Surah Ibrahim Verse 10 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Ibrahim۞قَالَتۡ رُسُلُهُمۡ أَفِي ٱللَّهِ شَكّٞ فَاطِرِ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ يَدۡعُوكُمۡ لِيَغۡفِرَ لَكُم مِّن ذُنُوبِكُمۡ وَيُؤَخِّرَكُمۡ إِلَىٰٓ أَجَلٖ مُّسَمّٗىۚ قَالُوٓاْ إِنۡ أَنتُمۡ إِلَّا بَشَرٞ مِّثۡلُنَا تُرِيدُونَ أَن تَصُدُّونَا عَمَّا كَانَ يَعۡبُدُ ءَابَآؤُنَا فَأۡتُونَا بِسُلۡطَٰنٖ مُّبِينٖ
Unke Rasoolon ne kaha “kya khuda ke barey mein Shakk hai jo aasmano aur zameen ka khaliq hai? Woh tumhein bula raha hai taa-ke tumhare kasoor maaf karey aur tumko ek muddat-e-muqarrar tak mohlat de”. Unhon ne jawab diya “ tum kuch nahin ho magar waise hi Insaan jaise hum hain , tum humein un hastiyon ki bandagi se rokna chahte ho jinki bandagi baap dada se hoti chali aa rahi hai, accha to lao koi sareeh sanad(clear proof)”