Surah An-Nahl - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
أَتَىٰٓ أَمۡرُ ٱللَّهِ فَلَا تَسۡتَعۡجِلُوهُۚ سُبۡحَٰنَهُۥ وَتَعَٰلَىٰ عَمَّا يُشۡرِكُونَ
Aagaya Allah ka faisla, ab iske liye jaldi na machao, paak hai woh aur baala-tar hai us shirk se jo yeh log kar rahey hain
Surah An-Nahl, Verse 1
يُنَزِّلُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةَ بِٱلرُّوحِ مِنۡ أَمۡرِهِۦ عَلَىٰ مَن يَشَآءُ مِنۡ عِبَادِهِۦٓ أَنۡ أَنذِرُوٓاْ أَنَّهُۥ لَآ إِلَٰهَ إِلَّآ أَنَا۠ فَٱتَّقُونِ
Woh is rooh ko apne jis banday par chahta hai apne hukum se malaika ke zariye nazil farma deta hai (is hidayat ke saath ke logon ko) “aagah kardo, mere siwa koi tumhara mabood nahin hai, lihaza tum mujhi se daro”
Surah An-Nahl, Verse 2
خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ بِٱلۡحَقِّۚ تَعَٰلَىٰ عَمَّا يُشۡرِكُونَ
Usne aasman o zameen ko barhaqq paida kiya hai, woh bahut baala o bartar hai us shirk se jo yeh log karte hain
Surah An-Nahl, Verse 3
خَلَقَ ٱلۡإِنسَٰنَ مِن نُّطۡفَةٖ فَإِذَا هُوَ خَصِيمٞ مُّبِينٞ
Usne Insaan ko ek zara si boondh se paida kiya aur dekhte dekhte sareehan woh ek jhagdalu hasti ban gaya
Surah An-Nahl, Verse 4
وَٱلۡأَنۡعَٰمَ خَلَقَهَاۖ لَكُمۡ فِيهَا دِفۡءٞ وَمَنَٰفِعُ وَمِنۡهَا تَأۡكُلُونَ
Usne jaanwar paida kiye jinmein tumhare liye poshak (clothing) bhi hai aur khurak bhi, aur tarah tarah ke dusre faiyde bhi
Surah An-Nahl, Verse 5
وَلَكُمۡ فِيهَا جَمَالٌ حِينَ تُرِيحُونَ وَحِينَ تَسۡرَحُونَ
Unmein tumhare liye jamal (pleasant look) hai jab ke subah tum unhein charne ke liye bhejte ho aur jabke shaam unhein wapas latey ho
Surah An-Nahl, Verse 6
وَتَحۡمِلُ أَثۡقَالَكُمۡ إِلَىٰ بَلَدٖ لَّمۡ تَكُونُواْ بَٰلِغِيهِ إِلَّا بِشِقِّ ٱلۡأَنفُسِۚ إِنَّ رَبَّكُمۡ لَرَءُوفٞ رَّحِيمٞ
Woh tumhare liye bojh dho (utha) kar aisey aisey muqaam tak le jatey hain jahan tum sakht jaanfishani (painful toil) ke bagair nahin pahunch sakte. Haqeeqat yeh hai ke tumhara Rubb bada hi shafeeq aur meharbaan hai
Surah An-Nahl, Verse 7
وَٱلۡخَيۡلَ وَٱلۡبِغَالَ وَٱلۡحَمِيرَ لِتَرۡكَبُوهَا وَزِينَةٗۚ وَيَخۡلُقُ مَا لَا تَعۡلَمُونَ
Usne ghodey (horses) aur khacchar (mule) aur gadhey paida kiya taa-ke tum unpar sawar ho aur woh tumhari zindagi ki raunak baney. Woh aur bhaut si cheezein (tumhare faiyde ke liye) paida karta hai jinka tumhein ilm tak nahin hai
Surah An-Nahl, Verse 8
وَعَلَى ٱللَّهِ قَصۡدُ ٱلسَّبِيلِ وَمِنۡهَا جَآئِرٞۚ وَلَوۡ شَآءَ لَهَدَىٰكُمۡ أَجۡمَعِينَ
Aur Allah hi ke zimme hai seedha raasta batana jabke raaste tedhey bhi maujood hain. Agar woh chahta to tum sabko hidayat de deta
Surah An-Nahl, Verse 9
هُوَ ٱلَّذِيٓ أَنزَلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗۖ لَّكُم مِّنۡهُ شَرَابٞ وَمِنۡهُ شَجَرٞ فِيهِ تُسِيمُونَ
Wahi hai jisne aasman se tumhare liye pani barsaya jissey tum khud bhi sairaab hotey ho aur tumahre jaanwaron ke liye bhi chara paida hota hai
Surah An-Nahl, Verse 10
يُنۢبِتُ لَكُم بِهِ ٱلزَّرۡعَ وَٱلزَّيۡتُونَ وَٱلنَّخِيلَ وَٱلۡأَعۡنَٰبَ وَمِن كُلِّ ٱلثَّمَرَٰتِۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗ لِّقَوۡمٖ يَتَفَكَّرُونَ
Woh is pani ke zariye se khetiyan ugata hai aur zaitun aur khajoor aur angoor aur tarah tarah ke dusre phal paida karta hai. Is mein ek badi nishani hai un logon ke liye jo gaur-o-fikr karte hain
Surah An-Nahl, Verse 11
وَسَخَّرَ لَكُمُ ٱلَّيۡلَ وَٱلنَّهَارَ وَٱلشَّمۡسَ وَٱلۡقَمَرَۖ وَٱلنُّجُومُ مُسَخَّرَٰتُۢ بِأَمۡرِهِۦٓۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَعۡقِلُونَ
Usne tumhari bhalayi ke liye raat aur din ko aur Suraj aur Chand ko musakkhar kar rakkha hai, aur sab taare (stars) bhi usi ke hukum se musakkhar hain. Ismein bahut si nihsaniyan hain un logon ke liye jo aqal se kaam letey hain
Surah An-Nahl, Verse 12
وَمَا ذَرَأَ لَكُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ مُخۡتَلِفًا أَلۡوَٰنُهُۥٓۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗ لِّقَوۡمٖ يَذَّكَّرُونَ
Aur yeh jo bahut si rang bi rang ki cheezein usne tumhare liye zameen mein se paida kar rakkhi hai, in mein bhi zaroor nishani hai un logon ke liye jo sabaq haasil karne waley hain
Surah An-Nahl, Verse 13
وَهُوَ ٱلَّذِي سَخَّرَ ٱلۡبَحۡرَ لِتَأۡكُلُواْ مِنۡهُ لَحۡمٗا طَرِيّٗا وَتَسۡتَخۡرِجُواْ مِنۡهُ حِلۡيَةٗ تَلۡبَسُونَهَاۖ وَتَرَى ٱلۡفُلۡكَ مَوَاخِرَ فِيهِ وَلِتَبۡتَغُواْ مِن فَضۡلِهِۦ وَلَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
Wahi hai jisne tumhare liye samandar ko musakkhar kar rakkha hai taa-ke tum ussey tarr-o-taaza gosht lekar khao aur ussey zeenat (adornment) ki woh cheezein nikalo jinhein tum pehna karte ho. Tum dekhte ho ke kashti samandar ka seena cheerti hui chalti hai, yeh sab kuch is liye hai ke tum apne Rubb ka fazal talash karo aur uske shukar-guzar bano
Surah An-Nahl, Verse 14
وَأَلۡقَىٰ فِي ٱلۡأَرۡضِ رَوَٰسِيَ أَن تَمِيدَ بِكُمۡ وَأَنۡهَٰرٗا وَسُبُلٗا لَّعَلَّكُمۡ تَهۡتَدُونَ
Usne zameen mein pahadon ki mekhein gaadh di taa-ke zameen tumko lekar dhulak na jaye, usne dariya jari kiya aur qudrati raaste banaye taa-ke tum hidayat pao
Surah An-Nahl, Verse 15
وَعَلَٰمَٰتٖۚ وَبِٱلنَّجۡمِ هُمۡ يَهۡتَدُونَ
Usne zameen mein raasta batane wali alamatein rakh di , aur taaron (stars) se bhi log hidayat paate hain
Surah An-Nahl, Verse 16
أَفَمَن يَخۡلُقُ كَمَن لَّا يَخۡلُقُۚ أَفَلَا تَذَكَّرُونَ
Phir kya woh jo paida karta hai aur woh jo kuch bhi paida nahin karte, dono yaksan hain? Kya tum hosh mein nahin aatey
Surah An-Nahl, Verse 17
وَإِن تَعُدُّواْ نِعۡمَةَ ٱللَّهِ لَا تُحۡصُوهَآۗ إِنَّ ٱللَّهَ لَغَفُورٞ رَّحِيمٞ
Agar tum Allah ki niyamaton ko ginna chaho to gin nahin sakte, haqeeqat yeh hai ke woh bada hi darguzar karne wala aur raheem hai
Surah An-Nahl, Verse 18
وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ مَا تُسِرُّونَ وَمَا تُعۡلِنُونَ
Halanke woh tumhare khule se bhi waqif hai aur chupey se bhi
Surah An-Nahl, Verse 19
وَٱلَّذِينَ يَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ لَا يَخۡلُقُونَ شَيۡـٔٗا وَهُمۡ يُخۡلَقُونَ
Aur woh dusri hastiyan jinhein Allah ko chodh kar log pukarte hain, woh kisi cheez ke bhi khaliq nahin hain balke khud makhlooq hain
Surah An-Nahl, Verse 20
أَمۡوَٰتٌ غَيۡرُ أَحۡيَآءٖۖ وَمَا يَشۡعُرُونَ أَيَّانَ يُبۡعَثُونَ
Murda hain na ke zinda aur unko kuch maloom nahin hai ke unhein kab (dobara zinda karke) uthaya jayega
Surah An-Nahl, Verse 21
إِلَٰهُكُمۡ إِلَٰهٞ وَٰحِدٞۚ فَٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِ قُلُوبُهُم مُّنكِرَةٞ وَهُم مُّسۡتَكۡبِرُونَ
Tumhara khuda bas ek hi khuda hai magar jo log aakhirat ko nahin maante unke dilon mein inkar baskar reh gaya hai aur woh ghamand mein padh gaye hain
Surah An-Nahl, Verse 22
لَا جَرَمَ أَنَّ ٱللَّهَ يَعۡلَمُ مَا يُسِرُّونَ وَمَا يُعۡلِنُونَۚ إِنَّهُۥ لَا يُحِبُّ ٱلۡمُسۡتَكۡبِرِينَ
Allah yaqeenan inke sab karoot jaanta hai chupe huye bhi aur khule huye bhi. Woh un logon ko hargiz pasand nahin karta jo guroor e nafs (puffed up with pride) mein mubtala hon
Surah An-Nahl, Verse 23
وَإِذَا قِيلَ لَهُم مَّاذَآ أَنزَلَ رَبُّكُمۡ قَالُوٓاْ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ
Aur jab koi unse poochta hai ke tumhare Rubb ne yeh kya cheez nazil ki hai to kehte hain, “aji woh to agle waqton ki farsuda kahaniyan (ancient tales) hain”
Surah An-Nahl, Verse 24
لِيَحۡمِلُوٓاْ أَوۡزَارَهُمۡ كَامِلَةٗ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ وَمِنۡ أَوۡزَارِ ٱلَّذِينَ يُضِلُّونَهُم بِغَيۡرِ عِلۡمٍۗ أَلَا سَآءَ مَا يَزِرُونَ
Yeh baatein woh isliye karte hain ke qayamat ke roz apne bojh bhi poore uthayein, aur saath saath kuch un logon ke bojh bhi sametein jinhien yeh baar binaye jihalat (in their ignorance) gumraah kar rahey hain. Dekho! Kaisi sakht zimmedari hai jo yeh apne sar ley rahey hain
Surah An-Nahl, Verse 25
قَدۡ مَكَرَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ فَأَتَى ٱللَّهُ بُنۡيَٰنَهُم مِّنَ ٱلۡقَوَاعِدِ فَخَرَّ عَلَيۡهِمُ ٱلسَّقۡفُ مِن فَوۡقِهِمۡ وَأَتَىٰهُمُ ٱلۡعَذَابُ مِنۡ حَيۡثُ لَا يَشۡعُرُونَ
Inse pehle bhi bahut se log (haqq ko nicha dikhane ke liye) aisi hi makkariyan kar chuke hain, to dekhlo ke Allah ne unke makr ki imarat jadd (root) se ukhad phenki aur uski chatt upar se unke sar par aa rahi (roof fell down upon their heads from above them) aur aisey rukh se unpar azaab aaya jidhar se uske aane ka unko gumaan tak na tha
Surah An-Nahl, Verse 26
ثُمَّ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ يُخۡزِيهِمۡ وَيَقُولُ أَيۡنَ شُرَكَآءِيَ ٱلَّذِينَ كُنتُمۡ تُشَـٰٓقُّونَ فِيهِمۡۚ قَالَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡعِلۡمَ إِنَّ ٱلۡخِزۡيَ ٱلۡيَوۡمَ وَٱلسُّوٓءَ عَلَى ٱلۡكَٰفِرِينَ
Phir qayamat ke roz Allah unhein zaleel o khwar karega aur unse kahega “ batao, ab kahan hain mere woh shareek jinke liye tum (ehle haqq se) jhagde kiya karte thay?” Jin logon ko duniya mein ilm haasil tha woh kahenge “ aaj ruswayi aur badbakhti hai kafiron ke liye”
Surah An-Nahl, Verse 27
ٱلَّذِينَ تَتَوَفَّىٰهُمُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ ظَالِمِيٓ أَنفُسِهِمۡۖ فَأَلۡقَوُاْ ٱلسَّلَمَ مَا كُنَّا نَعۡمَلُ مِن سُوٓءِۭۚ بَلَىٰٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمُۢ بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Haan, unhi kaafiron ke liye jo apne nafs par zulm karte huey jab malaika ke haathon giraftar hotay hain to (sarkashi chodh kar) fawran dagein daal dete (surrender) hain aur kehte hain “hum to koi kasoor nahin kar rahey thay”. Malaika jawab dete hain “kar kaise nahin rahey thay! Allah tumhare kartooton se khoob waqif hai
Surah An-Nahl, Verse 28
فَٱدۡخُلُوٓاْ أَبۡوَٰبَ جَهَنَّمَ خَٰلِدِينَ فِيهَاۖ فَلَبِئۡسَ مَثۡوَى ٱلۡمُتَكَبِّرِينَ
Ab jao, jahannum ke darwazon mein ghuss jao, wahin tumko hamesha rehna hai”. Pas haqeeqat yeh hai ke bada hi bura thikana hai mutakabbiron (haughty ones) ke liye
Surah An-Nahl, Verse 29
۞وَقِيلَ لِلَّذِينَ ٱتَّقَوۡاْ مَاذَآ أَنزَلَ رَبُّكُمۡۚ قَالُواْ خَيۡرٗاۗ لِّلَّذِينَ أَحۡسَنُواْ فِي هَٰذِهِ ٱلدُّنۡيَا حَسَنَةٞۚ وَلَدَارُ ٱلۡأٓخِرَةِ خَيۡرٞۚ وَلَنِعۡمَ دَارُ ٱلۡمُتَّقِينَ
Dusri taraf jab khuda tars logon se pucha jata hai ke yeh kya cheez hai jo tumhare Rubb ki taraf se nazil hui hai, to woh jawab dete hain ke “behtareen cheez utari hai”. Is tarah ke neikukar logon ke liye is duniya mein bhi bhalayi hai aur aakhirat ka ghar to zaroor hi unke haqq mein behtar hai. Bada accha ghar hai muttaqiyon (Allah se darne walon) ka
Surah An-Nahl, Verse 30
جَنَّـٰتُ عَدۡنٖ يَدۡخُلُونَهَا تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۖ لَهُمۡ فِيهَا مَا يَشَآءُونَۚ كَذَٰلِكَ يَجۡزِي ٱللَّهُ ٱلۡمُتَّقِينَ
Daimi qayam (permanent residence) ki jannatein, jin mein woh dakhil hongey, nichey nehrein beh rahi hongi, aur sab kuch wahan ain unki khwahish ke mutabiq hoga. Yeh jaza deta hai Allah muttaqiyon (pious) ko
Surah An-Nahl, Verse 31
ٱلَّذِينَ تَتَوَفَّىٰهُمُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ طَيِّبِينَ يَقُولُونَ سَلَٰمٌ عَلَيۡكُمُ ٱدۡخُلُواْ ٱلۡجَنَّةَ بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Un muttaqiyon ko jinki roohein pakeezgi ki haalat mein jab malaika qabz karte hain to kehte hain “salaam ho tumpar, jao jannat mein apne aamaal ke badle”
Surah An-Nahl, Verse 32
هَلۡ يَنظُرُونَ إِلَّآ أَن تَأۡتِيَهُمُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ أَوۡ يَأۡتِيَ أَمۡرُ رَبِّكَۚ كَذَٰلِكَ فَعَلَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۚ وَمَا ظَلَمَهُمُ ٱللَّهُ وَلَٰكِن كَانُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ يَظۡلِمُونَ
(Aey Muhammad), ab jo yeh log intezar kar rahey hain to iske siwa ab aur kya baki reh gaya hai ke Malaika hi aa pahunchein, ya tere Rubb ka faisla saadir ho jaye? Is tarah ki dhitayi inse pehle bahut se log kar chuke hain, phir jo kuch unke saath hua woh unpar Allah ka zulm na tha balke unka apna zulm tha jo unhon ne khud apne upar kiya
Surah An-Nahl, Verse 33
فَأَصَابَهُمۡ سَيِّـَٔاتُ مَا عَمِلُواْ وَحَاقَ بِهِم مَّا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ
Unke kartooton ki kharabiyan aakhir unki daamangeer ho gayi aur wahi cheez unpar musallat hokar rahi jiska woh mazaaq udaya karte thay
Surah An-Nahl, Verse 34
وَقَالَ ٱلَّذِينَ أَشۡرَكُواْ لَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ مَا عَبَدۡنَا مِن دُونِهِۦ مِن شَيۡءٖ نَّحۡنُ وَلَآ ءَابَآؤُنَا وَلَا حَرَّمۡنَا مِن دُونِهِۦ مِن شَيۡءٖۚ كَذَٰلِكَ فَعَلَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۚ فَهَلۡ عَلَى ٱلرُّسُلِ إِلَّا ٱلۡبَلَٰغُ ٱلۡمُبِينُ
Yeh mushrikeen kehte hain “agar Allah chahta to na hum aur na hamare baap dada uske siwa kisi aur ki ibadat karte aur na uske hukum ke bagair kisi cheez ko haraam thehrate”. Aisey hi bahane insey pehle ke log bhi banate rahey hain to kya Rasoolon par saaf saaf baat pahuncha dene ke siwa aur bhi koi zimmedari hai
Surah An-Nahl, Verse 35
وَلَقَدۡ بَعَثۡنَا فِي كُلِّ أُمَّةٖ رَّسُولًا أَنِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ وَٱجۡتَنِبُواْ ٱلطَّـٰغُوتَۖ فَمِنۡهُم مَّنۡ هَدَى ٱللَّهُ وَمِنۡهُم مَّنۡ حَقَّتۡ عَلَيۡهِ ٱلضَّلَٰلَةُۚ فَسِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَٱنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلۡمُكَذِّبِينَ
Humne har ummat mein ek Rasool bhej diya, aur uske zariye se sabko khabardar kardiya ke “Allah ki bandagi karo aur taghut ki bandagi se bacho”. Iske baad in mein se kisi ko Allah ne hidayat bakshi aur kisi par zalalat musallat ho gayi. Phir zara zameen mein chal phir kar dekhlo ke jhutlane walon ka kya anjaam ho chuka hai
Surah An-Nahl, Verse 36
إِن تَحۡرِصۡ عَلَىٰ هُدَىٰهُمۡ فَإِنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي مَن يُضِلُّۖ وَمَا لَهُم مِّن نَّـٰصِرِينَ
(Aey Muhammad), tum chahe inki hidayat ke liye kitne hi harees (desirous) ho, magar Allah jisko bhatka deta hai phir usey hidayat nahin diya karta aur is tarah ke logon ki madad koi nahin kar sakta
Surah An-Nahl, Verse 37
وَأَقۡسَمُواْ بِٱللَّهِ جَهۡدَ أَيۡمَٰنِهِمۡ لَا يَبۡعَثُ ٱللَّهُ مَن يَمُوتُۚ بَلَىٰ وَعۡدًا عَلَيۡهِ حَقّٗا وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعۡلَمُونَ
Yeh log Allah ke naam se kadi kadi kasmein kha kar kehte hain ke “Allah kisi marne waley ko phir se zinda karke na uthayega”. Uthayega kyun nahin, yeh to ek wada hai jisey poora karna usne apne upar wajib karliye hai, magar aksar log jantey nahin hain
Surah An-Nahl, Verse 38
لِيُبَيِّنَ لَهُمُ ٱلَّذِي يَخۡتَلِفُونَ فِيهِ وَلِيَعۡلَمَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ أَنَّهُمۡ كَانُواْ كَٰذِبِينَ
Aur aisa hona isliye zaroori hai ke Allah inke samne us haqeeqat ko khol de jiske barey mein yeh ikhtilaf kar rahey hain aur munkireen e haqq ko maloom ho jaye ke woh jhoote thay
Surah An-Nahl, Verse 39
إِنَّمَا قَوۡلُنَا لِشَيۡءٍ إِذَآ أَرَدۡنَٰهُ أَن نَّقُولَ لَهُۥ كُن فَيَكُونُ
Raha uska imakan (possibility) to] humein kisi cheez ko wajood mein laney ke liye issey zyada kuch nahin karna hota ke usey hukum dein “ho ja” aur bas woh ho jaati hai
Surah An-Nahl, Verse 40
وَٱلَّذِينَ هَاجَرُواْ فِي ٱللَّهِ مِنۢ بَعۡدِ مَا ظُلِمُواْ لَنُبَوِّئَنَّهُمۡ فِي ٱلدُّنۡيَا حَسَنَةٗۖ وَلَأَجۡرُ ٱلۡأٓخِرَةِ أَكۡبَرُۚ لَوۡ كَانُواْ يَعۡلَمُونَ
Jo log zulm sehne ke baad Allah ki khatir hijrat kar gaye hain unko hum duniya hi mein accha thikana denge aur aakhirat ka ajar to bahut bada hai, kaash jaan lein woh mazloom
Surah An-Nahl, Verse 41
ٱلَّذِينَ صَبَرُواْ وَعَلَىٰ رَبِّهِمۡ يَتَوَكَّلُونَ
Jinhon ne sabr kiya hai aur jo apne Rubb ke bharosey par kaam kar rahey hain (ke kaisa accha anjaam unka muntazir hai)
Surah An-Nahl, Verse 42
وَمَآ أَرۡسَلۡنَا مِن قَبۡلِكَ إِلَّا رِجَالٗا نُّوحِيٓ إِلَيۡهِمۡۖ فَسۡـَٔلُوٓاْ أَهۡلَ ٱلذِّكۡرِ إِن كُنتُمۡ لَا تَعۡلَمُونَ
(Aey Muhammad), humne tumse pehle bhi jab kabhi Rasool bheje hain aadmi hi bheje hain jinki taraf hum apne paigamaat wahee kiya karte thay. Ehle zikr se puch lo agar tumlog khud nahin jaante
Surah An-Nahl, Verse 43
بِٱلۡبَيِّنَٰتِ وَٱلزُّبُرِۗ وَأَنزَلۡنَآ إِلَيۡكَ ٱلذِّكۡرَ لِتُبَيِّنَ لِلنَّاسِ مَا نُزِّلَ إِلَيۡهِمۡ وَلَعَلَّهُمۡ يَتَفَكَّرُونَ
Pichle Rasoolon ko bhi humne roshan nishaniyan aur kitabein de kar bheja tha, aur ab yeh zikr tumpar nazil kiya hai taa-ke tum logon ke saamne us taleem ki tashreeh o tawzeeh karte jao jo unke liye utari gayi hai, aur taa-ke log (khud bhi) gaur o fikr karein
Surah An-Nahl, Verse 44
أَفَأَمِنَ ٱلَّذِينَ مَكَرُواْ ٱلسَّيِّـَٔاتِ أَن يَخۡسِفَ ٱللَّهُ بِهِمُ ٱلۡأَرۡضَ أَوۡ يَأۡتِيَهُمُ ٱلۡعَذَابُ مِنۡ حَيۡثُ لَا يَشۡعُرُونَ
Phir kya woh log jo ( dawat e paigambar ki mukhalifat mein) badhtar se badhtar chalein chal rahey hain is baat se bilkul hi be khauf ho gaye hain ke Allah unko zameen mein dhansa de, ya aisey goshey mein unpar azaab le aaye jidhar se uske aane ka unko weham o gumaan tak na ho
Surah An-Nahl, Verse 45
أَوۡ يَأۡخُذَهُمۡ فِي تَقَلُّبِهِمۡ فَمَا هُم بِمُعۡجِزِينَ
Ya achanak chalte phirte inko pakad le , ya aisi halat mein inhein pakde jabke unhein khud aane wali museebat ka khatka laga hua ho aur woh ussey bachne ki fikr mein chaukanne hon
Surah An-Nahl, Verse 46
أَوۡ يَأۡخُذَهُمۡ عَلَىٰ تَخَوُّفٖ فَإِنَّ رَبَّكُمۡ لَرَءُوفٞ رَّحِيمٌ
Woh jo kuch bhi karna chahe yeh log usko aajiz (frustrate) karne ki taaqat nahin rakhte, haqeeqat yeh hai ke tumhara Rubb bada hi narm-khu (very Lenient /shafaqat karne wala) aur raheem hai
Surah An-Nahl, Verse 47
أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ إِلَىٰ مَا خَلَقَ ٱللَّهُ مِن شَيۡءٖ يَتَفَيَّؤُاْ ظِلَٰلُهُۥ عَنِ ٱلۡيَمِينِ وَٱلشَّمَآئِلِ سُجَّدٗا لِّلَّهِ وَهُمۡ دَٰخِرُونَ
Aur kya yeh log Allah ki paida ki hui kisi cheez ko bhi nahin dekhte ke uska saaya kis tarah Allah ke huzoor sajda karte huey dayein aur bayein girta hai? Sab ke sab is tarah izhar e ijz (express their humility) kar rahey hain
Surah An-Nahl, Verse 48
وَلِلَّهِۤ يَسۡجُدُۤ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِ مِن دَآبَّةٖ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ وَهُمۡ لَا يَسۡتَكۡبِرُونَ
Zameen aur aasmano mein jis qadar jaandaar makhlooqat hain aur jitne Malaika hain sab Allah ke aagey sar ba-sajood hain. Woh hargiz sarkashi nahin karte
Surah An-Nahl, Verse 49
يَخَافُونَ رَبَّهُم مِّن فَوۡقِهِمۡ وَيَفۡعَلُونَ مَا يُؤۡمَرُونَ۩
Apne Rubb se jo unke upar hai, darte hain aur jo kuch hukum diya jata hai usi ke mutabik kaam karte hain
Surah An-Nahl, Verse 50
۞وَقَالَ ٱللَّهُ لَا تَتَّخِذُوٓاْ إِلَٰهَيۡنِ ٱثۡنَيۡنِۖ إِنَّمَا هُوَ إِلَٰهٞ وَٰحِدٞ فَإِيَّـٰيَ فَٱرۡهَبُونِ
Allah ka farmaan hai ke “do khuda na bana lo, khuda to bas ek hi hai, lihaza tum mujhi se daro
Surah An-Nahl, Verse 51
وَلَهُۥ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَلَهُ ٱلدِّينُ وَاصِبًاۚ أَفَغَيۡرَ ٱللَّهِ تَتَّقُونَ
Usi ka hai woh sab kuch jo aasmano mein hai aur jo zameen mein hai, aur khaalisan usi ka deen (saari qayinaat mein) chal raha hai. Phir kya Allah ko chodh kar tum kisi aur se taqwa (darr) karoge
Surah An-Nahl, Verse 52
وَمَا بِكُم مِّن نِّعۡمَةٖ فَمِنَ ٱللَّهِۖ ثُمَّ إِذَا مَسَّكُمُ ٱلضُّرُّ فَإِلَيۡهِ تَجۡـَٔرُونَ
Tumko jo niyamat bhi haasil hai Allah hi ki taraf se hai phir jab koi sakht waqt tumpar aata hai to tum log khud apni fariyadein lekar usi ki taraf daudte ho
Surah An-Nahl, Verse 53
ثُمَّ إِذَا كَشَفَ ٱلضُّرَّ عَنكُمۡ إِذَا فَرِيقٞ مِّنكُم بِرَبِّهِمۡ يُشۡرِكُونَ
Magar jab Allah us waqt ko taal deta hai to yakayak tum mein se ek giroh apne Rubb ke saath dusron ko (is meharbani ke shukriye mein) shareek karne lagta hai
Surah An-Nahl, Verse 54
لِيَكۡفُرُواْ بِمَآ ءَاتَيۡنَٰهُمۡۚ فَتَمَتَّعُواْ فَسَوۡفَ تَعۡلَمُونَ
Taa-ke Allah ke ehsan ki nashukri karey, Accha mazey karlo, anqareeb tumhein maloom ho jayega
Surah An-Nahl, Verse 55
وَيَجۡعَلُونَ لِمَا لَا يَعۡلَمُونَ نَصِيبٗا مِّمَّا رَزَقۡنَٰهُمۡۗ تَٱللَّهِ لَتُسۡـَٔلُنَّ عَمَّا كُنتُمۡ تَفۡتَرُونَ
Yeh log jinki haqeeqat se waqif nahin hain unke hissey hamare diye huye rizq mein se muqarrar karte hain. Khuda ki kasam, zaroor tumse pucha jayega ke yeh jhoot tumne kaise ghadh liye thay
Surah An-Nahl, Verse 56
وَيَجۡعَلُونَ لِلَّهِ ٱلۡبَنَٰتِ سُبۡحَٰنَهُۥ وَلَهُم مَّا يَشۡتَهُونَ
Yeh khuda ke liye betiyan tajweez karte hain, SubhanAllah! Aur inke liye woh jo yeh khud chahein
Surah An-Nahl, Verse 57
وَإِذَا بُشِّرَ أَحَدُهُم بِٱلۡأُنثَىٰ ظَلَّ وَجۡهُهُۥ مُسۡوَدّٗا وَهُوَ كَظِيمٞ
Jab in mein se kisi ko beti ke paida honay ki khush-khabri di jati hai to uske chehre par kaloons (grows dark) chaa jati hai aur woh bas khoon ka sa ghoont pee kar reh jata hai
Surah An-Nahl, Verse 58
يَتَوَٰرَىٰ مِنَ ٱلۡقَوۡمِ مِن سُوٓءِ مَا بُشِّرَ بِهِۦٓۚ أَيُمۡسِكُهُۥ عَلَىٰ هُونٍ أَمۡ يَدُسُّهُۥ فِي ٱلتُّرَابِۗ أَلَا سَآءَ مَا يَحۡكُمُونَ
Logon se chupta phirta hai ke is buri khabar ke baad kya kisi ko mooh dikhaye. Sochta hai ke zillat ke saath beti ko liye rahey ya mitti mein daba de? Dekho kaise bure hukum hain jo yeh khuda ke barey mein lagate hain
Surah An-Nahl, Verse 59
لِلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِ مَثَلُ ٱلسَّوۡءِۖ وَلِلَّهِ ٱلۡمَثَلُ ٱلۡأَعۡلَىٰۚ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Buri siffat se muttasaf (be ascribed) kiya janey ke layak to woh log hain jo aakhirat ka yaqeen nahin rakhte. Raha Allah, to uske liye sab se bartar siffat hain, wahi to sab par gaalib aur hikmat mein kamil hai
Surah An-Nahl, Verse 60
وَلَوۡ يُؤَاخِذُ ٱللَّهُ ٱلنَّاسَ بِظُلۡمِهِم مَّا تَرَكَ عَلَيۡهَا مِن دَآبَّةٖ وَلَٰكِن يُؤَخِّرُهُمۡ إِلَىٰٓ أَجَلٖ مُّسَمّٗىۖ فَإِذَا جَآءَ أَجَلُهُمۡ لَا يَسۡتَـٔۡخِرُونَ سَاعَةٗ وَلَا يَسۡتَقۡدِمُونَ
Agar kahin Allah logon ko unki zyadati par fauran hi pakad liya karta to rooh e zameen par kisi mutanaffis ko na chodhta. Lekin woh sab ko ek waqt e muqarrar tak mohalat deta hai. Phir jab woh waqt aa jata hai to ussey koi ek ghadi bhar bhi aagey peechey nahin ho sakta
Surah An-Nahl, Verse 61
وَيَجۡعَلُونَ لِلَّهِ مَا يَكۡرَهُونَۚ وَتَصِفُ أَلۡسِنَتُهُمُ ٱلۡكَذِبَ أَنَّ لَهُمُ ٱلۡحُسۡنَىٰۚ لَا جَرَمَ أَنَّ لَهُمُ ٱلنَّارَ وَأَنَّهُم مُّفۡرَطُونَ
Aaj yeh log woh cheezein Allah ke liye tajweez kar rahey hain jo khud apne liye inhein napasand hain, aur jhoot kehti hain inki zubaanein ke inke liye bhala hi bhala hai. Inke liye to ek hi cheez hai, aur woh hai dozakh ki aag, zaroor yeh sab se pehle us mein pahunchaye jayenge
Surah An-Nahl, Verse 62
تَٱللَّهِ لَقَدۡ أَرۡسَلۡنَآ إِلَىٰٓ أُمَمٖ مِّن قَبۡلِكَ فَزَيَّنَ لَهُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ أَعۡمَٰلَهُمۡ فَهُوَ وَلِيُّهُمُ ٱلۡيَوۡمَ وَلَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Khuda ki kasam, (aey Muhammad) tumse pehle bhi bahut si qaumon mein hum Rasool bhej chuke hain (aur pehle bhi yahi hota raha hai ke) shaytan ne unke burey kartoot unhein khushnuma bana kar dikhaye (aur Rasoolon ki baat unhon ne maan kar na di). Wahi shaytan aaj in logon ka bhi sarparast bana hua hai aur yeh dardnaak saza ke mustahiq ban rahey hain
Surah An-Nahl, Verse 63
وَمَآ أَنزَلۡنَا عَلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ إِلَّا لِتُبَيِّنَ لَهُمُ ٱلَّذِي ٱخۡتَلَفُواْ فِيهِ وَهُدٗى وَرَحۡمَةٗ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
Humne yeh kitaab tumpar is liye nazil ki hai ke tum un ikhtilafaat(differences) ki haqeeqat inpar khol do jin mein yeh padey huey hain. Yeh kitab rehnumayi aur rehmat bankar utri hai un logon ke liye jo isey maan lein
Surah An-Nahl, Verse 64
وَٱللَّهُ أَنزَلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَأَحۡيَا بِهِ ٱلۡأَرۡضَ بَعۡدَ مَوۡتِهَآۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗ لِّقَوۡمٖ يَسۡمَعُونَ
(Tum har barsaat mein dekhte ho ke) Allah ne aasman se pani barsaya aur yakayak murda padi hui zameen mein uski badaulat jaan daal di. Yaqeenan is mein ek nishani hain sunne walon ke liye
Surah An-Nahl, Verse 65
وَإِنَّ لَكُمۡ فِي ٱلۡأَنۡعَٰمِ لَعِبۡرَةٗۖ نُّسۡقِيكُم مِّمَّا فِي بُطُونِهِۦ مِنۢ بَيۡنِ فَرۡثٖ وَدَمٖ لَّبَنًا خَالِصٗا سَآئِغٗا لِّلشَّـٰرِبِينَ
Aur tumhare liye maweshiyon mein bhi ek sabaq maujood hai unke pait (stomach) se gobar aur khoon ke darmiyan hum ek cheez tumhein peelate hain, yaani khaalis doodh, jo peene walon ke liye nihayat khushgawar hai
Surah An-Nahl, Verse 66
وَمِن ثَمَرَٰتِ ٱلنَّخِيلِ وَٱلۡأَعۡنَٰبِ تَتَّخِذُونَ مِنۡهُ سَكَرٗا وَرِزۡقًا حَسَنًاۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗ لِّقَوۡمٖ يَعۡقِلُونَ
(Isi tarah) khajoor ke darakhton aur angoor ki beilon se bhi hum ek cheez tumhein pilatay hain jisey tum nasha-awar bhi bana letey ho aur paak rizq bhi. Yaqeenan is mein ek nishani hai aqal se kaam lene walon ke liye
Surah An-Nahl, Verse 67
وَأَوۡحَىٰ رَبُّكَ إِلَى ٱلنَّحۡلِ أَنِ ٱتَّخِذِي مِنَ ٱلۡجِبَالِ بُيُوتٗا وَمِنَ ٱلشَّجَرِ وَمِمَّا يَعۡرِشُونَ
Aur dekho, tumhare Rubb ne shahed (honey) ki makkhi par yeh baat wahee kardi ke pahadon mein, aur darakhton mein, aur tattiyon par chadhayi hui bailon mein (mountains, trees and in the creepers over trellises) apne chattey bana (Build your hive)
Surah An-Nahl, Verse 68
ثُمَّ كُلِي مِن كُلِّ ٱلثَّمَرَٰتِ فَٱسۡلُكِي سُبُلَ رَبِّكِ ذُلُلٗاۚ يَخۡرُجُ مِنۢ بُطُونِهَا شَرَابٞ مُّخۡتَلِفٌ أَلۡوَٰنُهُۥ فِيهِ شِفَآءٞ لِّلنَّاسِۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗ لِّقَوۡمٖ يَتَفَكَّرُونَ
Aur har tarah ke phoolon ka rass choos aur apne Rubb ki humwar ki hui raahon par chalti reh. Is makkhi ke andar se rang bi rang ka ek sharbat nikalta hai jismein shifa hai logon ke liye. Yaqeenan is mein bhi ek nishani hai un logon ke liye jo gaur o fikr karte hain
Surah An-Nahl, Verse 69
وَٱللَّهُ خَلَقَكُمۡ ثُمَّ يَتَوَفَّىٰكُمۡۚ وَمِنكُم مَّن يُرَدُّ إِلَىٰٓ أَرۡذَلِ ٱلۡعُمُرِ لِكَيۡ لَا يَعۡلَمَ بَعۡدَ عِلۡمٖ شَيۡـًٔاۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمٞ قَدِيرٞ
Aur dekho, Allah ne tumko paida kiya, phir woh tumko maut deta hai aur tum mein se koi badhtareen umar ko pahucha diya jata hai taa-ke sab kuch jaanne ke baad phir kuch na janey. Haqq yeh hai ke Allah hi ilm mein bhi kamil hai aur qudrat mein bhi
Surah An-Nahl, Verse 70
وَٱللَّهُ فَضَّلَ بَعۡضَكُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٖ فِي ٱلرِّزۡقِۚ فَمَا ٱلَّذِينَ فُضِّلُواْ بِرَآدِّي رِزۡقِهِمۡ عَلَىٰ مَا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُهُمۡ فَهُمۡ فِيهِ سَوَآءٌۚ أَفَبِنِعۡمَةِ ٱللَّهِ يَجۡحَدُونَ
Aur dekho, Allah ne tum mein se baaz ko baaz par rizq mein fazilat ata ki hai, phir jin logon ko yeh fazeelat di gayi hai woh aisey nahin hain ke apna rizq apne ghulaamo ki taraf pher diya karte hon taa-ke dono is rizq mein barabar ke hissedaar ban jayein. To kya Allah hi ka ehsan maanne se in logon ko inkar hai
Surah An-Nahl, Verse 71
وَٱللَّهُ جَعَلَ لَكُم مِّنۡ أَنفُسِكُمۡ أَزۡوَٰجٗا وَجَعَلَ لَكُم مِّنۡ أَزۡوَٰجِكُم بَنِينَ وَحَفَدَةٗ وَرَزَقَكُم مِّنَ ٱلطَّيِّبَٰتِۚ أَفَبِٱلۡبَٰطِلِ يُؤۡمِنُونَ وَبِنِعۡمَتِ ٱللَّهِ هُمۡ يَكۡفُرُونَ
Aur woh Allah hi hai jisne tumhare liye tumhari hum jins biwiyan banayi aur usi ne un biwiyon se tumhein bete potey (sons and grandsons) ata kiye aur acchi acchi cheezein tumhein khane ko di. Phir kya yeh log (yeh sab kuch dekhte aur jaante huey bhi) baatil ko maante hain, aur Allah ke ehsan ka inkar karte hain
Surah An-Nahl, Verse 72
وَيَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَا لَا يَمۡلِكُ لَهُمۡ رِزۡقٗا مِّنَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ شَيۡـٔٗا وَلَا يَسۡتَطِيعُونَ
Aur Allah ko chodh kar unko poojhte hain jinke haath mein na aasmano se inhein kuch bhi rizq dena hai na zameen se aur na yeh kaam woh kar hi sakte hain
Surah An-Nahl, Verse 73
فَلَا تَضۡرِبُواْ لِلَّهِ ٱلۡأَمۡثَالَۚ إِنَّ ٱللَّهَ يَعۡلَمُ وَأَنتُمۡ لَا تَعۡلَمُونَ
Pas Allah ke liye misalein na ghado, Allah jaanta hai, tum nahin jaante
Surah An-Nahl, Verse 74
۞ضَرَبَ ٱللَّهُ مَثَلًا عَبۡدٗا مَّمۡلُوكٗا لَّا يَقۡدِرُ عَلَىٰ شَيۡءٖ وَمَن رَّزَقۡنَٰهُ مِنَّا رِزۡقًا حَسَنٗا فَهُوَ يُنفِقُ مِنۡهُ سِرّٗا وَجَهۡرًاۖ هَلۡ يَسۡتَوُۥنَۚ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِۚ بَلۡ أَكۡثَرُهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
Allah ek misal deta hai ek to hai gulaam, jo dusre ka mamluq (slave) hai aur khud koi ikhtiyar nahin rakhta. Doosra shaks aisa hai jisey humne apni taraf se accha rizq ata kiya hai aur woh is mein se khule aur chupe khoob kharch karta hai. Batao kya yeh dono barabar hain? Alhamdulillah, magar aksar log (is seedhi baat ko) nahin jaante
Surah An-Nahl, Verse 75
وَضَرَبَ ٱللَّهُ مَثَلٗا رَّجُلَيۡنِ أَحَدُهُمَآ أَبۡكَمُ لَا يَقۡدِرُ عَلَىٰ شَيۡءٖ وَهُوَ كَلٌّ عَلَىٰ مَوۡلَىٰهُ أَيۡنَمَا يُوَجِّههُّ لَا يَأۡتِ بِخَيۡرٍ هَلۡ يَسۡتَوِي هُوَ وَمَن يَأۡمُرُ بِٱلۡعَدۡلِ وَهُوَ عَلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
Allah ek aur misal deta hai, do aadmi hain ek gunga behra hai, koi kaam nahin kar sakta, apne aaqa par bojh bana hua hai, jidhar bhi woh usey bheje koi bhala kaam ussey ban na aaye, dusra shaks aisa hai ke insaaf ka hukum deta hai aur khud raah e raast par qayam hai, batao kya yeh dono yaksan hain
Surah An-Nahl, Verse 76
وَلِلَّهِ غَيۡبُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ وَمَآ أَمۡرُ ٱلسَّاعَةِ إِلَّا كَلَمۡحِ ٱلۡبَصَرِ أَوۡ هُوَ أَقۡرَبُۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Aur zameen o aasman ke posheeda haqaiq ka ilm to Allah hi ko hai aur qayamant ke barpa honay ka maamla kuch dair na lega magar bas itni ke jismein aadmi ki palakh jhapak jaye, balke isse bhi kuch kam, haqeeqat yeh hai ke Allah sab kuch kar sakta hai
Surah An-Nahl, Verse 77
وَٱللَّهُ أَخۡرَجَكُم مِّنۢ بُطُونِ أُمَّهَٰتِكُمۡ لَا تَعۡلَمُونَ شَيۡـٔٗا وَجَعَلَ لَكُمُ ٱلسَّمۡعَ وَٱلۡأَبۡصَٰرَ وَٱلۡأَفۡـِٔدَةَ لَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
Allah ne tumko tumhari maaon ke paiton se nikala is halat mein ke tum kuch na jaante thay, usne tumhein kaan diye , aankhein di , aur sochne waley dil diya, is liye ke tum shukar-guzaar bano
Surah An-Nahl, Verse 78
أَلَمۡ يَرَوۡاْ إِلَى ٱلطَّيۡرِ مُسَخَّرَٰتٖ فِي جَوِّ ٱلسَّمَآءِ مَا يُمۡسِكُهُنَّ إِلَّا ٱللَّهُۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
Kya in logon ne kabhi parindon ko nahin dekha ke fiza e aasmani mein kis tarah musakkhar hain? Allah ke siwa kisne inko thaam rakkha hai? Is mein bahut nishaniyan hain un logon ke liye jo iman latey hain
Surah An-Nahl, Verse 79
وَٱللَّهُ جَعَلَ لَكُم مِّنۢ بُيُوتِكُمۡ سَكَنٗا وَجَعَلَ لَكُم مِّن جُلُودِ ٱلۡأَنۡعَٰمِ بُيُوتٗا تَسۡتَخِفُّونَهَا يَوۡمَ ظَعۡنِكُمۡ وَيَوۡمَ إِقَامَتِكُمۡ وَمِنۡ أَصۡوَافِهَا وَأَوۡبَارِهَا وَأَشۡعَارِهَآ أَثَٰثٗا وَمَتَٰعًا إِلَىٰ حِينٖ
Allah ne tumhare liye tumhare gharon ko jaaye sukoon banaya, usne jaanwaron ki khaalon (skins) se tumhare liye aisey makan paida kiye jinhein tum safar aur qayaam, dono haalaton mein halka patey ho. Usne jaanwaron ke souf aur oun aur baalon se (soft fur and wool and hair) pehanne aur baratne (use) ki bahut si cheezein paida kardi jo zindagi ki muddat e muqarrara tak tumhare kaam aati hain
Surah An-Nahl, Verse 80
وَٱللَّهُ جَعَلَ لَكُم مِّمَّا خَلَقَ ظِلَٰلٗا وَجَعَلَ لَكُم مِّنَ ٱلۡجِبَالِ أَكۡنَٰنٗا وَجَعَلَ لَكُمۡ سَرَٰبِيلَ تَقِيكُمُ ٱلۡحَرَّ وَسَرَٰبِيلَ تَقِيكُم بَأۡسَكُمۡۚ كَذَٰلِكَ يُتِمُّ نِعۡمَتَهُۥ عَلَيۡكُمۡ لَعَلَّكُمۡ تُسۡلِمُونَ
Usne apni paida ki hui bahut si cheezon se tumhare liye saaye ka intezam kiya, pahadon mein tumhare liye panaah-gaahein (places of refuge) banayi, aur tumhein aisi poshakein (garments) bakshi jo tumhein garmi se bachati hain aur kuch dusri poshakein jo aapas ki jung mein tumhari hifazat karti hain, is tarah woh tumpar apni niyamaton ki takmeel karta hai shayad ke tum farmabardar bano
Surah An-Nahl, Verse 81
فَإِن تَوَلَّوۡاْ فَإِنَّمَا عَلَيۡكَ ٱلۡبَلَٰغُ ٱلۡمُبِينُ
Ab agar yeh log mooh moadte hain to (aey Muhammad) , tumpar saaf saaf paighaam e haqq pahuncha dene ke siwa aur koi zimmedari nahin hai
Surah An-Nahl, Verse 82
يَعۡرِفُونَ نِعۡمَتَ ٱللَّهِ ثُمَّ يُنكِرُونَهَا وَأَكۡثَرُهُمُ ٱلۡكَٰفِرُونَ
Yeh Allah ke ehsan ko pehchante hain, phir iska inkar karte hain aur in mein beshtar aisey hain jo haqq maanne ke liye tayyar nahin hain
Surah An-Nahl, Verse 83
وَيَوۡمَ نَبۡعَثُ مِن كُلِّ أُمَّةٖ شَهِيدٗا ثُمَّ لَا يُؤۡذَنُ لِلَّذِينَ كَفَرُواْ وَلَا هُمۡ يُسۡتَعۡتَبُونَ
(Inhein kuch hosh bhi hai ke us roz kya banegi) jabke hum har ummat mein se ek gawaah khada karenge, phir kaafiron ko na hujjatein (excuses) pesh karne ka mauqa diya jayega na unse tawba o istagfar hi ka mutalba kiya jayega
Surah An-Nahl, Verse 84
وَإِذَا رَءَا ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ ٱلۡعَذَابَ فَلَا يُخَفَّفُ عَنۡهُمۡ وَلَا هُمۡ يُنظَرُونَ
Zalim log jab ek dafa azaab dekh lenge to iske baad na unke azaab mein koi takhfif (lightened /halka) ki jayegi aur na unhein ek lamha bhar ki mohlat di jayegi
Surah An-Nahl, Verse 85
وَإِذَا رَءَا ٱلَّذِينَ أَشۡرَكُواْ شُرَكَآءَهُمۡ قَالُواْ رَبَّنَا هَـٰٓؤُلَآءِ شُرَكَآؤُنَا ٱلَّذِينَ كُنَّا نَدۡعُواْ مِن دُونِكَۖ فَأَلۡقَوۡاْ إِلَيۡهِمُ ٱلۡقَوۡلَ إِنَّكُمۡ لَكَٰذِبُونَ
Aur jab woh log jinhon ne duniya mein shirk kiya tha apne thehraye huey shareekon ko dekhenge to kahenge “ aey parwardigar, yahi hain hamare woh shareek jinhein hum tujhey chodh kar pukara karte thay” ispar unke woh mabood unhein saaf jawab denge ke “tum jhootey ho”
Surah An-Nahl, Verse 86
وَأَلۡقَوۡاْ إِلَى ٱللَّهِ يَوۡمَئِذٍ ٱلسَّلَمَۖ وَضَلَّ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَفۡتَرُونَ
Us waqt yeh sab Allah ke aagey jhuk jaayenge aur unki woh saari iftara-pardaziyan(forgery) rafu-chakkar (vanish) ho jayengi jo yeh duniya mein karte rahey thay
Surah An-Nahl, Verse 87
ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَصَدُّواْ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ زِدۡنَٰهُمۡ عَذَابٗا فَوۡقَ ٱلۡعَذَابِ بِمَا كَانُواْ يُفۡسِدُونَ
Jin logon ne khud kufr ki raah ikhtiyar ki aur dusron ko Allah ki raah se roka unhein hum azaab par azaab denge us fasaad ke badle jo woh duniya mein barpa karte rahey
Surah An-Nahl, Verse 88
وَيَوۡمَ نَبۡعَثُ فِي كُلِّ أُمَّةٖ شَهِيدًا عَلَيۡهِم مِّنۡ أَنفُسِهِمۡۖ وَجِئۡنَا بِكَ شَهِيدًا عَلَىٰ هَـٰٓؤُلَآءِۚ وَنَزَّلۡنَا عَلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ تِبۡيَٰنٗا لِّكُلِّ شَيۡءٖ وَهُدٗى وَرَحۡمَةٗ وَبُشۡرَىٰ لِلۡمُسۡلِمِينَ
(Aey Muhammad, inhein us din se khabardar kardo) jabke hum har ummat mein khud usi ke andar se ek gawaah utha khada karenge jo uske muqable mein shahadat (witness/gawahi) dega. Aur in logon ke muqable mein shahadat dene ke liye hum tumhein layenge aur (yeh usi shadat ki tayyari hai ke) humne yeh kitab tumpar nazil kardi hai jo har cheez ki saaf saaf wazahat karne wali hai aur hidayat o rehmat aur basharat hai un logon ke liye jinhon ne sar-e-tasleem kham kar diya hai
Surah An-Nahl, Verse 89
۞إِنَّ ٱللَّهَ يَأۡمُرُ بِٱلۡعَدۡلِ وَٱلۡإِحۡسَٰنِ وَإِيتَآيِٕ ذِي ٱلۡقُرۡبَىٰ وَيَنۡهَىٰ عَنِ ٱلۡفَحۡشَآءِ وَٱلۡمُنكَرِ وَٱلۡبَغۡيِۚ يَعِظُكُمۡ لَعَلَّكُمۡ تَذَكَّرُونَ
Allah adal (justice) aur ehsaan (generosity) aur sila rehmi ka hukum deta hai aur badhi(wickedness) o behayai aur zulm o zyadati se mana karta hai. Woh tumhein naseehat karta hai taa-ke tum sabaq lo
Surah An-Nahl, Verse 90
وَأَوۡفُواْ بِعَهۡدِ ٱللَّهِ إِذَا عَٰهَدتُّمۡ وَلَا تَنقُضُواْ ٱلۡأَيۡمَٰنَ بَعۡدَ تَوۡكِيدِهَا وَقَدۡ جَعَلۡتُمُ ٱللَّهَ عَلَيۡكُمۡ كَفِيلًاۚ إِنَّ ٱللَّهَ يَعۡلَمُ مَا تَفۡعَلُونَ
Allah ke ahad (covenant) ko poora karo jabke tumne ussey koi ahad bandha ho, aur apni kasmein pukhta karne ke baad todh na daalo jabke tum Allah ko apne upar gawah bana chuke ho. Allah tumhare sab afaal se bakhabar hai
Surah An-Nahl, Verse 91
وَلَا تَكُونُواْ كَٱلَّتِي نَقَضَتۡ غَزۡلَهَا مِنۢ بَعۡدِ قُوَّةٍ أَنكَٰثٗا تَتَّخِذُونَ أَيۡمَٰنَكُمۡ دَخَلَۢا بَيۡنَكُمۡ أَن تَكُونَ أُمَّةٌ هِيَ أَرۡبَىٰ مِنۡ أُمَّةٍۚ إِنَّمَا يَبۡلُوكُمُ ٱللَّهُ بِهِۦۚ وَلَيُبَيِّنَنَّ لَكُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ مَا كُنتُمۡ فِيهِ تَخۡتَلِفُونَ
Tumhari halat us aurat ki si na ho jaye jisne aap hi mehnat se soot kaata (spun yarn) aur phir aap hi usey tukde tukde kar dala. Tum apni kasamo ko aapas ke maamlaat mein makar o fareb ka hathiyar banate ho taa-ke ek qaum dusri qaum se badhkar faiyde hasil karey halaanke Allah is ahad o paimaan ke zariye se tumko aazmaish mein daalta hai. Aur zaroor woh qayamat ke roz tumhare tamaam ikhtilafaat ki haqeeqat tumpar khol dega
Surah An-Nahl, Verse 92
وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ لَجَعَلَكُمۡ أُمَّةٗ وَٰحِدَةٗ وَلَٰكِن يُضِلُّ مَن يَشَآءُ وَيَهۡدِي مَن يَشَآءُۚ وَلَتُسۡـَٔلُنَّ عَمَّا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Agar Allah ki mashiyat yeh hoti (ke tum mein koi ikhtilaf na ho) to woh tum sabko ek hi ummat bana deta, magar woh jisey chahta hai gumraahi mein daalta hai aur jisey chahta hain raah e raast dikha deta hai. Aur zaroor tumse tumhare aamaal ki baaz-purs hokar rahegi
Surah An-Nahl, Verse 93
وَلَا تَتَّخِذُوٓاْ أَيۡمَٰنَكُمۡ دَخَلَۢا بَيۡنَكُمۡ فَتَزِلَّ قَدَمُۢ بَعۡدَ ثُبُوتِهَا وَتَذُوقُواْ ٱلسُّوٓءَ بِمَا صَدَدتُّمۡ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ وَلَكُمۡ عَذَابٌ عَظِيمٞ
(aur Aey Musalmaano) tum apni kasamon ko aapas mein ek dusre ko dhoka dene ka zariya na bana lena, kahin aisa na ho ke koi qadam jamne ke baad ukhad jaye aur tum is jurm ki padash mein ke tumne logon ko Allah ki raah se roka, bura nateeja dekho aur sakht saza bhugto
Surah An-Nahl, Verse 94
وَلَا تَشۡتَرُواْ بِعَهۡدِ ٱللَّهِ ثَمَنٗا قَلِيلًاۚ إِنَّمَا عِندَ ٱللَّهِ هُوَ خَيۡرٞ لَّكُمۡ إِن كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
Allah ke ahad ko thode se faiyde ke badle na bech daalo (sell off/barter away), jo kuch Allah ke paas hai woh tumhare liye zyada behtar hai agar tum jaano
Surah An-Nahl, Verse 95
مَا عِندَكُمۡ يَنفَدُ وَمَا عِندَ ٱللَّهِ بَاقٖۗ وَلَنَجۡزِيَنَّ ٱلَّذِينَ صَبَرُوٓاْ أَجۡرَهُم بِأَحۡسَنِ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Jo kuch tumhare paas hai woh kharch ho janey wala hai aur jo kuch Allah ke paas hai wahi baaqi rehne wala hai, aur hum zaroor sabr se kaam lene walon ko unke ajar unke behtareen aamaal ke mutaabiq denge
Surah An-Nahl, Verse 96
مَنۡ عَمِلَ صَٰلِحٗا مِّن ذَكَرٍ أَوۡ أُنثَىٰ وَهُوَ مُؤۡمِنٞ فَلَنُحۡيِيَنَّهُۥ حَيَوٰةٗ طَيِّبَةٗۖ وَلَنَجۡزِيَنَّهُمۡ أَجۡرَهُم بِأَحۡسَنِ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Jo shaks bhi neik amal karega, khwa woh mard ho ya aurat, bashart ye ke ho woh momin, usey hum duniya mein pakeeza zindagi basar karayenge aur (aakhirat mein) aisey logon ko unke ajar unke behtareen aamaal ke mutabiq bakshenge
Surah An-Nahl, Verse 97
فَإِذَا قَرَأۡتَ ٱلۡقُرۡءَانَ فَٱسۡتَعِذۡ بِٱللَّهِ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ ٱلرَّجِيمِ
Phir jab tum Quran padhne lago to Shaytan e rajeem (accursed) se khuda ki panaah maang liya karo
Surah An-Nahl, Verse 98
إِنَّهُۥ لَيۡسَ لَهُۥ سُلۡطَٰنٌ عَلَى ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَلَىٰ رَبِّهِمۡ يَتَوَكَّلُونَ
Usey un logon par tasallut (power/authority) hasil nahin hota jo iman latey aur apne Rubb par bharosa karte hain
Surah An-Nahl, Verse 99
إِنَّمَا سُلۡطَٰنُهُۥ عَلَى ٱلَّذِينَ يَتَوَلَّوۡنَهُۥ وَٱلَّذِينَ هُم بِهِۦ مُشۡرِكُونَ
Uska zoar to unhi logon par chalta hai jo usko apna sarparast banate aur uske behkane se shirk karte hain
Surah An-Nahl, Verse 100
وَإِذَا بَدَّلۡنَآ ءَايَةٗ مَّكَانَ ءَايَةٖ وَٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِمَا يُنَزِّلُ قَالُوٓاْ إِنَّمَآ أَنتَ مُفۡتَرِۭۚ بَلۡ أَكۡثَرُهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
Jab hum ek ayat ki jagah dusri aayat nazil karte hain Allah behtar jaanta hia ke woh kya nazil karey to yeh log kehte hain ke tum yeh Quran khud ghadte ho. Asal baat yeh hai ke in mein se aksar log haqeeqat se na-waqif hain
Surah An-Nahl, Verse 101
قُلۡ نَزَّلَهُۥ رُوحُ ٱلۡقُدُسِ مِن رَّبِّكَ بِٱلۡحَقِّ لِيُثَبِّتَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَهُدٗى وَبُشۡرَىٰ لِلۡمُسۡلِمِينَ
Insey kaho ke isey to rooh-ul-quddus ne theek theek mere Rubb ki taraf se ba-tadreej nazil kiya hai taa-ke iman laney walon ke iman ko pukhta karey aur farma-bardaron ko zindagi ke maamlaat mein seedhi raah bataye aur unhein falaah o saadat ki khush khabri de
Surah An-Nahl, Verse 102
وَلَقَدۡ نَعۡلَمُ أَنَّهُمۡ يَقُولُونَ إِنَّمَا يُعَلِّمُهُۥ بَشَرٞۗ لِّسَانُ ٱلَّذِي يُلۡحِدُونَ إِلَيۡهِ أَعۡجَمِيّٞ وَهَٰذَا لِسَانٌ عَرَبِيّٞ مُّبِينٌ
Humein maloom hai yeh log tumhare mutaaliq kehte hain ke is shaks ko ek aadmi sikhata padhata hai. Halaanke unka ishara jis aadmi ki taraf hai uski zubaan ajami hai aur yeh saaf arabi zubaan hai
Surah An-Nahl, Verse 103
إِنَّ ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ لَا يَهۡدِيهِمُ ٱللَّهُ وَلَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٌ
Haqeeqat yeh hai ke jo log Allah ki aayat ko nahin maante Allah kabhi unko saheeh baat tak pahunchne ki taufeeq nahin deta aur aise logon ke liye dardnaak azaab hai
Surah An-Nahl, Verse 104
إِنَّمَا يَفۡتَرِي ٱلۡكَذِبَ ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡكَٰذِبُونَ
(Jhooti baatein Nabi nahin ghadta balke) jhoot woh log ghad rahey hain jo Allah ki aayat ko nahin maante, wahi haqeeqat mein jhootey hain
Surah An-Nahl, Verse 105
مَن كَفَرَ بِٱللَّهِ مِنۢ بَعۡدِ إِيمَٰنِهِۦٓ إِلَّا مَنۡ أُكۡرِهَ وَقَلۡبُهُۥ مُطۡمَئِنُّۢ بِٱلۡإِيمَٰنِ وَلَٰكِن مَّن شَرَحَ بِٱلۡكُفۡرِ صَدۡرٗا فَعَلَيۡهِمۡ غَضَبٞ مِّنَ ٱللَّهِ وَلَهُمۡ عَذَابٌ عَظِيمٞ
Jo shaks iman laney ke baad kufr karey (woh agar) majboor kiya gaya ho aur dil uska iman par mutmaeen (convinced) ho (tab to khair) magar jisne dil ki raza-mandi se kufr ko qabool karliya uspar Allah ka gazab hai aur aisey sab logon ke liye bada azaab hai
Surah An-Nahl, Verse 106
ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمُ ٱسۡتَحَبُّواْ ٱلۡحَيَوٰةَ ٱلدُّنۡيَا عَلَى ٱلۡأٓخِرَةِ وَأَنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Yeh isliye ke unhon ne aakhirat ke muqable mein duniya ki zindagi ko pasand karliya, aur Allah ka qaida hai ke woh un logon ko raah e nijaat nahin dikhata jo uski niyamat ka kufraan karein
Surah An-Nahl, Verse 107
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ طَبَعَ ٱللَّهُ عَلَىٰ قُلُوبِهِمۡ وَسَمۡعِهِمۡ وَأَبۡصَٰرِهِمۡۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡغَٰفِلُونَ
Yeh woh log hain jinke dilon aur kaano aur aankhon par Allah ne mohar (seal) laga di hai yeh gaflat mein doob chuke hain
Surah An-Nahl, Verse 108
لَا جَرَمَ أَنَّهُمۡ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ هُمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ
Zaroor hai ke aakhirat mein yahi khasare mein rahein
Surah An-Nahl, Verse 109
ثُمَّ إِنَّ رَبَّكَ لِلَّذِينَ هَاجَرُواْ مِنۢ بَعۡدِ مَا فُتِنُواْ ثُمَّ جَٰهَدُواْ وَصَبَرُوٓاْ إِنَّ رَبَّكَ مِنۢ بَعۡدِهَا لَغَفُورٞ رَّحِيمٞ
Ba-khilaf iske jin logon ka haal yeh hai ke jab (iman laney ki wajah se) woh sataye gaye to unhon ne ghar-baar chodh diye, hijrat ki, raah e khuda mein sakhtiyan jheli aur sabr se kaam liya, unke liye yaqeenan tera Rubb gafoor o raheem hai
Surah An-Nahl, Verse 110
۞يَوۡمَ تَأۡتِي كُلُّ نَفۡسٖ تُجَٰدِلُ عَن نَّفۡسِهَا وَتُوَفَّىٰ كُلُّ نَفۡسٖ مَّا عَمِلَتۡ وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ
(In sab ka faisla us din hoga) jabke har mutanaffis apne hi bachao ki fikr mein laga hua hoga aur har ek ko uske kiye ka badla poora poora diya jayega aur kisi par zarra barabar zulm na hone payega
Surah An-Nahl, Verse 111
وَضَرَبَ ٱللَّهُ مَثَلٗا قَرۡيَةٗ كَانَتۡ ءَامِنَةٗ مُّطۡمَئِنَّةٗ يَأۡتِيهَا رِزۡقُهَا رَغَدٗا مِّن كُلِّ مَكَانٖ فَكَفَرَتۡ بِأَنۡعُمِ ٱللَّهِ فَأَذَٰقَهَا ٱللَّهُ لِبَاسَ ٱلۡجُوعِ وَٱلۡخَوۡفِ بِمَا كَانُواْ يَصۡنَعُونَ
Allah ek basti ki misal deta hai , woh aman o itminaan ki zindagi basar kar rahi thi aur har taraf se usko ba-faragat rizq pahunch raha tha ke usne Allah ki niyamaton ka kufraan shuru kardiya , tab Allah ne uske bashindon ko unke kartooton ka yeh maza chakkhaya ke bhook aur khauf ki museebatein unpar chaa gayi
Surah An-Nahl, Verse 112
وَلَقَدۡ جَآءَهُمۡ رَسُولٞ مِّنۡهُمۡ فَكَذَّبُوهُ فَأَخَذَهُمُ ٱلۡعَذَابُ وَهُمۡ ظَٰلِمُونَ
Unke paas unki apni qaum mein se ek Rasool aaya magar unhon ne usko jhutla diya, aakhir e kaar azaab ne unko aa liya jabke woh zalim ho chuke thay
Surah An-Nahl, Verse 113
فَكُلُواْ مِمَّا رَزَقَكُمُ ٱللَّهُ حَلَٰلٗا طَيِّبٗا وَٱشۡكُرُواْ نِعۡمَتَ ٱللَّهِ إِن كُنتُمۡ إِيَّاهُ تَعۡبُدُونَ
Pas aey logon, Allah ne jo kuch halal aur paak rizq tumko bakhsa hai usey khao aur Allah ke ehsaan ka shukar ada karo agar tum waqayi usi ki bandagi karne waley ho
Surah An-Nahl, Verse 114
إِنَّمَا حَرَّمَ عَلَيۡكُمُ ٱلۡمَيۡتَةَ وَٱلدَّمَ وَلَحۡمَ ٱلۡخِنزِيرِ وَمَآ أُهِلَّ لِغَيۡرِ ٱللَّهِ بِهِۦۖ فَمَنِ ٱضۡطُرَّ غَيۡرَ بَاغٖ وَلَا عَادٖ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Allah ne jo kuch tumpar haram kiya hai woh hai murdaar aur khoon aur suwar (khinzir/swine) ka gosht aur woh jaanwar jispar Allah ke siwa kisi aur ka naam liya gaya ho. Albatta bhook se majboor hokar agar koi in cheezon ko kha ley, bagair iske ke woh kanoon e ilahi ki khilaf warzi ka khwahish-mand ho, ya hadd e zaroorat se tajawuz ka murtakib ho, to yaqeenan Allah maaf karne aur reham farmane wala hai
Surah An-Nahl, Verse 115
وَلَا تَقُولُواْ لِمَا تَصِفُ أَلۡسِنَتُكُمُ ٱلۡكَذِبَ هَٰذَا حَلَٰلٞ وَهَٰذَا حَرَامٞ لِّتَفۡتَرُواْ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَۚ إِنَّ ٱلَّذِينَ يَفۡتَرُونَ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَ لَا يُفۡلِحُونَ
Aur yeh jo tumhari zubaanein jhoote ehkaam lagaya karti hain ke yeh cheez halal hai aur woh haram, to is tarah ke hukum laga kar Allah par jhoot na baandha karo, jo log Allah par jhoote iftara bandhte (ascribe lies) hain woh hargiz falaah nahin paya karte
Surah An-Nahl, Verse 116
مَتَٰعٞ قَلِيلٞ وَلَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Duniya ka aish chandh roza hai aakhir e kaar unke liye dardnaak saza hai
Surah An-Nahl, Verse 117
وَعَلَى ٱلَّذِينَ هَادُواْ حَرَّمۡنَا مَا قَصَصۡنَا عَلَيۡكَ مِن قَبۡلُۖ وَمَا ظَلَمۡنَٰهُمۡ وَلَٰكِن كَانُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ يَظۡلِمُونَ
Woh cheezein humne khaas taur par yahudiyon (jews) ke liye haram ki thi jinka zikr hum issey pehle tumse kar chuke hain aur yeh unpar hamara zulm na tha balke unka apna hi zulm tha jo woh apne upar kar rahey thay
Surah An-Nahl, Verse 118
ثُمَّ إِنَّ رَبَّكَ لِلَّذِينَ عَمِلُواْ ٱلسُّوٓءَ بِجَهَٰلَةٖ ثُمَّ تَابُواْ مِنۢ بَعۡدِ ذَٰلِكَ وَأَصۡلَحُوٓاْ إِنَّ رَبَّكَ مِنۢ بَعۡدِهَا لَغَفُورٞ رَّحِيمٌ
Albatta jin logon ne jahalat ki bina par bura amal kiya aur phir tawba karke apne amal ki islah karli to yaqeenan tawba o islaah ke baad tera Rubb unke liye gafoor aur raheem hai
Surah An-Nahl, Verse 119
إِنَّ إِبۡرَٰهِيمَ كَانَ أُمَّةٗ قَانِتٗا لِّلَّهِ حَنِيفٗا وَلَمۡ يَكُ مِنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ
Waqiya yeh hai ke Ibrahim apni zaat se ek puri ummat tha, Allah ka muti e farman aur yaksu. Woh kabhi mushrik na tha
Surah An-Nahl, Verse 120
شَاكِرٗا لِّأَنۡعُمِهِۚ ٱجۡتَبَىٰهُ وَهَدَىٰهُ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
Allah ki niyamaton ka shukar ada karne wala tha. Allah ne usko muntakhab (chose) karliya aur seedha raasta dikhaya
Surah An-Nahl, Verse 121
وَءَاتَيۡنَٰهُ فِي ٱلدُّنۡيَا حَسَنَةٗۖ وَإِنَّهُۥ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ لَمِنَ ٱلصَّـٰلِحِينَ
Duniya mein usko bhalayi di aur aakhirat mein woh yaqeenan saliheen mein se hoga
Surah An-Nahl, Verse 122
ثُمَّ أَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡكَ أَنِ ٱتَّبِعۡ مِلَّةَ إِبۡرَٰهِيمَ حَنِيفٗاۖ وَمَا كَانَ مِنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ
Phir humne tumhari taraf yeh wahee bheji ke yaksu hokar Ibrahim ke tareeqe par chalo aur woh mushrikon mein se na tha
Surah An-Nahl, Verse 123
إِنَّمَا جُعِلَ ٱلسَّبۡتُ عَلَى ٱلَّذِينَ ٱخۡتَلَفُواْ فِيهِۚ وَإِنَّ رَبَّكَ لَيَحۡكُمُ بَيۡنَهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ فِيمَا كَانُواْ فِيهِ يَخۡتَلِفُونَ
Raha sabt (Sabbath/ hafte ka din) to woh humne un logon par musallat kiya tha jinhon ne uske ehkaam mein ikhtilaf kiya, aur yaqeenan tera Rubb qayamat ke roz un sab baaton ka faisla kardega jin mein woh ikhtilaf karte rahey hain
Surah An-Nahl, Verse 124
ٱدۡعُ إِلَىٰ سَبِيلِ رَبِّكَ بِٱلۡحِكۡمَةِ وَٱلۡمَوۡعِظَةِ ٱلۡحَسَنَةِۖ وَجَٰدِلۡهُم بِٱلَّتِي هِيَ أَحۡسَنُۚ إِنَّ رَبَّكَ هُوَ أَعۡلَمُ بِمَن ضَلَّ عَن سَبِيلِهِۦ وَهُوَ أَعۡلَمُ بِٱلۡمُهۡتَدِينَ
(Aey Nabi), apne Rubb ke raaste ki taraf dawat do hikmat aur umdah naseehat ke saath, aur logon se mubahisa(discuss) karo aise tareeqe par jo behtareen ho. Tumhara Rubb hi zyada behtar jaanta hai ke kaun uski raah se bhatka hua hai aur kaun raah-e-raast par hai
Surah An-Nahl, Verse 125
وَإِنۡ عَاقَبۡتُمۡ فَعَاقِبُواْ بِمِثۡلِ مَا عُوقِبۡتُم بِهِۦۖ وَلَئِن صَبَرۡتُمۡ لَهُوَ خَيۡرٞ لِّلصَّـٰبِرِينَ
Aur agar tum log badla lo to bas usi qadar le lo jis qadar tumpar zyadati ki gayi ho, lekin agar tum sabr karo to yaqeenan yeh sabr karne walon hi ke haqq mein behtar hai
Surah An-Nahl, Verse 126
وَٱصۡبِرۡ وَمَا صَبۡرُكَ إِلَّا بِٱللَّهِۚ وَلَا تَحۡزَنۡ عَلَيۡهِمۡ وَلَا تَكُ فِي ضَيۡقٖ مِّمَّا يَمۡكُرُونَ
(Aey Muhammad) sabr se kaam kiye jao aur tumhara yeh sabr Allah hi ki toufeeq se hai, in logon ki harakat par ranjh na karo aur na inki chaalbaaziyon par dil tangg (distress) ho
Surah An-Nahl, Verse 127
إِنَّ ٱللَّهَ مَعَ ٱلَّذِينَ ٱتَّقَواْ وَّٱلَّذِينَ هُم مُّحۡسِنُونَ
Allah un logon ke saath hai jo taqwa se kaam letay hain aur ehsan par amal karte hain
Surah An-Nahl, Verse 128