Surah Al-Hijr - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
الٓرۚ تِلۡكَ ءَايَٰتُ ٱلۡكِتَٰبِ وَقُرۡءَانٖ مُّبِينٖ
alif laam raa ye ktaabe ilaahi ki aayate hai aur khole aur roushan Qur’an ki
Surah Al-Hijr, Verse 1
رُّبَمَا يَوَدُّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَوۡ كَانُواْ مُسۡلِمِينَ
wo bhi waqt hoga, ke kaafir apne musalmaan hone ki aarzo karenge
Surah Al-Hijr, Verse 2
ذَرۡهُمۡ يَأۡكُلُواْ وَيَتَمَتَّعُواْ وَيُلۡهِهِمُ ٱلۡأَمَلُۖ فَسَوۡفَ يَعۡلَمُونَ
aap unhe khaata, nafa uthaata aur (jhoti) ummido mein mashghool hota chohd dijiye, ye khud abhi jaan lenge
Surah Al-Hijr, Verse 3
وَمَآ أَهۡلَكۡنَا مِن قَرۡيَةٍ إِلَّا وَلَهَا كِتَابٞ مَّعۡلُومٞ
kisi basti ko hum ne halaak nahi kiya magar ye ke us ke liye muqarrara navishta1 tha
Surah Al-Hijr, Verse 4
مَّا تَسۡبِقُ مِنۡ أُمَّةٍ أَجَلَهَا وَمَا يَسۡتَـٔۡخِرُونَ
koyi gruh apni mauth se na aage badta hai na piche rehta hai
Surah Al-Hijr, Verse 5
وَقَالُواْ يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِي نُزِّلَ عَلَيۡهِ ٱلذِّكۡرُ إِنَّكَ لَمَجۡنُونٞ
unhone kaha ke aye wo shaqs jis par Qur’aan utara gaya hai yaqinan tu, to koyi diwana hai
Surah Al-Hijr, Verse 6
لَّوۡمَا تَأۡتِينَا بِٱلۡمَلَـٰٓئِكَةِ إِن كُنتَ مِنَ ٱلصَّـٰدِقِينَ
agar tu saccha hee hai to hamaare paas farishto ko kyo nahi laata
Surah Al-Hijr, Verse 7
مَا نُنَزِّلُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةَ إِلَّا بِٱلۡحَقِّ وَمَا كَانُوٓاْ إِذٗا مُّنظَرِينَ
hum farishto ko haq ke saath hee utaarte hai aur us waqt wo mahulath diye gaye nahi hote
Surah Al-Hijr, Verse 8
إِنَّا نَحۡنُ نَزَّلۡنَا ٱلذِّكۡرَ وَإِنَّا لَهُۥ لَحَٰفِظُونَ
hum ne hee is Qur’an ko naazil farmaya hai aur hum hee is ke muhaafiz hai
Surah Al-Hijr, Verse 9
وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا مِن قَبۡلِكَ فِي شِيَعِ ٱلۡأَوَّلِينَ
hum ne aap se pehle agli ummato mein bhi apne rasool (baraabar) bheje
Surah Al-Hijr, Verse 10
وَمَا يَأۡتِيهِم مِّن رَّسُولٍ إِلَّا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ
aur (lekin) jo bhi rasool aata wo us ka mazaaq udaate
Surah Al-Hijr, Verse 11
كَذَٰلِكَ نَسۡلُكُهُۥ فِي قُلُوبِ ٱلۡمُجۡرِمِينَ
gunahgaaro ke dilo mein hum isi tarah yahi racha diya karte hai
Surah Al-Hijr, Verse 12
لَا يُؤۡمِنُونَ بِهِۦ وَقَدۡ خَلَتۡ سُنَّةُ ٱلۡأَوَّلِينَ
wo us par imaan nahi laate aur yaqinan aglo ka tariqa guzra hoa hai
Surah Al-Hijr, Verse 13
وَلَوۡ فَتَحۡنَا عَلَيۡهِم بَابٗا مِّنَ ٱلسَّمَآءِ فَظَلُّواْ فِيهِ يَعۡرُجُونَ
aur agar hum un par aasmaan ka darwaza khol bhi de aur ye waha chadne bhi lag jaaye
Surah Al-Hijr, Verse 14
لَقَالُوٓاْ إِنَّمَا سُكِّرَتۡ أَبۡصَٰرُنَا بَلۡ نَحۡنُ قَوۡمٞ مَّسۡحُورُونَ
tab bhi yahi kahenge ke hamari nazar bandi kardi gayi hai, balke hum logo par jaadu kar diya gaya hai
Surah Al-Hijr, Verse 15
وَلَقَدۡ جَعَلۡنَا فِي ٱلسَّمَآءِ بُرُوجٗا وَزَيَّنَّـٰهَا لِلنَّـٰظِرِينَ
yaqinan hum ne aasmaan mein burj2 banaaye hai aur dekhne walo ke liye ose sajaa diya gaya hai
Surah Al-Hijr, Verse 16
وَحَفِظۡنَٰهَا مِن كُلِّ شَيۡطَٰنٖ رَّجِيمٍ
aur ose har mardoodh shaitaan se mehfooz rakha hai
Surah Al-Hijr, Verse 17
إِلَّا مَنِ ٱسۡتَرَقَ ٱلسَّمۡعَ فَأَتۡبَعَهُۥ شِهَابٞ مُّبِينٞ
haan magar jo chori chupe sunne ki koshish kare us ke piche dehekta hoa (khula shola) lagta hai
Surah Al-Hijr, Verse 18
وَٱلۡأَرۡضَ مَدَدۡنَٰهَا وَأَلۡقَيۡنَا فِيهَا رَوَٰسِيَ وَأَنۢبَتۡنَا فِيهَا مِن كُلِّ شَيۡءٖ مَّوۡزُونٖ
aur zameen ko hum ne phaila diya hai aur us par (atal) pahaad daal diye hai aur us mein hum ne har cheez ek muayyan meghdaar se ugaadi hai
Surah Al-Hijr, Verse 19
وَجَعَلۡنَا لَكُمۡ فِيهَا مَعَٰيِشَ وَمَن لَّسۡتُمۡ لَهُۥ بِرَٰزِقِينَ
aur osi mein hum ne tumhari roziya banadi hai aur jinhe tum rozi dene wale nahi ho
Surah Al-Hijr, Verse 20
وَإِن مِّن شَيۡءٍ إِلَّا عِندَنَا خَزَآئِنُهُۥ وَمَا نُنَزِّلُهُۥٓ إِلَّا بِقَدَرٖ مَّعۡلُومٖ
aur jitni bhi cheeze hai un sub ke khazaane hamare paas hai aur hum har cheez ko us ke muqarrara andaaz se utaarte hai
Surah Al-Hijr, Verse 21
وَأَرۡسَلۡنَا ٱلرِّيَٰحَ لَوَٰقِحَ فَأَنزَلۡنَا مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَأَسۡقَيۡنَٰكُمُوهُ وَمَآ أَنتُمۡ لَهُۥ بِخَٰزِنِينَ
aur hum bhejte hai bhujal hawaae phir aasmaan se paani barsa kar wo tumhe pilaate hai aur tum us ka zaqira karne wale nahi ho
Surah Al-Hijr, Verse 22
وَإِنَّا لَنَحۡنُ نُحۡيِۦ وَنُمِيتُ وَنَحۡنُ ٱلۡوَٰرِثُونَ
hum hee jilaate hai aur maarte hai aur hum hee (bil aaqar) waaris hai
Surah Al-Hijr, Verse 23
وَلَقَدۡ عَلِمۡنَا ٱلۡمُسۡتَقۡدِمِينَ مِنكُمۡ وَلَقَدۡ عَلِمۡنَا ٱلۡمُسۡتَـٔۡخِرِينَ
aur tum mein se aage badne wale aur piche hatne wale bhi hamare ilm mein hai
Surah Al-Hijr, Verse 24
وَإِنَّ رَبَّكَ هُوَ يَحۡشُرُهُمۡۚ إِنَّهُۥ حَكِيمٌ عَلِيمٞ
aap ka rab sab logo ko jama karega yaqinan wo badi hikmato wala bade ilm wala hai
Surah Al-Hijr, Verse 25
وَلَقَدۡ خَلَقۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ مِن صَلۡصَٰلٖ مِّنۡ حَمَإٖ مَّسۡنُونٖ
yaqinan hum ne insaan ko kaali aur sadi hoyi khan-khanaati mitti se paida farmaya hai
Surah Al-Hijr, Verse 26
وَٱلۡجَآنَّ خَلَقۡنَٰهُ مِن قَبۡلُ مِن نَّارِ ٱلسَّمُومِ
aur us se pehle jinnaath ko hum ne loo wali aag se paida kiya
Surah Al-Hijr, Verse 27
وَإِذۡ قَالَ رَبُّكَ لِلۡمَلَـٰٓئِكَةِ إِنِّي خَٰلِقُۢ بَشَرٗا مِّن صَلۡصَٰلٖ مِّنۡ حَمَإٖ مَّسۡنُونٖ
aur jab tere parvardigaar ne farishto se farmaya ke main ek insaan ko kaali aur sadi hoyi khan-khanaati mitti se paida karne wala hoon
Surah Al-Hijr, Verse 28
فَإِذَا سَوَّيۡتُهُۥ وَنَفَخۡتُ فِيهِ مِن رُّوحِي فَقَعُواْ لَهُۥ سَٰجِدِينَ
to jab main ose pura bana chuko, aur us mein apni ruh phok doon to tum sub us ke liye sajde mein gir padna
Surah Al-Hijr, Verse 29
فَسَجَدَ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ كُلُّهُمۡ أَجۡمَعُونَ
chuna che tamaam farishto ne, sab ke sab ne sajda kar liya
Surah Al-Hijr, Verse 30
إِلَّآ إِبۡلِيسَ أَبَىٰٓ أَن يَكُونَ مَعَ ٱلسَّـٰجِدِينَ
magar iblees ke, ke us ne sajda karne walo mein shamuliyath karne se (saaf) inkaar kar diya
Surah Al-Hijr, Verse 31
قَالَ يَـٰٓإِبۡلِيسُ مَا لَكَ أَلَّا تَكُونَ مَعَ ٱلسَّـٰجِدِينَ
(Allah ta’ala ne) farmaya aye iblees, tujhe kya hoa ke tu sajda karne walo mein shamil na hoa
Surah Al-Hijr, Verse 32
قَالَ لَمۡ أَكُن لِّأَسۡجُدَ لِبَشَرٍ خَلَقۡتَهُۥ مِن صَلۡصَٰلٖ مِّنۡ حَمَإٖ مَّسۡنُونٖ
wo bola ke main aisa nahi ke is insaan ko sajda karo jise tu ne kaali aur sadi hoyi khan-khanaati mitthi se paida kiya hai
Surah Al-Hijr, Verse 33
قَالَ فَٱخۡرُجۡ مِنۡهَا فَإِنَّكَ رَجِيمٞ
farmaya ab tu bahisht se nikal ja kyo ke tu raanda darga3 hai
Surah Al-Hijr, Verse 34
وَإِنَّ عَلَيۡكَ ٱللَّعۡنَةَ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلدِّينِ
aur tujh par meri phitkaar hai qayaamat ke din tak
Surah Al-Hijr, Verse 35
قَالَ رَبِّ فَأَنظِرۡنِيٓ إِلَىٰ يَوۡمِ يُبۡعَثُونَ
kehne laga ke aye mere rub mujhe us din tak ki dheel de ke log dubaara utha khade kiye jaaye
Surah Al-Hijr, Verse 36
قَالَ فَإِنَّكَ مِنَ ٱلۡمُنظَرِينَ
farmaya ke accha tu un mein se hai jinhe muhullath mili hai
Surah Al-Hijr, Verse 37
إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡوَقۡتِ ٱلۡمَعۡلُومِ
roze muqarrar tak ke waqt ki
Surah Al-Hijr, Verse 38
قَالَ رَبِّ بِمَآ أَغۡوَيۡتَنِي لَأُزَيِّنَنَّ لَهُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَأُغۡوِيَنَّهُمۡ أَجۡمَعِينَ
(shaitaan ne) kaha ke aye mere rab! chu ke tu ne mujhe gumrah kiya hai mujhe bhi qasam hai ke main bhi zameen mein un ke liye mu-aasi4 ko muzayyan5 karonga aur un sab ko behkaaonga bhi
Surah Al-Hijr, Verse 39
إِلَّا عِبَادَكَ مِنۡهُمُ ٱلۡمُخۡلَصِينَ
sivaae tere un bandho ke jo muntaqab kar liye gaye hai
Surah Al-Hijr, Verse 40
قَالَ هَٰذَا صِرَٰطٌ عَلَيَّ مُسۡتَقِيمٌ
irshaad hoa ke haan yahi mujh tak pahonchne ki sidhi raah hai
Surah Al-Hijr, Verse 41
إِنَّ عِبَادِي لَيۡسَ لَكَ عَلَيۡهِمۡ سُلۡطَٰنٌ إِلَّا مَنِ ٱتَّبَعَكَ مِنَ ٱلۡغَاوِينَ
mere bandho par tujhe koi ghalba nahi lekin haan jo gumraah log teri pairvi kare
Surah Al-Hijr, Verse 42
وَإِنَّ جَهَنَّمَ لَمَوۡعِدُهُمۡ أَجۡمَعِينَ
yaqinan un sub ke waade ki jageh jahannam hai
Surah Al-Hijr, Verse 43
لَهَا سَبۡعَةُ أَبۡوَٰبٖ لِّكُلِّ بَابٖ مِّنۡهُمۡ جُزۡءٞ مَّقۡسُومٌ
jis ke saath darwaaze hai, har darwaaze ke liye un ka ek hissa bata hoa hai
Surah Al-Hijr, Verse 44
إِنَّ ٱلۡمُتَّقِينَ فِي جَنَّـٰتٖ وَعُيُونٍ
parhezgaar jannati log baagho aur chashmo mein honge
Surah Al-Hijr, Verse 45
ٱدۡخُلُوهَا بِسَلَٰمٍ ءَامِنِينَ
(un se kaha jayega) salaamti aur aman ke saath is mein dakhil ho jao
Surah Al-Hijr, Verse 46
وَنَزَعۡنَا مَا فِي صُدُورِهِم مِّنۡ غِلٍّ إِخۡوَٰنًا عَلَىٰ سُرُرٖ مُّتَقَٰبِلِينَ
un ke dilo mein jo kuch ranjish wa kina tha hum sub kuch nikaal denge, wo bhai bhai bane hoye ek dosre ke aamne saamne taqto par baithe honge
Surah Al-Hijr, Verse 47
لَا يَمَسُّهُمۡ فِيهَا نَصَبٞ وَمَا هُم مِّنۡهَا بِمُخۡرَجِينَ
na to waha unhe koi takleef cho sakti hai aur na wo wahaa se kabhi nkaale jayenge
Surah Al-Hijr, Verse 48
۞نَبِّئۡ عِبَادِيٓ أَنِّيٓ أَنَا ٱلۡغَفُورُ ٱلرَّحِيمُ
mere bandho ko qabar de do ke main bahuth hee baqshne wala aur bada hee meherbaan hoon
Surah Al-Hijr, Verse 49
وَأَنَّ عَذَابِي هُوَ ٱلۡعَذَابُ ٱلۡأَلِيمُ
aur saath hee mere azaab bhi nihaayath dardnaak hai
Surah Al-Hijr, Verse 50
وَنَبِّئۡهُمۡ عَن ضَيۡفِ إِبۡرَٰهِيمَ
unhe ibraheem ke mehmaano ka (bhi) haal suna do
Surah Al-Hijr, Verse 51
إِذۡ دَخَلُواْ عَلَيۡهِ فَقَالُواْ سَلَٰمٗا قَالَ إِنَّا مِنكُمۡ وَجِلُونَ
ke jab unhone un ke paas aa kar salaam kaha to unhone kaha ke hum ko to tum se dar lagta hai
Surah Al-Hijr, Verse 52
قَالُواْ لَا تَوۡجَلۡ إِنَّا نُبَشِّرُكَ بِغُلَٰمٍ عَلِيمٖ
unhone kaha daro nahi, hum tujhe ek saahebe ilm farzand ki bashaarat dete hai
Surah Al-Hijr, Verse 53
قَالَ أَبَشَّرۡتُمُونِي عَلَىٰٓ أَن مَّسَّنِيَ ٱلۡكِبَرُ فَبِمَ تُبَشِّرُونَ
kaha kya is bhudaape ke aa jaane ke baadh tum mujhe khush qabri dete ho! ye khush qabri tum kaise de rahe ho
Surah Al-Hijr, Verse 54
قَالُواْ بَشَّرۡنَٰكَ بِٱلۡحَقِّ فَلَا تَكُن مِّنَ ٱلۡقَٰنِطِينَ
unhone kaha hum aap ko bilkul sacchi khush qabri sunaate hai, aap mayoos logo mein shaamil na ho
Surah Al-Hijr, Verse 55
قَالَ وَمَن يَقۡنَطُ مِن رَّحۡمَةِ رَبِّهِۦٓ إِلَّا ٱلضَّآلُّونَ
kaha apne rab ta’ala ki rehmat se na ummid to sirf gumraah aur behke hoye log hee hote hai
Surah Al-Hijr, Verse 56
قَالَ فَمَا خَطۡبُكُمۡ أَيُّهَا ٱلۡمُرۡسَلُونَ
pucha ke Allah ke bheje hoye (farishto!) tumhara aisa kya ehem kaam hai
Surah Al-Hijr, Verse 57
قَالُوٓاْ إِنَّآ أُرۡسِلۡنَآ إِلَىٰ قَوۡمٖ مُّجۡرِمِينَ
unhone jawaab diya ke hum mujrim khaum ki taraf bheje gaye hai
Surah Al-Hijr, Verse 58
إِلَّآ ءَالَ لُوطٍ إِنَّا لَمُنَجُّوهُمۡ أَجۡمَعِينَ
magar khandaan looth ke, hum un sub ko to zaroor bacha lenge
Surah Al-Hijr, Verse 59
إِلَّا ٱمۡرَأَتَهُۥ قَدَّرۡنَآ إِنَّهَا لَمِنَ ٱلۡغَٰبِرِينَ
sivayae us (looth) ki biwi ke, ke hum ne ose rukne aur baaqi reh jaane walo mein muqarrar kar diya hai
Surah Al-Hijr, Verse 60
فَلَمَّا جَآءَ ءَالَ لُوطٍ ٱلۡمُرۡسَلُونَ
jab bheje hoye farishte aale looth ke paas pahonche
Surah Al-Hijr, Verse 61
قَالَ إِنَّكُمۡ قَوۡمٞ مُّنكَرُونَ
to unhone (looth alaihissalaam) ne kaha tum log to kuch anjaan se maloom ho rahe ho
Surah Al-Hijr, Verse 62
قَالُواْ بَلۡ جِئۡنَٰكَ بِمَا كَانُواْ فِيهِ يَمۡتَرُونَ
unhone kaha nahi balke hum tere paas wo cheez laye hai jis mein ye log shak shuba kar rahe thein
Surah Al-Hijr, Verse 63
وَأَتَيۡنَٰكَ بِٱلۡحَقِّ وَإِنَّا لَصَٰدِقُونَ
hum to tere paas (sarih) haq laaye hai aur hai bhi bilkul sacche
Surah Al-Hijr, Verse 64
فَأَسۡرِ بِأَهۡلِكَ بِقِطۡعٖ مِّنَ ٱلَّيۡلِ وَٱتَّبِعۡ أَدۡبَٰرَهُمۡ وَلَا يَلۡتَفِتۡ مِنكُمۡ أَحَدٞ وَٱمۡضُواْ حَيۡثُ تُؤۡمَرُونَ
ab tu apne khandaan sameth is raath ke kisi hisse mein chal de, aur aap un ke piche rehna aur (qabardaar) tum mein se koyi (piche) mud kar bhi na dekhe aur jahaan ka tumhe hukm kiya ja raha hai waha chale jaana
Surah Al-Hijr, Verse 65
وَقَضَيۡنَآ إِلَيۡهِ ذَٰلِكَ ٱلۡأَمۡرَ أَنَّ دَابِرَ هَـٰٓؤُلَآءِ مَقۡطُوعٞ مُّصۡبِحِينَ
aur hum ne us ki taraf is baath ka faisla kar diya ke subah hote hote un logo ki jade kaat di jayengi
Surah Al-Hijr, Verse 66
وَجَآءَ أَهۡلُ ٱلۡمَدِينَةِ يَسۡتَبۡشِرُونَ
aur shahar waale khushiya manaate hoye aaye
Surah Al-Hijr, Verse 67
قَالَ إِنَّ هَـٰٓؤُلَآءِ ضَيۡفِي فَلَا تَفۡضَحُونِ
(looth alaihissalaam ne) kaha ye log mere mehmaan hai, tum mujhe ruswa na karo
Surah Al-Hijr, Verse 68
وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَلَا تُخۡزُونِ
Allah ta’ala se daro aur mujhe ruswa na karo
Surah Al-Hijr, Verse 69
قَالُوٓاْ أَوَلَمۡ نَنۡهَكَ عَنِ ٱلۡعَٰلَمِينَ
wo bole kya hum ne tujhe dunya bhar (ki theke daari) se mana nahi kar rakha
Surah Al-Hijr, Verse 70
قَالَ هَـٰٓؤُلَآءِ بَنَاتِيٓ إِن كُنتُمۡ فَٰعِلِينَ
(looth alaihissalaaam ne) kaha agar tumhe karna hee hai to ye meri bacchiya maujoodh hai
Surah Al-Hijr, Verse 71
لَعَمۡرُكَ إِنَّهُمۡ لَفِي سَكۡرَتِهِمۡ يَعۡمَهُونَ
teri umr ki qasam! wo to apni badh masti mein sar garda thein
Surah Al-Hijr, Verse 72
فَأَخَذَتۡهُمُ ٱلصَّيۡحَةُ مُشۡرِقِينَ
pas suraj nikalte nikalte unhe ek bade zoor ki awaaz ne pakad liya
Surah Al-Hijr, Verse 73
فَجَعَلۡنَا عَٰلِيَهَا سَافِلَهَا وَأَمۡطَرۡنَا عَلَيۡهِمۡ حِجَارَةٗ مِّن سِجِّيلٍ
bil aaqir hum ne us shahar ko upar ta-le kar diya aur un logo par kankar waale patthar barsaaye
Surah Al-Hijr, Verse 74
إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّلۡمُتَوَسِّمِينَ
bila shuba basirath walo ke liye us mein bahuth si nishaaniya hai
Surah Al-Hijr, Verse 75
وَإِنَّهَا لَبِسَبِيلٖ مُّقِيمٍ
ye basti aisi raah par hai jo baraabar chalti rehti (aam guzar gaah) hai
Surah Al-Hijr, Verse 76
إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗ لِّلۡمُؤۡمِنِينَ
aur us mein imaan walo ke liye badi nishaani hai
Surah Al-Hijr, Verse 77
وَإِن كَانَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡأَيۡكَةِ لَظَٰلِمِينَ
ye ke basti ke rehne wale bhi bade zaalim thein
Surah Al-Hijr, Verse 78
فَٱنتَقَمۡنَا مِنۡهُمۡ وَإِنَّهُمَا لَبِإِمَامٖ مُّبِينٖ
jin se (aaqir) hum ne inteqaam le hee liya, ye duno shehar khole (aam) raaste par hai
Surah Al-Hijr, Verse 79
وَلَقَدۡ كَذَّبَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡحِجۡرِ ٱلۡمُرۡسَلِينَ
aur hijr walo ne bhi rasulo ko jhutlaaya
Surah Al-Hijr, Verse 80
وَءَاتَيۡنَٰهُمۡ ءَايَٰتِنَا فَكَانُواْ عَنۡهَا مُعۡرِضِينَ
aur hum ne un ko apni nishaaniya bhi ataa farmaai (lekin) taaham wo un se ro gardaani hee karte rahe
Surah Al-Hijr, Verse 81
وَكَانُواْ يَنۡحِتُونَ مِنَ ٱلۡجِبَالِ بُيُوتًا ءَامِنِينَ
ye log pahaado ko taraash taraash kar ghar banaate thein be khauf ho kar
Surah Al-Hijr, Verse 82
فَأَخَذَتۡهُمُ ٱلصَّيۡحَةُ مُصۡبِحِينَ
aaqir unhe bhi subah hote hote chinghaad ne aa dabocha
Surah Al-Hijr, Verse 83
فَمَآ أَغۡنَىٰ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ
pas un ki kisi tadbeer wa amal ne unhe koyi fayeda na diya
Surah Al-Hijr, Verse 84
وَمَا خَلَقۡنَا ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَمَا بَيۡنَهُمَآ إِلَّا بِٱلۡحَقِّۗ وَإِنَّ ٱلسَّاعَةَ لَأٓتِيَةٞۖ فَٱصۡفَحِ ٱلصَّفۡحَ ٱلۡجَمِيلَ
hum ne aasmaano aur zameen ko aur un ke darmiyaan ki sab cheezo ko haq ke saath hee paida farmaya hai aur qayaamath zaroor zaroor aane wali hai, pas tu husn wa qoobi aur (acchaayi) se darguzar karle
Surah Al-Hijr, Verse 85
إِنَّ رَبَّكَ هُوَ ٱلۡخَلَّـٰقُ ٱلۡعَلِيمُ
yaqinan tera parvardigaar hee paida karne wala aur jaanne wala hai
Surah Al-Hijr, Verse 86
وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَٰكَ سَبۡعٗا مِّنَ ٱلۡمَثَانِي وَٱلۡقُرۡءَانَ ٱلۡعَظِيمَ
yaqinan hum ne aap ko saath aayate de rakhi hai ke dohraayi jaati hai aur azeem Qur’aan bhi de rakha hai
Surah Al-Hijr, Verse 87
لَا تَمُدَّنَّ عَيۡنَيۡكَ إِلَىٰ مَا مَتَّعۡنَا بِهِۦٓ أَزۡوَٰجٗا مِّنۡهُمۡ وَلَا تَحۡزَنۡ عَلَيۡهِمۡ وَٱخۡفِضۡ جَنَاحَكَ لِلۡمُؤۡمِنِينَ
aap har giz apni nazre us cheez ki taraf na daudaaye jis se hum ne un mein se kayi qism ke logo ko behra mandh kar rakha hai, na un par aap afsoos kare aur momino ke liye apne baazo jhukaaye rahe
Surah Al-Hijr, Verse 88
وَقُلۡ إِنِّيٓ أَنَا ٱلنَّذِيرُ ٱلۡمُبِينُ
aur keh dijiye ke main to khullam khulla daraane wala hoon
Surah Al-Hijr, Verse 89
كَمَآ أَنزَلۡنَا عَلَى ٱلۡمُقۡتَسِمِينَ
jaise ke hum ne un taqseem karne waalo par utara
Surah Al-Hijr, Verse 90
ٱلَّذِينَ جَعَلُواْ ٱلۡقُرۡءَانَ عِضِينَ
jinhone is kitaab ilaahi ke tukde tukde kar diye
Surah Al-Hijr, Verse 91
فَوَرَبِّكَ لَنَسۡـَٔلَنَّهُمۡ أَجۡمَعِينَ
qasam hai tere paalne wale ki!hum un sab se zaroor baaz purs karenge
Surah Al-Hijr, Verse 92
عَمَّا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
har us cheez ki jo wo karte thein
Surah Al-Hijr, Verse 93
فَٱصۡدَعۡ بِمَا تُؤۡمَرُ وَأَعۡرِضۡ عَنِ ٱلۡمُشۡرِكِينَ
pas aap us hukm ko jo aap ko kiya ja raha hai khol kar suna dijiye! aur mushriko se mu pher lijiye
Surah Al-Hijr, Verse 94
إِنَّا كَفَيۡنَٰكَ ٱلۡمُسۡتَهۡزِءِينَ
aap se jo log masqara pan karte hai, un ki saza ke liye hum kaafi hai
Surah Al-Hijr, Verse 95
ٱلَّذِينَ يَجۡعَلُونَ مَعَ ٱللَّهِ إِلَٰهًا ءَاخَرَۚ فَسَوۡفَ يَعۡلَمُونَ
jo Allah ke saath dosre maboodh muqarrar karte hai, unhe an-qareeb maloom ho jayega
Surah Al-Hijr, Verse 96
وَلَقَدۡ نَعۡلَمُ أَنَّكَ يَضِيقُ صَدۡرُكَ بِمَا يَقُولُونَ
hamein qoob ilm hai ke un ki baatho se aap ka dil tang hota hai
Surah Al-Hijr, Verse 97
فَسَبِّحۡ بِحَمۡدِ رَبِّكَ وَكُن مِّنَ ٱلسَّـٰجِدِينَ
aap apne parvardigaar ki tasbih aur hamd bayaan karte rahe aur sajda karne walo mein shaamil ho jaye
Surah Al-Hijr, Verse 98
وَٱعۡبُدۡ رَبَّكَ حَتَّىٰ يَأۡتِيَكَ ٱلۡيَقِينُ
aur apne rub ki ibaadath karte rahe, yahaa tak ke aap ko mauth aa jaaye
Surah Al-Hijr, Verse 99