Surah Al-Hijr - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
الٓرۚ تِلۡكَ ءَايَٰتُ ٱلۡكِتَٰبِ وَقُرۡءَانٖ مُّبِينٖ
Alif Laam Raa .. yeh aayat hain kitab e ilahi aur Quran e mubeen ki
Surah Al-Hijr, Verse 1
رُّبَمَا يَوَدُّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَوۡ كَانُواْ مُسۡلِمِينَ
Baeed nahin ke ek waqt woh aa jaye jab wahi log jinhon ne aaj ( dawah e Islam ko qabool karne se) inkar kardiya hai pachta pachta kar kahenge ke kaash humne sar e tasleem kham kardiya hota
Surah Al-Hijr, Verse 2
ذَرۡهُمۡ يَأۡكُلُواْ وَيَتَمَتَّعُواْ وَيُلۡهِهِمُ ٱلۡأَمَلُۖ فَسَوۡفَ يَعۡلَمُونَ
Chodo inhein khayein (eat) , peeyain (drink) mazey karein aur behlawe mein daale rahey inko jhooti umeed. Anqareeb inehin maloom ho jayega
Surah Al-Hijr, Verse 3
وَمَآ أَهۡلَكۡنَا مِن قَرۡيَةٍ إِلَّا وَلَهَا كِتَابٞ مَّعۡلُومٞ
Humne issey pehle jis basti ko bhi halaak kiya hai uske liye ek khaas mohlat e amal likhi jaa chuki thi
Surah Al-Hijr, Verse 4
مَّا تَسۡبِقُ مِنۡ أُمَّةٍ أَجَلَهَا وَمَا يَسۡتَـٔۡخِرُونَ
Koi qaum na apne waqt e muqarrar se pehle halaak ho sakti hai, na uske baad chooth sakti hai
Surah Al-Hijr, Verse 5
وَقَالُواْ يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِي نُزِّلَ عَلَيۡهِ ٱلذِّكۡرُ إِنَّكَ لَمَجۡنُونٞ
Yeh log kehte hain “Aey woh shaks jis par zikr nazil hua hai, tu yaqeenan deewana hai
Surah Al-Hijr, Verse 6
لَّوۡمَا تَأۡتِينَا بِٱلۡمَلَـٰٓئِكَةِ إِن كُنتَ مِنَ ٱلصَّـٰدِقِينَ
Agar tu saccha hai to hamare samne Farishton ko le kyun nahin aata?”
Surah Al-Hijr, Verse 7
مَا نُنَزِّلُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةَ إِلَّا بِٱلۡحَقِّ وَمَا كَانُوٓاْ إِذٗا مُّنظَرِينَ
Hum Farishton ko yunhi nahin utaar diya karte, woh jab utarte hain to haqq ke saath utarte hain, aur phir logon ko mohlat nahin di jati
Surah Al-Hijr, Verse 8
إِنَّا نَحۡنُ نَزَّلۡنَا ٱلذِّكۡرَ وَإِنَّا لَهُۥ لَحَٰفِظُونَ
Raha yeh zikr, to isko humne nazil kiya hai aur hum khud iske nigehbaan hain
Surah Al-Hijr, Verse 9
وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا مِن قَبۡلِكَ فِي شِيَعِ ٱلۡأَوَّلِينَ
(Aey Muhammad), hum tumse pehle bahut si guzri hui qaumon mein Rasool bhej chuke hain
Surah Al-Hijr, Verse 10
وَمَا يَأۡتِيهِم مِّن رَّسُولٍ إِلَّا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ
Kabhi aisa nahin hua ke unke paas koi Rasool aaya ho aur unhone uska mazaak na udaya ho
Surah Al-Hijr, Verse 11
كَذَٰلِكَ نَسۡلُكُهُۥ فِي قُلُوبِ ٱلۡمُجۡرِمِينَ
Mujrimeen ke dilon mein to hum is zikr ko isi tarah [salaakh ke manind(like a rod)] guzarte hain
Surah Al-Hijr, Verse 12
لَا يُؤۡمِنُونَ بِهِۦ وَقَدۡ خَلَتۡ سُنَّةُ ٱلۡأَوَّلِينَ
Woh ispar iman nahin laya karte. Qadeem (ancient times) se is qumash ke logon ka yahi tareeqa chala aa raha hai
Surah Al-Hijr, Verse 13
وَلَوۡ فَتَحۡنَا عَلَيۡهِم بَابٗا مِّنَ ٱلسَّمَآءِ فَظَلُّواْ فِيهِ يَعۡرُجُونَ
Agar hum unpar aasman ka koi darwaza khol detay aur woh din dahade usmein chadhne bhi lagte
Surah Al-Hijr, Verse 14
لَقَالُوٓاْ إِنَّمَا سُكِّرَتۡ أَبۡصَٰرُنَا بَلۡ نَحۡنُ قَوۡمٞ مَّسۡحُورُونَ
tab bhi woh yahi kehte ke hamari aankhon ko dhoka ho raha hai, balke humpar jaadu kardiya gaya hai
Surah Al-Hijr, Verse 15
وَلَقَدۡ جَعَلۡنَا فِي ٱلسَّمَآءِ بُرُوجٗا وَزَيَّنَّـٰهَا لِلنَّـٰظِرِينَ
Yeh hamari kaar-farmayi hai ke aasman mein humne bahut se mazboot qiley (fortified spheres) banaye, unko dekhne walon ke liye muzayyan (adorn) kiya
Surah Al-Hijr, Verse 16
وَحَفِظۡنَٰهَا مِن كُلِّ شَيۡطَٰنٖ رَّجِيمٍ
Aur har shaytaan e mardood se unko mehfooz kardiya
Surah Al-Hijr, Verse 17
إِلَّا مَنِ ٱسۡتَرَقَ ٱلسَّمۡعَ فَأَتۡبَعَهُۥ شِهَابٞ مُّبِينٞ
Koi shaytaan in mein raah nahin paa sakta, illa yeh ke kuch sun-gun le le, aur jab woh sun-gun lene ki koshish karta hai to ek shola roshan uska peecha karta hai
Surah Al-Hijr, Verse 18
وَٱلۡأَرۡضَ مَدَدۡنَٰهَا وَأَلۡقَيۡنَا فِيهَا رَوَٰسِيَ وَأَنۢبَتۡنَا فِيهَا مِن كُلِّ شَيۡءٖ مَّوۡزُونٖ
Humne zameen ko phaylaya, us mein pahadh jamaye, usmein har naw ki nabataat theek theek napi tuli miqdar(measure) ke saath ugayi
Surah Al-Hijr, Verse 19
وَجَعَلۡنَا لَكُمۡ فِيهَا مَعَٰيِشَ وَمَن لَّسۡتُمۡ لَهُۥ بِرَٰزِقِينَ
Aur is mein maishat ke asbaab faraham kiye, tumhare liye bhi aur un bahut si makhlooqat ke liye bhi jinke raziq tum nahin ho
Surah Al-Hijr, Verse 20
وَإِن مِّن شَيۡءٍ إِلَّا عِندَنَا خَزَآئِنُهُۥ وَمَا نُنَزِّلُهُۥٓ إِلَّا بِقَدَرٖ مَّعۡلُومٖ
Koi cheez aisi nahin jiske khazane hamare paas na hon, aur jis cheez ko bhi hum nazil karte hain ek muqarrar miqdar(measure) mein nazil karte hain
Surah Al-Hijr, Verse 21
وَأَرۡسَلۡنَا ٱلرِّيَٰحَ لَوَٰقِحَ فَأَنزَلۡنَا مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَأَسۡقَيۡنَٰكُمُوهُ وَمَآ أَنتُمۡ لَهُۥ بِخَٰزِنِينَ
Baar-awar hawaon (fertilizing winds) ko hum hi bhejte hain, phir aasman se pani barsate hain, aur us pani se tumhein sairaab karte hain, is daulat ke khazana-daar tum nahin ho
Surah Al-Hijr, Verse 22
وَإِنَّا لَنَحۡنُ نُحۡيِۦ وَنُمِيتُ وَنَحۡنُ ٱلۡوَٰرِثُونَ
Zindagi aur maut hum dete hain, aur hum hi sab ke waris honay waley hain
Surah Al-Hijr, Verse 23
وَلَقَدۡ عَلِمۡنَا ٱلۡمُسۡتَقۡدِمِينَ مِنكُمۡ وَلَقَدۡ عَلِمۡنَا ٱلۡمُسۡتَـٔۡخِرِينَ
Pehle jo log tum mein se ho guzre hain unko bhi humne dekh rakkha hai, aur baad ke aaney waley bhi hamari nigaah mein hain
Surah Al-Hijr, Verse 24
وَإِنَّ رَبَّكَ هُوَ يَحۡشُرُهُمۡۚ إِنَّهُۥ حَكِيمٌ عَلِيمٞ
Yaqeenan tumhara Rubb in sabko ikattha karega, woh hakeem(All-Wise) bhi hai aur aleem(All-Knowing) bhi
Surah Al-Hijr, Verse 25
وَلَقَدۡ خَلَقۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ مِن صَلۡصَٰلٖ مِّنۡ حَمَإٖ مَّسۡنُونٖ
Humne Insaan ko sadi (rotten) hui mitti ke sookhey gaarey (clay) se banaya
Surah Al-Hijr, Verse 26
وَٱلۡجَآنَّ خَلَقۡنَٰهُ مِن قَبۡلُ مِن نَّارِ ٱلسَّمُومِ
Aur ussey pehle Jinno ko hum aag ki lapat se paida kar chuke thay
Surah Al-Hijr, Verse 27
وَإِذۡ قَالَ رَبُّكَ لِلۡمَلَـٰٓئِكَةِ إِنِّي خَٰلِقُۢ بَشَرٗا مِّن صَلۡصَٰلٖ مِّنۡ حَمَإٖ مَّسۡنُونٖ
Phir yaad karo us mauqe ko jab tumhare Rubb ne Farishton se kaha ke “ main sadi hui mitti ke sookhey gaarey se ek bashar paida kar raha hoon
Surah Al-Hijr, Verse 28
فَإِذَا سَوَّيۡتُهُۥ وَنَفَخۡتُ فِيهِ مِن رُّوحِي فَقَعُواْ لَهُۥ سَٰجِدِينَ
Jab main usey poora bana chukun aur us mein apni rooh se kuch phoonk doon to tum sab uske aagey sajde mein gir jana”
Surah Al-Hijr, Verse 29
فَسَجَدَ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ كُلُّهُمۡ أَجۡمَعُونَ
Chunanchey tamaam Farishton ne sajda kiya
Surah Al-Hijr, Verse 30
إِلَّآ إِبۡلِيسَ أَبَىٰٓ أَن يَكُونَ مَعَ ٱلسَّـٰجِدِينَ
Siwaye Iblees ke, ke usne sajda karne walon ka saath dene se inkar kardiya
Surah Al-Hijr, Verse 31
قَالَ يَـٰٓإِبۡلِيسُ مَا لَكَ أَلَّا تَكُونَ مَعَ ٱلسَّـٰجِدِينَ
Rubb ne pucha “ aey Iblis , tujhey kya hua ke tu nay sajda karne walon ka saath na diya?”
Surah Al-Hijr, Verse 32
قَالَ لَمۡ أَكُن لِّأَسۡجُدَ لِبَشَرٍ خَلَقۡتَهُۥ مِن صَلۡصَٰلٖ مِّنۡ حَمَإٖ مَّسۡنُونٖ
Usne kaha “mera yeh kaam nahin hai ke main is bashar ko sajda karoon jisey tu nay sadi hui mitti ke sookhey gaarey se paida kiya hai”
Surah Al-Hijr, Verse 33
قَالَ فَٱخۡرُجۡ مِنۡهَا فَإِنَّكَ رَجِيمٞ
Rubb ne farmaya “accha to nikal jaa yahan se kyunke tu mardood(accursed) hai
Surah Al-Hijr, Verse 34
وَإِنَّ عَلَيۡكَ ٱللَّعۡنَةَ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلدِّينِ
Aur ab roz-e-jaza tak tujhpar lanat hai”
Surah Al-Hijr, Verse 35
قَالَ رَبِّ فَأَنظِرۡنِيٓ إِلَىٰ يَوۡمِ يُبۡعَثُونَ
Usne arz kiya “mere Rubb, yeh baat hai to phir mujhey us roz tak ke liye mohlat de jabke sab Insaan dobara uthaye jayenge”
Surah Al-Hijr, Verse 36
قَالَ فَإِنَّكَ مِنَ ٱلۡمُنظَرِينَ
Farmaya “ accha, tujhey mohlat hai
Surah Al-Hijr, Verse 37
إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡوَقۡتِ ٱلۡمَعۡلُومِ
Us din tak jiska waqt humein maloom hai”
Surah Al-Hijr, Verse 38
قَالَ رَبِّ بِمَآ أَغۡوَيۡتَنِي لَأُزَيِّنَنَّ لَهُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَأُغۡوِيَنَّهُمۡ أَجۡمَعِينَ
Woh bola “mere Rubb, jaisa tu nay mujhey behkaya usi tarah ab main zameen mein inke liye dil farebiyan paida karke in sabko behka dunga
Surah Al-Hijr, Verse 39
إِلَّا عِبَادَكَ مِنۡهُمُ ٱلۡمُخۡلَصِينَ
Siwaye tere un bandon ke jinhein tu nay inmein se khaalis karliya ho”
Surah Al-Hijr, Verse 40
قَالَ هَٰذَا صِرَٰطٌ عَلَيَّ مُسۡتَقِيمٌ
Farmaya “yeh raasta hai jo seedha mujh tak pahunchta hai
Surah Al-Hijr, Verse 41
إِنَّ عِبَادِي لَيۡسَ لَكَ عَلَيۡهِمۡ سُلۡطَٰنٌ إِلَّا مَنِ ٱتَّبَعَكَ مِنَ ٱلۡغَاوِينَ
Beshak , jo mere haqiqi banday hain unpar tera bas na chalega. Tera bas to sirf un behke huey logon hi par chalega jo teri pairwi karein
Surah Al-Hijr, Verse 42
وَإِنَّ جَهَنَّمَ لَمَوۡعِدُهُمۡ أَجۡمَعِينَ
Aur un sab ke liye jahannum ki waeed(destined) hai”
Surah Al-Hijr, Verse 43
لَهَا سَبۡعَةُ أَبۡوَٰبٖ لِّكُلِّ بَابٖ مِّنۡهُمۡ جُزۡءٞ مَّقۡسُومٌ
Yeh jahannum ( jiski waeed pairwan e Iblis ke liye ki gayi hai) uske saat (seven) darwaze hain, har darwaze keliye unmein se ek hissa makhsoos kardiya gaya hai
Surah Al-Hijr, Verse 44
إِنَّ ٱلۡمُتَّقِينَ فِي جَنَّـٰتٖ وَعُيُونٍ
Ba-khilaf iske muttaqi log baaghon (gardens) aur chashmon (fountains) mein hongey
Surah Al-Hijr, Verse 45
ٱدۡخُلُوهَا بِسَلَٰمٍ ءَامِنِينَ
Aur unse kaha jayega ke dakhil ho jao inmein salamati ke saath bekhauf o khatar
Surah Al-Hijr, Verse 46
وَنَزَعۡنَا مَا فِي صُدُورِهِم مِّنۡ غِلٍّ إِخۡوَٰنًا عَلَىٰ سُرُرٖ مُّتَقَٰبِلِينَ
Unke dilon mein jo thodi bahut khot-kapat hogi usey hum nikal denge, woh aapas mein bhai bhai bankar aamne saamne takhaton par baithenge
Surah Al-Hijr, Verse 47
لَا يَمَسُّهُمۡ فِيهَا نَصَبٞ وَمَا هُم مِّنۡهَا بِمُخۡرَجِينَ
Unhein na wahan kisi mushaqqat se paala padega aur na woh wahan se nikale jayenge
Surah Al-Hijr, Verse 48
۞نَبِّئۡ عِبَادِيٓ أَنِّيٓ أَنَا ٱلۡغَفُورُ ٱلرَّحِيمُ
(Aey Nabi), mere bandon ko khabar de do ke main bahut darguzar karne wala (Forgiving) aur Raheem hoon
Surah Al-Hijr, Verse 49
وَأَنَّ عَذَابِي هُوَ ٱلۡعَذَابُ ٱلۡأَلِيمُ
Magar iske saath mera azaab bhi nihayat dardnaak azaab hai
Surah Al-Hijr, Verse 50
وَنَبِّئۡهُمۡ عَن ضَيۡفِ إِبۡرَٰهِيمَ
Aur inhein zara Ibrahim ke mehmano ka qissa sunao
Surah Al-Hijr, Verse 51
إِذۡ دَخَلُواْ عَلَيۡهِ فَقَالُواْ سَلَٰمٗا قَالَ إِنَّا مِنكُمۡ وَجِلُونَ
Jab woh aaye uske haan aur kaha “Salaam ho tumpar,” to usne kaha “humein tumse darr lagta hai”
Surah Al-Hijr, Verse 52
قَالُواْ لَا تَوۡجَلۡ إِنَّا نُبَشِّرُكَ بِغُلَٰمٍ عَلِيمٖ
Unhon ne jawab diya “ daro nahin, hum tumhein ek baday siyane ladke ki basharat dete hain”
Surah Al-Hijr, Verse 53
قَالَ أَبَشَّرۡتُمُونِي عَلَىٰٓ أَن مَّسَّنِيَ ٱلۡكِبَرُ فَبِمَ تُبَشِّرُونَ
Ibrahim ne kaha “ kya tum is budhape mein mujhey aulad ki basharat dete ho? Zara socho to sahih ke yeh kaisi basharat tum mujhey de rahey ho?”
Surah Al-Hijr, Verse 54
قَالُواْ بَشَّرۡنَٰكَ بِٱلۡحَقِّ فَلَا تَكُن مِّنَ ٱلۡقَٰنِطِينَ
Unhon ne jawab diya “ hum tumhein bar haqq basharat de rahey hain, tum mayous na ho”
Surah Al-Hijr, Verse 55
قَالَ وَمَن يَقۡنَطُ مِن رَّحۡمَةِ رَبِّهِۦٓ إِلَّا ٱلضَّآلُّونَ
Ibrahim ne kaha “ apne Rubb ki rehmat se mayous to gumraah log hi hua karte hain”
Surah Al-Hijr, Verse 56
قَالَ فَمَا خَطۡبُكُمۡ أَيُّهَا ٱلۡمُرۡسَلُونَ
Phir Ibrahim ne pucha “aey faristaad-gaan-e-Ilahi(messengers of Allah), woh mohim (expedition) kya hai jispar aap hazraat tashreef laye hain?”
Surah Al-Hijr, Verse 57
قَالُوٓاْ إِنَّآ أُرۡسِلۡنَآ إِلَىٰ قَوۡمٖ مُّجۡرِمِينَ
Woh bole, “hum ek mujreem qaum ki taraf bhejhe gaye hain
Surah Al-Hijr, Verse 58
إِلَّآ ءَالَ لُوطٍ إِنَّا لَمُنَجُّوهُمۡ أَجۡمَعِينَ
Sirf Lut ke ghar waley mustasna (exception) hain, un sab ko hum bacha lenge
Surah Al-Hijr, Verse 59
إِلَّا ٱمۡرَأَتَهُۥ قَدَّرۡنَآ إِنَّهَا لَمِنَ ٱلۡغَٰبِرِينَ
Siwaye uski biwi ke jiske liye (Allah farmata hai ke) humne muqaddar kardiya hai ke woh peechey reh janey walon mein shamil rahegi”
Surah Al-Hijr, Verse 60
فَلَمَّا جَآءَ ءَالَ لُوطٍ ٱلۡمُرۡسَلُونَ
Phir jab yeh Faristaade Lut ke haan pahunchey
Surah Al-Hijr, Verse 61
قَالَ إِنَّكُمۡ قَوۡمٞ مُّنكَرُونَ
To usne kaha “aap log ajnabi maloom hotey hain”
Surah Al-Hijr, Verse 62
قَالُواْ بَلۡ جِئۡنَٰكَ بِمَا كَانُواْ فِيهِ يَمۡتَرُونَ
Unhon ne jawab diya “nahin, balke hum wahi cheez lekar aaye hain jiske aane mein yeh log shakk kar rahey thay
Surah Al-Hijr, Verse 63
وَأَتَيۡنَٰكَ بِٱلۡحَقِّ وَإِنَّا لَصَٰدِقُونَ
Hum tumse sach kehte hain ke hum haqq ke saath tumhare paas aaye hain
Surah Al-Hijr, Verse 64
فَأَسۡرِ بِأَهۡلِكَ بِقِطۡعٖ مِّنَ ٱلَّيۡلِ وَٱتَّبِعۡ أَدۡبَٰرَهُمۡ وَلَا يَلۡتَفِتۡ مِنكُمۡ أَحَدٞ وَٱمۡضُواْ حَيۡثُ تُؤۡمَرُونَ
Lihaza ab tum kuch raat rahey apne ghar walon ko lekar nikal jao aur khud unke peechey peechey chalo, tum mein se koi palat kar na dekhe bas seedhey chale jao jidhar jaane ka tumhein hukum diya jaa raha hai”
Surah Al-Hijr, Verse 65
وَقَضَيۡنَآ إِلَيۡهِ ذَٰلِكَ ٱلۡأَمۡرَ أَنَّ دَابِرَ هَـٰٓؤُلَآءِ مَقۡطُوعٞ مُّصۡبِحِينَ
Aur usey humne apna yeh faisla pahuncha diya ke subah hotey hotey in logon ki jadd (roots) kaat di jayegi
Surah Al-Hijr, Verse 66
وَجَآءَ أَهۡلُ ٱلۡمَدِينَةِ يَسۡتَبۡشِرُونَ
Itne mein shehar ke log khushi ke maarey betab hokar Lut ke ghar chadh aaye
Surah Al-Hijr, Verse 67
قَالَ إِنَّ هَـٰٓؤُلَآءِ ضَيۡفِي فَلَا تَفۡضَحُونِ
Lut ne kaha “bhaiyon, yeh mere mehmaan hain, meri fazihat (dishonour) na karo
Surah Al-Hijr, Verse 68
وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَلَا تُخۡزُونِ
Allah se daro, mujhey ruswa na karo”
Surah Al-Hijr, Verse 69
قَالُوٓاْ أَوَلَمۡ نَنۡهَكَ عَنِ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Woh boley “kya hum baaraha tumhein mana nahin kar chuke hain ke duniya bhar ke thekedar na bano?”
Surah Al-Hijr, Verse 70
قَالَ هَـٰٓؤُلَآءِ بَنَاتِيٓ إِن كُنتُمۡ فَٰعِلِينَ
Lut ne aajiz hokar kaha “agar tumhein kuch karna hi hai to yeh meri betiyan maujood hain”
Surah Al-Hijr, Verse 71
لَعَمۡرُكَ إِنَّهُمۡ لَفِي سَكۡرَتِهِمۡ يَعۡمَهُونَ
Teri jaan ki kasam aey Nabi, us waqt unpar ek nasha sa chadha hua tha jismein woh aape se bahar huye jatey thay
Surah Al-Hijr, Verse 72
فَأَخَذَتۡهُمُ ٱلصَّيۡحَةُ مُشۡرِقِينَ
Aakhir e kaar pow phathte hi unko ek zabardast dhamake ne aa liya (severe blast overtook them at dawn)
Surah Al-Hijr, Verse 73
فَجَعَلۡنَا عَٰلِيَهَا سَافِلَهَا وَأَمۡطَرۡنَا عَلَيۡهِمۡ حِجَارَةٗ مِّن سِجِّيلٍ
Aur humne us basti ko talpat karke rakh diya aur unpar paki (baked) hui mitti ke pattharon ki baarish barsa di
Surah Al-Hijr, Verse 74
إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّلۡمُتَوَسِّمِينَ
Is waqiye mein badi nishaniyan hain un logon ke liye jo saahib-e-firasat hain
Surah Al-Hijr, Verse 75
وَإِنَّهَا لَبِسَبِيلٖ مُّقِيمٍ
Aur woh ilaqa (jahan yeh waqiya pesh aaya tha) guzar gaah e aam (high way) par waqeh hai
Surah Al-Hijr, Verse 76
إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗ لِّلۡمُؤۡمِنِينَ
Usmein samaan e ibrat hai un logon ke liye jo sahib e iman hain
Surah Al-Hijr, Verse 77
وَإِن كَانَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡأَيۡكَةِ لَظَٰلِمِينَ
Aur Aikah waley zalim thay
Surah Al-Hijr, Verse 78
فَٱنتَقَمۡنَا مِنۡهُمۡ وَإِنَّهُمَا لَبِإِمَامٖ مُّبِينٖ
To dekhlo ke humne unsey bhi inteqam liya, aur in dono qaumon ke ujade huey ilaqe khuley raaste par waqeh hain
Surah Al-Hijr, Verse 79
وَلَقَدۡ كَذَّبَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡحِجۡرِ ٱلۡمُرۡسَلِينَ
Hijr ke log bhi Rasoolon ki takzeeb kar chuke hain
Surah Al-Hijr, Verse 80
وَءَاتَيۡنَٰهُمۡ ءَايَٰتِنَا فَكَانُواْ عَنۡهَا مُعۡرِضِينَ
Humne apni aayat unke paas bheji, apni nishaniyan unko dikhayi, magar woh sabko nazar-andaz (ignore) hi karte rahey
Surah Al-Hijr, Verse 81
وَكَانُواْ يَنۡحِتُونَ مِنَ ٱلۡجِبَالِ بُيُوتًا ءَامِنِينَ
Woh pahad tarash tarash kar makaan banate thay aur apni jagah bilkul be-khauf aur mutmaeen thay
Surah Al-Hijr, Verse 82
فَأَخَذَتۡهُمُ ٱلصَّيۡحَةُ مُصۡبِحِينَ
Aakhir e kaar ek zabardast dhamake ne unko subah hotey hi aa liya
Surah Al-Hijr, Verse 83
فَمَآ أَغۡنَىٰ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ
Aur unki kamayi unke kuch kaam na aayi
Surah Al-Hijr, Verse 84
وَمَا خَلَقۡنَا ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَمَا بَيۡنَهُمَآ إِلَّا بِٱلۡحَقِّۗ وَإِنَّ ٱلسَّاعَةَ لَأٓتِيَةٞۖ فَٱصۡفَحِ ٱلصَّفۡحَ ٱلۡجَمِيلَ
Humne zameen aur aasman ko aur unki sab maujoodaat ko haqq ke siwa kisi aur buniyaad par khalq (create) nahin kiya hai, aur faisle ki ghadi yaqeenan aane wali hai. Pas (aey Muhammad), tum (in logon ki behudgiyon par) shareefana darguzar se kaam lo
Surah Al-Hijr, Verse 85
إِنَّ رَبَّكَ هُوَ ٱلۡخَلَّـٰقُ ٱلۡعَلِيمُ
Yaqeenan tumahra Rubb sab ka khaliq hai aur sab kuch jaanta hai
Surah Al-Hijr, Verse 86
وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَٰكَ سَبۡعٗا مِّنَ ٱلۡمَثَانِي وَٱلۡقُرۡءَانَ ٱلۡعَظِيمَ
Humne tumko saat (seven) aisi aayatein de rakkhi hain jo baar baar dohrayi janey ke layiq hain, aur tumhein Quran e azeem ata kiya hai
Surah Al-Hijr, Verse 87
لَا تَمُدَّنَّ عَيۡنَيۡكَ إِلَىٰ مَا مَتَّعۡنَا بِهِۦٓ أَزۡوَٰجٗا مِّنۡهُمۡ وَلَا تَحۡزَنۡ عَلَيۡهِمۡ وَٱخۡفِضۡ جَنَاحَكَ لِلۡمُؤۡمِنِينَ
Tum us mata-e-duniya ki taraf aankh utha kar na dekho jo humne in mein se mukhtalif qisam ke logon ko de rakkhi hai, aur na inke haal par apna dil kudhao(grieve), inhein chodh kar iman laney walon ki taraf jhuko
Surah Al-Hijr, Verse 88
وَقُلۡ إِنِّيٓ أَنَا ٱلنَّذِيرُ ٱلۡمُبِينُ
Aur (na maanne walon se) kehdo ke main to saaf saaf tambeeh(warn) karne wala hoon
Surah Al-Hijr, Verse 89
كَمَآ أَنزَلۡنَا عَلَى ٱلۡمُقۡتَسِمِينَ
Yeh usi ki tarah ki tambeeh hai jaisi humne un tafarraqe pardazon(those who make division) ki taraf bheji thi
Surah Al-Hijr, Verse 90
ٱلَّذِينَ جَعَلُواْ ٱلۡقُرۡءَانَ عِضِينَ
Jinhon ne apne Quran ko tukde tukde kar dala hai
Surah Al-Hijr, Verse 91
فَوَرَبِّكَ لَنَسۡـَٔلَنَّهُمۡ أَجۡمَعِينَ
To kasam hai tere Rubb ki, hum zaroor in sabse puchenge
Surah Al-Hijr, Verse 92
عَمَّا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Ke tum kya karte rahey ho
Surah Al-Hijr, Verse 93
فَٱصۡدَعۡ بِمَا تُؤۡمَرُ وَأَعۡرِضۡ عَنِ ٱلۡمُشۡرِكِينَ
Pas (aey Nabi) jis cheez ka tumhein hukum diya jaa raha hai usey hankey pukare kehdo(proclaim publicly) aur shirk karne walon ki zara parwah na karo
Surah Al-Hijr, Verse 94
إِنَّا كَفَيۡنَٰكَ ٱلۡمُسۡتَهۡزِءِينَ
Tumhari taraf se hum un mazaaq udane walon ki khabar lenay ke liye kafi hain
Surah Al-Hijr, Verse 95
ٱلَّذِينَ يَجۡعَلُونَ مَعَ ٱللَّهِ إِلَٰهًا ءَاخَرَۚ فَسَوۡفَ يَعۡلَمُونَ
Jo Allah ke saath kisi aur ko bhi khuda qarar dete hain anqareeb unhein maloom ho jayega
Surah Al-Hijr, Verse 96
وَلَقَدۡ نَعۡلَمُ أَنَّكَ يَضِيقُ صَدۡرُكَ بِمَا يَقُولُونَ
Humein maloom hai ke jo baatein yeh log tumpar banate hain unsey tumhare dil ko sakht koft hoti hai (heart is distressed)
Surah Al-Hijr, Verse 97
فَسَبِّحۡ بِحَمۡدِ رَبِّكَ وَكُن مِّنَ ٱلسَّـٰجِدِينَ
Iska ilaaj yeh hai ke apne Rubb ki hamd ke saath uski tasbeeh karo, uski janaab mein sajda baja lao
Surah Al-Hijr, Verse 98
وَٱعۡبُدۡ رَبَّكَ حَتَّىٰ يَأۡتِيَكَ ٱلۡيَقِينُ
Aur us aakhri ghadi tak apne Rubb ki bandagi karte raho jiska aana yaqeeni hai
Surah Al-Hijr, Verse 99