Surah Ibrahim Verse 9 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Ibrahimأَلَمۡ يَأۡتِكُمۡ نَبَؤُاْ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِكُمۡ قَوۡمِ نُوحٖ وَعَادٖ وَثَمُودَ وَٱلَّذِينَ مِنۢ بَعۡدِهِمۡ لَا يَعۡلَمُهُمۡ إِلَّا ٱللَّهُۚ جَآءَتۡهُمۡ رُسُلُهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَرَدُّوٓاْ أَيۡدِيَهُمۡ فِيٓ أَفۡوَٰهِهِمۡ وَقَالُوٓاْ إِنَّا كَفَرۡنَا بِمَآ أُرۡسِلۡتُم بِهِۦ وَإِنَّا لَفِي شَكّٖ مِّمَّا تَدۡعُونَنَآ إِلَيۡهِ مُرِيبٖ
Kya tumhein un qaumon ke halaat nahin pahunche jo tumse pehle guzar chuki hain? Qaum-e-Nooh, Aad, Samood aur unke baad aane wali bahut se qaumein jinka shumar Allah hi ko maloom hai? Unke Rasool jab unke paas saaf saaf baatein aur khuli khuli nishaniyan liye huey aaye to unhon ne apne mooh mein haath daba liye aur kaha ke “ jis paigaam ke saath tum bheje gaye ho hum usko nahin maante aur jis cheez ki tum humein dawat dete ho uski taraf se hum sakht khaljan aameiz shakk (disquieting doubt) mein padey huey hain”