِلَيۡهِ أَدۡعُواْ وَإِلَيۡهِ مَـَٔابِ
(Aey Nabi), jin logon ko humne pehle kitab di thi woh is kitab se jo humne tumpar nazil ki hai khush hain aur mukhtalif girohon mein kuch log aisey bhi hain jo iski baaz baaton ko nahin maante. Tum saaf kehdo ke “mujhey to sirf Allah ki bandagi ka hukum diya gaya hai aur issey mana kiya gaya hai ke kisi ko uske saath shareek thehraoon, lihaza main usi ki taraf dawat deta hoon aur usi ki taraf mera rujoo hai (myself turn to Him)”
Surah Ar-Rad, Verse 36
وَكَذَٰلِكَ أَنزَلۡنَٰهُ حُكۡمًا عَرَبِيّٗاۚ وَلَئِنِ ٱتَّبَعۡتَ أَهۡوَآءَهُم بَعۡدَ مَا جَآءَكَ مِنَ ٱلۡعِلۡمِ مَا لَكَ مِنَ ٱللَّهِ مِن وَلِيّٖ وَلَا وَاقٖ
Isi hidayat ke saath humne yeh farmaan-e-arabi tumpar nazil kiya hai . Ab agar tumne is ilm ke bawajood jo tumhare paas aa chuka hai logon ki khwahishat ki pairwi ki to Allah ke muqable mein na koi tumhara haami o madadgaar hai aur na koi uski pakad se tumko bacha sakta hai
Surah Ar-Rad, Verse 37
وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا رُسُلٗا مِّن قَبۡلِكَ وَجَعَلۡنَا لَهُمۡ أَزۡوَٰجٗا وَذُرِّيَّةٗۚ وَمَا كَانَ لِرَسُولٍ أَن يَأۡتِيَ بِـَٔايَةٍ إِلَّا بِإِذۡنِ ٱللَّهِۗ لِكُلِّ أَجَلٖ كِتَابٞ
Tumse pehle bhi hum bahut se Rasool bhej chuke hain aur unko humne biwi bacchon wala hi banaya tha, aur kisi Rasool ki bhi yeh taaqat na thi ke Allah ke izan ke bagair koi nishani khud laa dikhata. Har daur ke liye ek kitab hai
Surah Ar-Rad, Verse 38
يَمۡحُواْ ٱللَّهُ مَا يَشَآءُ وَيُثۡبِتُۖ وَعِندَهُۥٓ أُمُّ ٱلۡكِتَٰبِ
Allah jo kuch chahta hai mitaa deta hai aur jis cheez ko chahta hai qayam rakhta hai, ummul kitab (Original Book) usi ke paas hai
Surah Ar-Rad, Verse 39
وَإِن مَّا نُرِيَنَّكَ بَعۡضَ ٱلَّذِي نَعِدُهُمۡ أَوۡ نَتَوَفَّيَنَّكَ فَإِنَّمَا عَلَيۡكَ ٱلۡبَلَٰغُ وَعَلَيۡنَا ٱلۡحِسَابُ
Aur (Aey Nabi), jis burey anjaam ki dhamki hum in logon ko de rahey hain uska koi hissa khwa hum tumhare jeete jee dikha dein ya uske zahoor mein aane se pehle hum tumhein utha lein, bahar haal tumhara kaam sirf paigham pahuncha dena hai aur hisaab lena hamara kaam hai
Surah Ar-Rad, Verse 40
أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّا نَأۡتِي ٱلۡأَرۡضَ نَنقُصُهَا مِنۡ أَطۡرَافِهَاۚ وَٱللَّهُ يَحۡكُمُ لَا مُعَقِّبَ لِحُكۡمِهِۦۚ وَهُوَ سَرِيعُ ٱلۡحِسَابِ
Kya yeh log dekhte nahin hain ke hum is sar-zameen par chale aa rahey hain aur iska daira (boundaries) har taraf se tangg karte chale aate hain? Allah hukumat kar raha hai, koi uske faislon par nazar-e-saani(revise) karne wala nahin hai, aur usey hisaab letey kuch dair nahin lagti
Surah Ar-Rad, Verse 41
وَقَدۡ مَكَرَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ فَلِلَّهِ ٱلۡمَكۡرُ جَمِيعٗاۖ يَعۡلَمُ مَا تَكۡسِبُ كُلُّ نَفۡسٖۗ وَسَيَعۡلَمُ ٱلۡكُفَّـٰرُ لِمَنۡ عُقۡبَى ٱلدَّارِ
Insey pehle jo log ho guzre hain woh bhi badi badi chalein chal chuke hain, magar asal faisla-kun chaal to poori ki poori Allah hi ke haath mein hai. Woh jaanta hai ke kaun kya kuch kamayi kar raha hai, aur anqareeb yeh munkireen-e-haqq (disbelievers) dekh lenge ke anjaam kiska ba-khair hota hai
Surah Ar-Rad, Verse 42
وَيَقُولُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَسۡتَ مُرۡسَلٗاۚ قُلۡ كَفَىٰ بِٱللَّهِ شَهِيدَۢا بَيۡنِي وَبَيۡنَكُمۡ وَمَنۡ عِندَهُۥ عِلۡمُ ٱلۡكِتَٰبِ
Yeh munkireen kehte hain ke tum khuda ke bheje huey nahin ho. Kaho “mere aur tumhare darmiyan Allah ki gawahi kafi hai, aur phir har us shaks ki gawahi jo kitaab e aasmani ka ilm rakhta hai”
Surah Ar-Rad, Verse 43