Surah Ibrahim Verse 11 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Ibrahimقَالَتۡ لَهُمۡ رُسُلُهُمۡ إِن نَّحۡنُ إِلَّا بَشَرٞ مِّثۡلُكُمۡ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ يَمُنُّ عَلَىٰ مَن يَشَآءُ مِنۡ عِبَادِهِۦۖ وَمَا كَانَ لَنَآ أَن نَّأۡتِيَكُم بِسُلۡطَٰنٍ إِلَّا بِإِذۡنِ ٱللَّهِۚ وَعَلَى ٱللَّهِ فَلۡيَتَوَكَّلِ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ
Unke Rasoolon ne unsey kaha “waqai hum kuch nahin hain magar tum hi jaise Insaan, lekin Allah apne bandon mein se jisko chahta hai nawazta hai aur yeh hamare ikhtiyar mein nahin hai ke tumhein koi sanad laa dein. Sanad to Allah hi ke izan (permission/will) se aa sakti hai. Aur Allah hi par ehle iman ko bharosa karna chahiye