Surah Al-Isra - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
سُبۡحَٰنَ ٱلَّذِيٓ أَسۡرَىٰ بِعَبۡدِهِۦ لَيۡلٗا مِّنَ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ إِلَى ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡأَقۡصَا ٱلَّذِي بَٰرَكۡنَا حَوۡلَهُۥ لِنُرِيَهُۥ مِنۡ ءَايَٰتِنَآۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡبَصِيرُ
Paak hai woh jo le gaya ek raat apne banday ko masjid e haraam se door ki us masjid tak jiske maahol ko usne barakat di hai, taa-ke usey apni kuch nishaniyon ka mushahida(show) karaye. Haqeeqat mein wahi hai sab kuch sunney aur dekhne wala
Surah Al-Isra, Verse 1
وَءَاتَيۡنَا مُوسَى ٱلۡكِتَٰبَ وَجَعَلۡنَٰهُ هُدٗى لِّبَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ أَلَّا تَتَّخِذُواْ مِن دُونِي وَكِيلٗا
Humne issey pehle Moosa ko kitab di thi aur usey bani Israel ke liye zariya e hidayat banaya tha, is takeed ke saath ke mere siwa kisi ko apna wakeel(guardian) na banana
Surah Al-Isra, Verse 2
ذُرِّيَّةَ مَنۡ حَمَلۡنَا مَعَ نُوحٍۚ إِنَّهُۥ كَانَ عَبۡدٗا شَكُورٗا
Tum un logon ki aulad ho jinhein humne Nooh ke saath kashti par sawar kiya tha, aur Nooh ek shukarguzar banda tha
Surah Al-Isra, Verse 3
وَقَضَيۡنَآ إِلَىٰ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ فِي ٱلۡكِتَٰبِ لَتُفۡسِدُنَّ فِي ٱلۡأَرۡضِ مَرَّتَيۡنِ وَلَتَعۡلُنَّ عُلُوّٗا كَبِيرٗا
Phir humne apni kitab mein bani Israel ko is baat par bhi mutanabbeh (warn) kardiya tha ke tum do martaba zameen mein fasaad e azeem barpa karogey aur badi sarkashi dikhaogey
Surah Al-Isra, Verse 4
فَإِذَا جَآءَ وَعۡدُ أُولَىٰهُمَا بَعَثۡنَا عَلَيۡكُمۡ عِبَادٗا لَّنَآ أُوْلِي بَأۡسٖ شَدِيدٖ فَجَاسُواْ خِلَٰلَ ٱلدِّيَارِۚ وَكَانَ وَعۡدٗا مَّفۡعُولٗا
Aakhir e kaar jab un mein se pehli sarkashi ka mauqa pesh aaya, to aey bani Israel, humne tumhare muqable par apne aise banday uthaye jo nihayat zoarawar thay aur woh tumhare mulk mein ghus kar har taraf phayl gaye. Yeh ek wada tha jisey poora hokar hi rehna tha
Surah Al-Isra, Verse 5
ثُمَّ رَدَدۡنَا لَكُمُ ٱلۡكَرَّةَ عَلَيۡهِمۡ وَأَمۡدَدۡنَٰكُم بِأَمۡوَٰلٖ وَبَنِينَ وَجَعَلۡنَٰكُمۡ أَكۡثَرَ نَفِيرًا
Iske baad humne tumhein unpar galabe ka mauqa de diya aur tumhein maal aur aulad se madad di aur tumhari taadaad pehle se badha di
Surah Al-Isra, Verse 6
إِنۡ أَحۡسَنتُمۡ أَحۡسَنتُمۡ لِأَنفُسِكُمۡۖ وَإِنۡ أَسَأۡتُمۡ فَلَهَاۚ فَإِذَا جَآءَ وَعۡدُ ٱلۡأٓخِرَةِ لِيَسُـُٔواْ وُجُوهَكُمۡ وَلِيَدۡخُلُواْ ٱلۡمَسۡجِدَ كَمَا دَخَلُوهُ أَوَّلَ مَرَّةٖ وَلِيُتَبِّرُواْ مَا عَلَوۡاْ تَتۡبِيرًا
Dekho! Tumne bhalayi ki to woh tumhare apne hi liye bhalayi thi, aur burayi ki to woh tumhari apni zaat ke liye burayi saabit hui. Phir jab dusre wadey ka waqt aaya to humne dusre dushmano ko tumpar musallat kiya taa-ke woh tumhare chehre bigaad dein aur masjid (bayt ul maqdis) mein usi tarah ghus jayein jis tarah pehle dushman ghuse thay aur jis cheez par unka haath padey usey tabaah karke rakh dein
Surah Al-Isra, Verse 7
عَسَىٰ رَبُّكُمۡ أَن يَرۡحَمَكُمۡۚ وَإِنۡ عُدتُّمۡ عُدۡنَاۚ وَجَعَلۡنَا جَهَنَّمَ لِلۡكَٰفِرِينَ حَصِيرًا
Ho sakta hai ke ab tumhara Rubb tumpar reham karey, lekin agar tumne phir apni sabiq rawish(former behaviour) ka iaada kiya to hum bhi phir apni saza ka iaada karenge, aur kaafir e niyamat logon ke liye humne jahannum ko qaid khana bana rakkha hai
Surah Al-Isra, Verse 8
إِنَّ هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانَ يَهۡدِي لِلَّتِي هِيَ أَقۡوَمُ وَيُبَشِّرُ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ ٱلَّذِينَ يَعۡمَلُونَ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ أَنَّ لَهُمۡ أَجۡرٗا كَبِيرٗا
Haqeeqat yeh hai ke yeh Quran woh raah dikhata hai jo bilkul seedhi hai. Jo log isey maan kar bhale kaam karne lagein unhein yeh basharat deta hai ke unke liye bada ajar hai
Surah Al-Isra, Verse 9
وَأَنَّ ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِ أَعۡتَدۡنَا لَهُمۡ عَذَابًا أَلِيمٗا
Aur jo log aakhirat ko na maanein unhein yeh khabar deta hai ke unke liye humne dardnaak azaab muhaiyya kar rakkha hai
Surah Al-Isra, Verse 10
وَيَدۡعُ ٱلۡإِنسَٰنُ بِٱلشَّرِّ دُعَآءَهُۥ بِٱلۡخَيۡرِۖ وَكَانَ ٱلۡإِنسَٰنُ عَجُولٗا
Insaan sharr (burai) us tarah maangta hai jis tarah khair maangni chahiye. Insaan bada hi jald baaz waqey hua hai
Surah Al-Isra, Verse 11
وَجَعَلۡنَا ٱلَّيۡلَ وَٱلنَّهَارَ ءَايَتَيۡنِۖ فَمَحَوۡنَآ ءَايَةَ ٱلَّيۡلِ وَجَعَلۡنَآ ءَايَةَ ٱلنَّهَارِ مُبۡصِرَةٗ لِّتَبۡتَغُواْ فَضۡلٗا مِّن رَّبِّكُمۡ وَلِتَعۡلَمُواْ عَدَدَ ٱلسِّنِينَ وَٱلۡحِسَابَۚ وَكُلَّ شَيۡءٖ فَصَّلۡنَٰهُ تَفۡصِيلٗا
Dekho, humne raat aur din ko do nishaniyan banaya hai. Raat ki nishani ko humne be-noor banaya, aur din ki nishani ko roshan kardiya, taa-ke tum apne Rubb ka fazal talash kar sako aur maah-o-saal ka hisaab maloom kar sako. Isi tarah humne har cheez ko alag alag mumaiyyaz (manifestly distinct) karke rakkha hai
Surah Al-Isra, Verse 12
وَكُلَّ إِنسَٰنٍ أَلۡزَمۡنَٰهُ طَـٰٓئِرَهُۥ فِي عُنُقِهِۦۖ وَنُخۡرِجُ لَهُۥ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ كِتَٰبٗا يَلۡقَىٰهُ مَنشُورًا
Har Insaan ka shagun (fate/ augury) humne uske apne galey mein latka rakkha hai, aur qayamat ke roz hum ek nuishta (book/record/scroll) uske liye nikalenge jisey woh khuli kitab ki tarah payega
Surah Al-Isra, Verse 13
ٱقۡرَأۡ كِتَٰبَكَ كَفَىٰ بِنَفۡسِكَ ٱلۡيَوۡمَ عَلَيۡكَ حَسِيبٗا
Padh apna naam-e-aamal, aaj apna hisaab lagane ke liye tu khud hi kafi hai
Surah Al-Isra, Verse 14
مَّنِ ٱهۡتَدَىٰ فَإِنَّمَا يَهۡتَدِي لِنَفۡسِهِۦۖ وَمَن ضَلَّ فَإِنَّمَا يَضِلُّ عَلَيۡهَاۚ وَلَا تَزِرُ وَازِرَةٞ وِزۡرَ أُخۡرَىٰۗ وَمَا كُنَّا مُعَذِّبِينَ حَتَّىٰ نَبۡعَثَ رَسُولٗا
Jo koi raah-e-raast ikhtiyar karey uski raast-rawi uske apne hi liye mufeed hai, aur jo gumraah ho uski gumrahi ka wabal usi par hai. Koi bojh uthane wala dusre ka bojh na uthayega aur hum azaab dene waley nahin hain jabtak ke (logon ko haqq-o-baatil ka farq samjhane ke liye) ek paighambar na bhej dein
Surah Al-Isra, Verse 15
وَإِذَآ أَرَدۡنَآ أَن نُّهۡلِكَ قَرۡيَةً أَمَرۡنَا مُتۡرَفِيهَا فَفَسَقُواْ فِيهَا فَحَقَّ عَلَيۡهَا ٱلۡقَوۡلُ فَدَمَّرۡنَٰهَا تَدۡمِيرٗا
Jab hum kisi basti ko halaak karne ka irada karte hain to uske khush haal logon ko hukum dete hain aur woh usmein nafarmaaniyan karne lagte hain, tab azaab ka faisla us basti par chaspan ho jata hai aur hum usey barbaad karke rakh dete hain
Surah Al-Isra, Verse 16
وَكَمۡ أَهۡلَكۡنَا مِنَ ٱلۡقُرُونِ مِنۢ بَعۡدِ نُوحٖۗ وَكَفَىٰ بِرَبِّكَ بِذُنُوبِ عِبَادِهِۦ خَبِيرَۢا بَصِيرٗا
Dekhlo, kitni hi nasalein (generations) hain jo Nooh ke baad hamare hukum se halaak huyi, tera Rubb apne bandon ke gunaahon se puri tarah bakhabar hai aur sab kuch dekh raha hai
Surah Al-Isra, Verse 17
مَّن كَانَ يُرِيدُ ٱلۡعَاجِلَةَ عَجَّلۡنَا لَهُۥ فِيهَا مَا نَشَآءُ لِمَن نُّرِيدُ ثُمَّ جَعَلۡنَا لَهُۥ جَهَنَّمَ يَصۡلَىٰهَا مَذۡمُومٗا مَّدۡحُورٗا
Jo koi aajila (jaldi) ka khwahish-mand ho, usey yahin hum de detay hain jo kuch bhi jisey dena chahein, phir uske maqsoom mein jahannum likh dete hain jisey woh taapega, malamat zada aur rehmat se mehroon hokar
Surah Al-Isra, Verse 18
وَمَنۡ أَرَادَ ٱلۡأٓخِرَةَ وَسَعَىٰ لَهَا سَعۡيَهَا وَهُوَ مُؤۡمِنٞ فَأُوْلَـٰٓئِكَ كَانَ سَعۡيُهُم مَّشۡكُورٗا
Aur jo aakhirat ka khwahish-mand ho aur uske liye sayi (strive) karey jaisi ke uske liye sayi (strive) karni chahiye, aur ho woh momin, to aisey har shaks ki sayi mashkur hogi
Surah Al-Isra, Verse 19
كُلّٗا نُّمِدُّ هَـٰٓؤُلَآءِ وَهَـٰٓؤُلَآءِ مِنۡ عَطَآءِ رَبِّكَۚ وَمَا كَانَ عَطَآءُ رَبِّكَ مَحۡظُورًا
Inko bhi aur unko bhi, dono fareeqon ko hum (duniya mein) saaman-e-zeist diye jaa rahey hain, yeh tere Rubb ka atiya hai, aur tere Rubb ki ata ko rokne wala koi nahin hai
Surah Al-Isra, Verse 20
ٱنظُرۡ كَيۡفَ فَضَّلۡنَا بَعۡضَهُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٖۚ وَلَلۡأٓخِرَةُ أَكۡبَرُ دَرَجَٰتٖ وَأَكۡبَرُ تَفۡضِيلٗا
Magar dekhlo, duniya hi mein humne ek giroh ko dusre par kaisi fazilat de rakkhi hai, aur aakhirat mein uske darje aur bhi zyada honge, aur uski fazilat aur bhi zyada badh chadh kar hogi
Surah Al-Isra, Verse 21
لَّا تَجۡعَلۡ مَعَ ٱللَّهِ إِلَٰهًا ءَاخَرَ فَتَقۡعُدَ مَذۡمُومٗا مَّخۡذُولٗا
Tu Allah ke saath koi dusra mabood na bana, warna malamat zada aur be yaar o madadgaar baitha reh jayega
Surah Al-Isra, Verse 22
۞وَقَضَىٰ رَبُّكَ أَلَّا تَعۡبُدُوٓاْ إِلَّآ إِيَّاهُ وَبِٱلۡوَٰلِدَيۡنِ إِحۡسَٰنًاۚ إِمَّا يَبۡلُغَنَّ عِندَكَ ٱلۡكِبَرَ أَحَدُهُمَآ أَوۡ كِلَاهُمَا فَلَا تَقُل لَّهُمَآ أُفّٖ وَلَا تَنۡهَرۡهُمَا وَقُل لَّهُمَا قَوۡلٗا كَرِيمٗا
Tere Rubb ne faisla kardiya hai ke: tumlog kisi ki ibadat na karo, magar sirf uski, walidain (maa-baap) ke saath neik sulook karo.Agar tumhare pas unmein se koi ek, ya dono, boodhey (old) hokar rahein to unhein ‘ uff ’ tak na kaho, na unhein jhidak kar jawab do , balke unsey ehtaram ke saath baat karo
Surah Al-Isra, Verse 23
وَٱخۡفِضۡ لَهُمَا جَنَاحَ ٱلذُّلِّ مِنَ ٱلرَّحۡمَةِ وَقُل رَّبِّ ٱرۡحَمۡهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرٗا
Aur narmi o reham ke saath unke saamne jhuk kar raho, aur dua kiya karo ke “parwardigar, inpar reham farma jis tarah inhon ne rehmat o shafaqat ke saath mujhey bachpan mein paala tha”
Surah Al-Isra, Verse 24
رَّبُّكُمۡ أَعۡلَمُ بِمَا فِي نُفُوسِكُمۡۚ إِن تَكُونُواْ صَٰلِحِينَ فَإِنَّهُۥ كَانَ لِلۡأَوَّـٰبِينَ غَفُورٗا
Tumhara Rubb khoob jaanta hai ke tumahre dilon mein kya hai, agar tum saleh bankar raho to woh aisey sab logon ke liye darguzar karne wala hai jo apne kasoor par mutanabbeh ho kar bandagi ke rawaiyye ki taraf palat aayein
Surah Al-Isra, Verse 25
وَءَاتِ ذَا ٱلۡقُرۡبَىٰ حَقَّهُۥ وَٱلۡمِسۡكِينَ وَٱبۡنَ ٱلسَّبِيلِ وَلَا تُبَذِّرۡ تَبۡذِيرًا
Rishtedar ko uska haqq do aur miskeen aur musafir ko uska haqq. Fizool kharchi na karo
Surah Al-Isra, Verse 26
إِنَّ ٱلۡمُبَذِّرِينَ كَانُوٓاْ إِخۡوَٰنَ ٱلشَّيَٰطِينِۖ وَكَانَ ٱلشَّيۡطَٰنُ لِرَبِّهِۦ كَفُورٗا
Fizool kharch log shaytan ke bhai hain, aur shaytan apne Rubb ka na-shukra hai
Surah Al-Isra, Verse 27
وَإِمَّا تُعۡرِضَنَّ عَنۡهُمُ ٱبۡتِغَآءَ رَحۡمَةٖ مِّن رَّبِّكَ تَرۡجُوهَا فَقُل لَّهُمۡ قَوۡلٗا مَّيۡسُورٗا
Agar unse (yani haajat-mand rishtedaaron, miskeeno aur musafiron se) tumhein katrana ho (turn away from them), is bina par ke abhi tum Allah ki us rehmat ko jiske tum umeedwaar ho talash kar rahey ho, to unhein narm jawab de do
Surah Al-Isra, Verse 28
وَلَا تَجۡعَلۡ يَدَكَ مَغۡلُولَةً إِلَىٰ عُنُقِكَ وَلَا تَبۡسُطۡهَا كُلَّ ٱلۡبَسۡطِ فَتَقۡعُدَ مَلُومٗا مَّحۡسُورًا
Na to apna haath gardan se bandh rakkho aur na usey bilkul hi khula chodh do ke malamat zada aur aajiz ban kar reh jao
Surah Al-Isra, Verse 29
إِنَّ رَبَّكَ يَبۡسُطُ ٱلرِّزۡقَ لِمَن يَشَآءُ وَيَقۡدِرُۚ إِنَّهُۥ كَانَ بِعِبَادِهِۦ خَبِيرَۢا بَصِيرٗا
Tera Rubb jiske liye chahta hai rizq kushada karta hai aur jiske liye chahta hai tangg kardeta hai, woh apne bandon ke haal se bakhabar hai aur unhein dekh raha hai
Surah Al-Isra, Verse 30
وَلَا تَقۡتُلُوٓاْ أَوۡلَٰدَكُمۡ خَشۡيَةَ إِمۡلَٰقٖۖ نَّحۡنُ نَرۡزُقُهُمۡ وَإِيَّاكُمۡۚ إِنَّ قَتۡلَهُمۡ كَانَ خِطۡـٔٗا كَبِيرٗا
Apni aulad ko iflas (tangdasti) ke andeshey se qatal na karo, hum unhein bhi rizq denge aur tumhein bhi. Dar haqeeqat unka qatal ek badi khata hai
Surah Al-Isra, Verse 31
وَلَا تَقۡرَبُواْ ٱلزِّنَىٰٓۖ إِنَّهُۥ كَانَ فَٰحِشَةٗ وَسَآءَ سَبِيلٗا
Zina ke qareeb na phatko, wo bahut bura fail (kaam) hai aur bada hi bura raasta
Surah Al-Isra, Verse 32
وَلَا تَقۡتُلُواْ ٱلنَّفۡسَ ٱلَّتِي حَرَّمَ ٱللَّهُ إِلَّا بِٱلۡحَقِّۗ وَمَن قُتِلَ مَظۡلُومٗا فَقَدۡ جَعَلۡنَا لِوَلِيِّهِۦ سُلۡطَٰنٗا فَلَا يُسۡرِف فِّي ٱلۡقَتۡلِۖ إِنَّهُۥ كَانَ مَنصُورٗا
Qatal-e-nafs ka irtiqab na karo jisey Allah ne haraam kiya hai magar haqq ke saath, aur jo shaks mazloomana qatal kiya gaya ho uske wali ko humne qisas (retribution) ke mutalibe ka haqq ata kiya hai. Pas chahiye ke woh qatal mein hadd se na guzre, uski madad ki jayegi
Surah Al-Isra, Verse 33
وَلَا تَقۡرَبُواْ مَالَ ٱلۡيَتِيمِ إِلَّا بِٱلَّتِي هِيَ أَحۡسَنُ حَتَّىٰ يَبۡلُغَ أَشُدَّهُۥۚ وَأَوۡفُواْ بِٱلۡعَهۡدِۖ إِنَّ ٱلۡعَهۡدَ كَانَ مَسۡـُٔولٗا
Maal-e-yateem ke paas na phatko magar ahsan tareeqe se, yahan tak ke woh apne shabaab (jawani) ko pahunch jaye. Ahad ki pabandi karo, beshak ahad ke barey mein tumko jawab-dehi karni hogi
Surah Al-Isra, Verse 34
وَأَوۡفُواْ ٱلۡكَيۡلَ إِذَا كِلۡتُمۡ وَزِنُواْ بِٱلۡقِسۡطَاسِ ٱلۡمُسۡتَقِيمِۚ ذَٰلِكَ خَيۡرٞ وَأَحۡسَنُ تَأۡوِيلٗا
Paimane (measure/scales) se do to pura bhar kar do, aur tolo to theek tarazu se tolo. Yeh accha tareeqa hai aur ba-lihaz anjaam bhi yahi behtar hai
Surah Al-Isra, Verse 35
وَلَا تَقۡفُ مَا لَيۡسَ لَكَ بِهِۦ عِلۡمٌۚ إِنَّ ٱلسَّمۡعَ وَٱلۡبَصَرَ وَٱلۡفُؤَادَ كُلُّ أُوْلَـٰٓئِكَ كَانَ عَنۡهُ مَسۡـُٔولٗا
Kisi aisi cheez ke peechey na lago jiska tumhein ilm na ho , yaqeenan aankh, kaan aur dil sab hi ki baaz-purs honi hai
Surah Al-Isra, Verse 36
وَلَا تَمۡشِ فِي ٱلۡأَرۡضِ مَرَحًاۖ إِنَّكَ لَن تَخۡرِقَ ٱلۡأَرۡضَ وَلَن تَبۡلُغَ ٱلۡجِبَالَ طُولٗا
Zameen mein akad kar na chalo, tum na zameen ko phaadh sakte ho na pahadon ki bulandi ko pahunch sakte ho
Surah Al-Isra, Verse 37
كُلُّ ذَٰلِكَ كَانَ سَيِّئُهُۥ عِندَ رَبِّكَ مَكۡرُوهٗا
In umoor mein se har ek ka bura pehlu tere Rubb ke nazdeek na-pasandida hai
Surah Al-Isra, Verse 38
ذَٰلِكَ مِمَّآ أَوۡحَىٰٓ إِلَيۡكَ رَبُّكَ مِنَ ٱلۡحِكۡمَةِۗ وَلَا تَجۡعَلۡ مَعَ ٱللَّهِ إِلَٰهًا ءَاخَرَ فَتُلۡقَىٰ فِي جَهَنَّمَ مَلُومٗا مَّدۡحُورًا
Yeh woh hikmat ki baatein hain jo tere Rubb ne tujhpar wahee ki hai aur dekh! Allah ke saath koi dusra mabood na bana baith warna tu jahannum mein daal diya jayega malamat zada aur har bhalayi se mehroom hokar
Surah Al-Isra, Verse 39
أَفَأَصۡفَىٰكُمۡ رَبُّكُم بِٱلۡبَنِينَ وَٱتَّخَذَ مِنَ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةِ إِنَٰثًاۚ إِنَّكُمۡ لَتَقُولُونَ قَوۡلًا عَظِيمٗا
Kaisi ajeeb baat hai ke tumhare Rubb ne tumhein to beton (sons) se nawaza aur khud apne liye malaika (farishton) ko betiyan bana liya? Badi jhooti baat hai jo tumlog zubaano se nikalte ho
Surah Al-Isra, Verse 40
وَلَقَدۡ صَرَّفۡنَا فِي هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانِ لِيَذَّكَّرُواْ وَمَا يَزِيدُهُمۡ إِلَّا نُفُورٗا
Humne is Quran mein tarah tarah se logon ko samjhaya ke hosh mein aayein, magar woh haqq se aur zyada door hi bhaage jaa rahey hain
Surah Al-Isra, Verse 41
قُل لَّوۡ كَانَ مَعَهُۥٓ ءَالِهَةٞ كَمَا يَقُولُونَ إِذٗا لَّٱبۡتَغَوۡاْ إِلَىٰ ذِي ٱلۡعَرۡشِ سَبِيلٗا
(Aey Muhammad), inse kaho ke agar Allah ke saath dusre khuda bhi hotay, jaisa ke yeh log kehte hain, to woh maalik e arsh ke muqaam par pahunchne ki zaroor koshish karte
Surah Al-Isra, Verse 42
سُبۡحَٰنَهُۥ وَتَعَٰلَىٰ عَمَّا يَقُولُونَ عُلُوّٗا كَبِيرٗا
Paak hai woh aur bahut baala-o-bartar hai un baaton se jo yeh log keh rahey hain
Surah Al-Isra, Verse 43
تُسَبِّحُ لَهُ ٱلسَّمَٰوَٰتُ ٱلسَّبۡعُ وَٱلۡأَرۡضُ وَمَن فِيهِنَّۚ وَإِن مِّن شَيۡءٍ إِلَّا يُسَبِّحُ بِحَمۡدِهِۦ وَلَٰكِن لَّا تَفۡقَهُونَ تَسۡبِيحَهُمۡۚ إِنَّهُۥ كَانَ حَلِيمًا غَفُورٗا
Uski paaki to saato (seven) aasman aur zameen aur woh saari cheezein bayan kar rahi hain jo aasman o zameen mein hain. Koi cheez aisi nahin hai jo uski hamd ke saath uski tasbeeh na kar rahi ho, magar tum unki tasbeeh samajhte nahin ho. Haqeeqat yeh hai ke woh bada hi burdbaar (very Forbearing) aur darguzar karne wala hai
Surah Al-Isra, Verse 44
وَإِذَا قَرَأۡتَ ٱلۡقُرۡءَانَ جَعَلۡنَا بَيۡنَكَ وَبَيۡنَ ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِ حِجَابٗا مَّسۡتُورٗا
Jab tum Quran padte ho to hum tumhare aur aakhirat par iman na laney walon ke darmiyan ek purda hayal kardete hain
Surah Al-Isra, Verse 45
وَجَعَلۡنَا عَلَىٰ قُلُوبِهِمۡ أَكِنَّةً أَن يَفۡقَهُوهُ وَفِيٓ ءَاذَانِهِمۡ وَقۡرٗاۚ وَإِذَا ذَكَرۡتَ رَبَّكَ فِي ٱلۡقُرۡءَانِ وَحۡدَهُۥ وَلَّوۡاْ عَلَىٰٓ أَدۡبَٰرِهِمۡ نُفُورٗا
Aur unke dilon par aisa gilaf (invisible curtain) chadha dete hain ke woh kuch nahin samajhte, aur unke kaano mein girani paida kardete hain aur jab tum Quran mein apne ek hi Rubb ka zikr karte ho to woh nafrat se mooh moad letey hain
Surah Al-Isra, Verse 46
نَّحۡنُ أَعۡلَمُ بِمَا يَسۡتَمِعُونَ بِهِۦٓ إِذۡ يَسۡتَمِعُونَ إِلَيۡكَ وَإِذۡ هُمۡ نَجۡوَىٰٓ إِذۡ يَقُولُ ٱلظَّـٰلِمُونَ إِن تَتَّبِعُونَ إِلَّا رَجُلٗا مَّسۡحُورًا
Humein maloom hai ke jab woh kaan laga kar tumhari baat sunte hain to dar-asal kya sunte hain, aur jab baith kar baaham sargoshiyan karte hain to kya kehte hain. Yeh zalim aapas mein kehte hain ke yeh ek sehar-zada (bewitched) aadmi hai jiske peechey tumlog jaa rahey ho
Surah Al-Isra, Verse 47
ٱنظُرۡ كَيۡفَ ضَرَبُواْ لَكَ ٱلۡأَمۡثَالَ فَضَلُّواْ فَلَا يَسۡتَطِيعُونَ سَبِيلٗا
Dekho, kaisi baatein hain jo yeh log tumpar chaante hain, yeh bhatak gaye hain, inhein raasta nahin milta
Surah Al-Isra, Verse 48
وَقَالُوٓاْ أَءِذَا كُنَّا عِظَٰمٗا وَرُفَٰتًا أَءِنَّا لَمَبۡعُوثُونَ خَلۡقٗا جَدِيدٗا
Woh kehte hain “ jab hum sirf haddiyan aur khaak hokar reh jayenge to kya hum naye sirey se paida karke uthaye jayenge?”
Surah Al-Isra, Verse 49
۞قُلۡ كُونُواْ حِجَارَةً أَوۡ حَدِيدًا
Insey kaho “tum patthar ya loha bhi ho jao
Surah Al-Isra, Verse 50
أَوۡ خَلۡقٗا مِّمَّا يَكۡبُرُ فِي صُدُورِكُمۡۚ فَسَيَقُولُونَ مَن يُعِيدُنَاۖ قُلِ ٱلَّذِي فَطَرَكُمۡ أَوَّلَ مَرَّةٖۚ فَسَيُنۡغِضُونَ إِلَيۡكَ رُءُوسَهُمۡ وَيَقُولُونَ مَتَىٰ هُوَۖ قُلۡ عَسَىٰٓ أَن يَكُونَ قَرِيبٗا
Ya ussey bhi zyada sakht koi cheez jo tumhare zehan mein qabool-e-hayat se baeed tarr ho” (phir bhi tum uth kar rahoge). Woh zaroor poochenge “kaun hai woh jo humein phir zindagi ki taraf palta kar layega?” jawab mein kaho “ wahi jisne pehli baar tumko paida kiya”. Woh sar hila hila kar poochenge “accha , to yeh hoga kab?” tum kaho “ kya ajab , woh waqt qareeb hi aa laga ho
Surah Al-Isra, Verse 51
يَوۡمَ يَدۡعُوكُمۡ فَتَسۡتَجِيبُونَ بِحَمۡدِهِۦ وَتَظُنُّونَ إِن لَّبِثۡتُمۡ إِلَّا قَلِيلٗا
Jis roz woh tumhein pukarega to tum uski hamd karte huey uski pukar ke jawab mein nikal aaogey aur tumhara gumaan us waqt yeh hoga ke hum bas thodi dair hi is halat mein padey rahey hain”
Surah Al-Isra, Verse 52
وَقُل لِّعِبَادِي يَقُولُواْ ٱلَّتِي هِيَ أَحۡسَنُۚ إِنَّ ٱلشَّيۡطَٰنَ يَنزَغُ بَيۡنَهُمۡۚ إِنَّ ٱلشَّيۡطَٰنَ كَانَ لِلۡإِنسَٰنِ عَدُوّٗا مُّبِينٗا
Aur (aey Muhammad), mere bandon se kehdo ke zubaan se woh baat nikala karein jo behtareen ho. Dar-asal yeh shaytan hai jo Insano ke darmiyan fasaad dalwane ki koshish karta hai. Haqeeqat yeh hai ke shaytan Insaan ka khula dushman hai
Surah Al-Isra, Verse 53
رَّبُّكُمۡ أَعۡلَمُ بِكُمۡۖ إِن يَشَأۡ يَرۡحَمۡكُمۡ أَوۡ إِن يَشَأۡ يُعَذِّبۡكُمۡۚ وَمَآ أَرۡسَلۡنَٰكَ عَلَيۡهِمۡ وَكِيلٗا
Tumhara Rubb tumhare haal se zyada waqif hai. Woh chahe to tumpar reham karey aur chahe to tumhein azaab de de. Aur (aey Nabi) humne tumko logon par hawaladaar (guardian) banakar nahin bheja hai
Surah Al-Isra, Verse 54
وَرَبُّكَ أَعۡلَمُ بِمَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۗ وَلَقَدۡ فَضَّلۡنَا بَعۡضَ ٱلنَّبِيِّـۧنَ عَلَىٰ بَعۡضٖۖ وَءَاتَيۡنَا دَاوُۥدَ زَبُورٗا
Tera Rubb zameen aur aasmano ki makhlooqat ko zyada jaanta hai. Humne baaz paighambaron ko baaz se badh kar martabe diye, aur humne hi Dawood ko zaboor di thi
Surah Al-Isra, Verse 55
قُلِ ٱدۡعُواْ ٱلَّذِينَ زَعَمۡتُم مِّن دُونِهِۦ فَلَا يَمۡلِكُونَ كَشۡفَ ٱلضُّرِّ عَنكُمۡ وَلَا تَحۡوِيلًا
Insey kaho pukar dekho un maboodon ko jinko tum khuda ke siwa (apna kaarsaaz) samajhte ho, woh kisi takleef ko tumse na hata sakte hain na badal sakte hain
Surah Al-Isra, Verse 56
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ يَدۡعُونَ يَبۡتَغُونَ إِلَىٰ رَبِّهِمُ ٱلۡوَسِيلَةَ أَيُّهُمۡ أَقۡرَبُ وَيَرۡجُونَ رَحۡمَتَهُۥ وَيَخَافُونَ عَذَابَهُۥٓۚ إِنَّ عَذَابَ رَبِّكَ كَانَ مَحۡذُورٗا
Jinko yeh log pukarte hain woh to khud apne Rubb ke huzoor rasayi haasil karne ka waseela talash kar rahey hain (seek means of approach) ke kaun ussey qareeb tar ho jaye aur woh uski rehmat ke umeedwar aur uske azaab se khaif (darte) hain. Haqeeqat yeh hai ke tere Rubb ka azaab hai hi darne ke lahiq
Surah Al-Isra, Verse 57
وَإِن مِّن قَرۡيَةٍ إِلَّا نَحۡنُ مُهۡلِكُوهَا قَبۡلَ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ أَوۡ مُعَذِّبُوهَا عَذَابٗا شَدِيدٗاۚ كَانَ ذَٰلِكَ فِي ٱلۡكِتَٰبِ مَسۡطُورٗا
Aur koi basti aisi nahin jisey hum qayamat se pehle halaak na karein ya sakht azaab na dein. Yeh nawishta-e-ilahi (Eternal Record) mein likha hua hai
Surah Al-Isra, Verse 58
وَمَا مَنَعَنَآ أَن نُّرۡسِلَ بِٱلۡأٓيَٰتِ إِلَّآ أَن كَذَّبَ بِهَا ٱلۡأَوَّلُونَۚ وَءَاتَيۡنَا ثَمُودَ ٱلنَّاقَةَ مُبۡصِرَةٗ فَظَلَمُواْ بِهَاۚ وَمَا نُرۡسِلُ بِٱلۡأٓيَٰتِ إِلَّا تَخۡوِيفٗا
Aur humko nishniyan bhejne se nahin roka magar is baat ne ke insey pehle ke log unko jhutla chuke hain. (Chunanche dekhlo) Samood ko humne alaniya ountni (she-camel) laa kar di aur unhon ne uspar zulm kiya. Hum nishaniyan isi liye to bhejte hain ke log unhein dekh kar darein
Surah Al-Isra, Verse 59
وَإِذۡ قُلۡنَا لَكَ إِنَّ رَبَّكَ أَحَاطَ بِٱلنَّاسِۚ وَمَا جَعَلۡنَا ٱلرُّءۡيَا ٱلَّتِيٓ أَرَيۡنَٰكَ إِلَّا فِتۡنَةٗ لِّلنَّاسِ وَٱلشَّجَرَةَ ٱلۡمَلۡعُونَةَ فِي ٱلۡقُرۡءَانِۚ وَنُخَوِّفُهُمۡ فَمَا يَزِيدُهُمۡ إِلَّا طُغۡيَٰنٗا كَبِيرٗا
Yaad karo (aey Muhammad), humne tumse keh diya tha ke tere Rubb ne in logon ko gher rakkha hai aur yeh jo kuch abhi humne tumhein dikhya hai, isko aur us darakht ko jispar Quran mein laanat ki gayi hai, humne in logon ke liye bas ek fitna banakar rakh diya. Hum inhein tambeeh (warning) par tambeeh (warning) kiye jaa rahey hain, magar har tambeeh inki sarkashi hi mein izafa kiye jati hai
Surah Al-Isra, Verse 60
وَإِذۡ قُلۡنَا لِلۡمَلَـٰٓئِكَةِ ٱسۡجُدُواْ لِأٓدَمَ فَسَجَدُوٓاْ إِلَّآ إِبۡلِيسَ قَالَ ءَأَسۡجُدُ لِمَنۡ خَلَقۡتَ طِينٗا
Aur yaad karo jabke humne malaika (farishton) se kaha Adam ko sajda karo, to sab ne sajda kiya, magar Iblees ne na kiya, usne kaha “ kya main usko sajda karoon jisey tu nay mitti se banaya hai?”
Surah Al-Isra, Verse 61
قَالَ أَرَءَيۡتَكَ هَٰذَا ٱلَّذِي كَرَّمۡتَ عَلَيَّ لَئِنۡ أَخَّرۡتَنِ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ لَأَحۡتَنِكَنَّ ذُرِّيَّتَهُۥٓ إِلَّا قَلِيلٗا
Phir woh bola “dekh to sahi, kya yeh is qabil tha ke tu ne isey mujhpar fazilat di? Agar tu mujhey qayamat ke din tak mohlat dey to main iski puri nasal ki behakani (uproot) kar daloon. Bas thode hi log mujhse bach sakenge.”
Surah Al-Isra, Verse 62
قَالَ ٱذۡهَبۡ فَمَن تَبِعَكَ مِنۡهُمۡ فَإِنَّ جَهَنَّمَ جَزَآؤُكُمۡ جَزَآءٗ مَّوۡفُورٗا
Allah taala ne farmaya, “accha to jaa, inmein se jo bhi teri pairwi karein, tujh samaith un sab ke liye jahannum hi bharpur jaza hai
Surah Al-Isra, Verse 63
وَٱسۡتَفۡزِزۡ مَنِ ٱسۡتَطَعۡتَ مِنۡهُم بِصَوۡتِكَ وَأَجۡلِبۡ عَلَيۡهِم بِخَيۡلِكَ وَرَجِلِكَ وَشَارِكۡهُمۡ فِي ٱلۡأَمۡوَٰلِ وَٱلۡأَوۡلَٰدِ وَعِدۡهُمۡۚ وَمَا يَعِدُهُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ إِلَّا غُرُورًا
Tu jis jis ko apni dawat se phisla sakta hai phisla le. Unpar apne sawar (horsemen) aur pyade (footmen) chadha la, maal aur aulad mein unke saath saajha (partner) laga, aur unko wadon ke jaal mein phans, aur shaytan ke wadey ek dhoke ke siwa aur kuch bhi nahin
Surah Al-Isra, Verse 64
إِنَّ عِبَادِي لَيۡسَ لَكَ عَلَيۡهِمۡ سُلۡطَٰنٞۚ وَكَفَىٰ بِرَبِّكَ وَكِيلٗا
Yaqeenan mere bandon par tujhey koi iqtedar haasil na hoga, aur tawakkul (bharose) ke liye tera Rubb kaafi hai”
Surah Al-Isra, Verse 65
رَّبُّكُمُ ٱلَّذِي يُزۡجِي لَكُمُ ٱلۡفُلۡكَ فِي ٱلۡبَحۡرِ لِتَبۡتَغُواْ مِن فَضۡلِهِۦٓۚ إِنَّهُۥ كَانَ بِكُمۡ رَحِيمٗا
Tumhara (haqeeqi) Rubb to woh hai jo samandar mein tumhari kashti chalata hai taa-ke tum uska fazal talash karo. Haqeeqat yeh hai ke woh tumhare haal par nihayat meharban hai
Surah Al-Isra, Verse 66
وَإِذَا مَسَّكُمُ ٱلضُّرُّ فِي ٱلۡبَحۡرِ ضَلَّ مَن تَدۡعُونَ إِلَّآ إِيَّاهُۖ فَلَمَّا نَجَّىٰكُمۡ إِلَى ٱلۡبَرِّ أَعۡرَضۡتُمۡۚ وَكَانَ ٱلۡإِنسَٰنُ كَفُورًا
Jab samandar mein tumpar museebat aati hai to us ek ke siwa dusre jin jin ko tum pukara karte ho woh sab ghum ho jatey hain, magar jab woh tumko bacha kar khushki(land) par pahuncha deta hai to tum ussey mooh moad jatey ho.Insan waqai bada nashukra hai
Surah Al-Isra, Verse 67
أَفَأَمِنتُمۡ أَن يَخۡسِفَ بِكُمۡ جَانِبَ ٱلۡبَرِّ أَوۡ يُرۡسِلَ عَلَيۡكُمۡ حَاصِبٗا ثُمَّ لَا تَجِدُواْ لَكُمۡ وَكِيلًا
Accha, to kya tum is baat se bilkul be-khauf ho ke khuda kabhi khushki (land) par hi tumko zameen mein dhansa dey, ya tumpar pathrao karne wali aandhi bhej de aur tum ussey bachane wala koi himayati na pao
Surah Al-Isra, Verse 68
أَمۡ أَمِنتُمۡ أَن يُعِيدَكُمۡ فِيهِ تَارَةً أُخۡرَىٰ فَيُرۡسِلَ عَلَيۡكُمۡ قَاصِفٗا مِّنَ ٱلرِّيحِ فَيُغۡرِقَكُم بِمَا كَفَرۡتُمۡ ثُمَّ لَا تَجِدُواْ لَكُمۡ عَلَيۡنَا بِهِۦ تَبِيعٗا
Aur kya tumhein iska koi andesha nahin ke khuda phir kisi waqt samandar mein tumko le jaye aur tumhari nashukri ke badle tumpar sakht toofaani hawa bhej kar tumhein garq karde aur tumko aisa koi na miley jo ussey tumhare is anjaam ki pooch-gajj kar sakey
Surah Al-Isra, Verse 69
۞وَلَقَدۡ كَرَّمۡنَا بَنِيٓ ءَادَمَ وَحَمَلۡنَٰهُمۡ فِي ٱلۡبَرِّ وَٱلۡبَحۡرِ وَرَزَقۡنَٰهُم مِّنَ ٱلطَّيِّبَٰتِ وَفَضَّلۡنَٰهُمۡ عَلَىٰ كَثِيرٖ مِّمَّنۡ خَلَقۡنَا تَفۡضِيلٗا
Yeh to hamari inayat hai ke humne bani Adam ko buzurgi (honour) di aur unhein khushki (land) o tari (sea) mein sawariyan ata kiye aur unko pakeeza cheezon se rizq diya aur apni bahut se makhlooqat par numayan fawqiyat (exalt) bakshi
Surah Al-Isra, Verse 70
يَوۡمَ نَدۡعُواْ كُلَّ أُنَاسِۭ بِإِمَٰمِهِمۡۖ فَمَنۡ أُوتِيَ كِتَٰبَهُۥ بِيَمِينِهِۦ فَأُوْلَـٰٓئِكَ يَقۡرَءُونَ كِتَٰبَهُمۡ وَلَا يُظۡلَمُونَ فَتِيلٗا
Phir khayal karo us din ka jabke hum har Insaani giroh ko uske peshwa(leader) ke sath bulayenge, us waqt jin logon ko unka naam-e-aamal seedhay haath mein diya gaya woh apna karnama padhenge aur unpar zarra barabar zulm na hoga
Surah Al-Isra, Verse 71
وَمَن كَانَ فِي هَٰذِهِۦٓ أَعۡمَىٰ فَهُوَ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ أَعۡمَىٰ وَأَضَلُّ سَبِيلٗا
Aur jo is duniya mein andha bankar raha woh aakhirat mein bhi andha hi rahega balke raasta paaney mein andhey se bhi zyada nakaam
Surah Al-Isra, Verse 72
وَإِن كَادُواْ لَيَفۡتِنُونَكَ عَنِ ٱلَّذِيٓ أَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡكَ لِتَفۡتَرِيَ عَلَيۡنَا غَيۡرَهُۥۖ وَإِذٗا لَّٱتَّخَذُوكَ خَلِيلٗا
(Aey Muhammad), in logon ne is koshish mein koi kasar utha nahin rakkhi ke tumhein fitne mein daal kar us Wahee se pher dein jo humne tumhari taraf bheji hai, taa-ke tum hamare naam par apni taraf se koi baat ghado(fabricate). Agar tum aisa karte to woh zaroor tumhein apna dost bana letey
Surah Al-Isra, Verse 73
وَلَوۡلَآ أَن ثَبَّتۡنَٰكَ لَقَدۡ كِدتَّ تَرۡكَنُ إِلَيۡهِمۡ شَيۡـٔٗا قَلِيلًا
Aur baeed na tha ke agar hum tumhein mazboot na rakhte to tum unki taraf kuch na kuch jhuk jatey
Surah Al-Isra, Verse 74
إِذٗا لَّأَذَقۡنَٰكَ ضِعۡفَ ٱلۡحَيَوٰةِ وَضِعۡفَ ٱلۡمَمَاتِ ثُمَّ لَا تَجِدُ لَكَ عَلَيۡنَا نَصِيرٗا
Lekin agar tum aisa karte to hum tumhein duniya mein bhi dohre (double) azaab ka maza chakkhate aur aakhirat mein bhi dohre azaab ka, phir hamare muqable mein tum koi madadgaar na paatey
Surah Al-Isra, Verse 75
وَإِن كَادُواْ لَيَسۡتَفِزُّونَكَ مِنَ ٱلۡأَرۡضِ لِيُخۡرِجُوكَ مِنۡهَاۖ وَإِذٗا لَّا يَلۡبَثُونَ خِلَٰفَكَ إِلَّا قَلِيلٗا
Aur yeh log is baat par bhi tuley rahey hain ke tumhare qadam is sar-zameen se ukhadh (uproot) dein aur tumhein yahan se nikal bahar karein , lekin agar yeh aisa karenge to tumhare baad yeh khud yahan kuch zyada dair na thehar sakenge
Surah Al-Isra, Verse 76
سُنَّةَ مَن قَدۡ أَرۡسَلۡنَا قَبۡلَكَ مِن رُّسُلِنَاۖ وَلَا تَجِدُ لِسُنَّتِنَا تَحۡوِيلًا
Yeh hamara mustaqil tareeqe-kar hai jo un sab Rasoolon ke maamle mein humne barta hai jinhein tumse pehle humne bheja tha, aur hamare tareeqe-kar mein tum koi tagayyur (change) na paogey
Surah Al-Isra, Verse 77
أَقِمِ ٱلصَّلَوٰةَ لِدُلُوكِ ٱلشَّمۡسِ إِلَىٰ غَسَقِ ٱلَّيۡلِ وَقُرۡءَانَ ٱلۡفَجۡرِۖ إِنَّ قُرۡءَانَ ٱلۡفَجۡرِ كَانَ مَشۡهُودٗا
Namaz qayam karo zawal-e-aftaab (declining of the sun) se lekar raat ke andhere tak, aur fajr ke Quran ka bhi intezam karo, kyunke Quran e fajr mashood (witnessed) hota hai
Surah Al-Isra, Verse 78
وَمِنَ ٱلَّيۡلِ فَتَهَجَّدۡ بِهِۦ نَافِلَةٗ لَّكَ عَسَىٰٓ أَن يَبۡعَثَكَ رَبُّكَ مَقَامٗا مَّحۡمُودٗا
Aur Raat ko tahajjud padho, yeh tumhare liye nafl hai, baeed (door /far) nahin ke tumhara Rubb tumhein maqaam e mehmood par faiz karde
Surah Al-Isra, Verse 79
وَقُل رَّبِّ أَدۡخِلۡنِي مُدۡخَلَ صِدۡقٖ وَأَخۡرِجۡنِي مُخۡرَجَ صِدۡقٖ وَٱجۡعَل لِّي مِن لَّدُنكَ سُلۡطَٰنٗا نَّصِيرٗا
Aur dua karo ke parwardigaar, mujhko jahan bhi tu leja sachchayi ke saath leja aur jahan se bhi nikal sachchayi ke saath nikal aur apni taraf se ek iqtedar (power) ko mera madadgaar bana dey
Surah Al-Isra, Verse 80
وَقُلۡ جَآءَ ٱلۡحَقُّ وَزَهَقَ ٱلۡبَٰطِلُۚ إِنَّ ٱلۡبَٰطِلَ كَانَ زَهُوقٗا
Aur elan kardo ke “ haqq aa gaya aur baatil mitt gaya, baatil to mitne hi wala hai”
Surah Al-Isra, Verse 81
وَنُنَزِّلُ مِنَ ٱلۡقُرۡءَانِ مَا هُوَ شِفَآءٞ وَرَحۡمَةٞ لِّلۡمُؤۡمِنِينَ وَلَا يَزِيدُ ٱلظَّـٰلِمِينَ إِلَّا خَسَارٗا
Hum is Quran ke silsila-e-tanzil (revelation) mein woh kuch nazil kar rahey hain jo maanney walon ke liye to shifa aur rehmat hai, magar zalimon ke liye khasare (nuksan/loss) ke siwa aur kisi cheez mein izafa nahin karta
Surah Al-Isra, Verse 82
وَإِذَآ أَنۡعَمۡنَا عَلَى ٱلۡإِنسَٰنِ أَعۡرَضَ وَنَـَٔا بِجَانِبِهِۦ وَإِذَا مَسَّهُ ٱلشَّرُّ كَانَ يَـُٔوسٗا
Insaan ka haal yeh hai ke jab hum usko niyamat ata karte hain to woh ainthta (arrogant) aur peeth moad leta hai, aur jab zara museebat se do-char hota hai to mayous honay lagta hai
Surah Al-Isra, Verse 83
قُلۡ كُلّٞ يَعۡمَلُ عَلَىٰ شَاكِلَتِهِۦ فَرَبُّكُمۡ أَعۡلَمُ بِمَنۡ هُوَ أَهۡدَىٰ سَبِيلٗا
(Aey Nabi), in logon se kehdo ke “ har ek apne tareeqe par amal kar raha hai, ab yeh tumhara Rubb hi behtar jaanta hai ke seedhi raah par kaun hai”
Surah Al-Isra, Verse 84
وَيَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلرُّوحِۖ قُلِ ٱلرُّوحُ مِنۡ أَمۡرِ رَبِّي وَمَآ أُوتِيتُم مِّنَ ٱلۡعِلۡمِ إِلَّا قَلِيلٗا
Yeh log tumse Rooh (spirit) ke mutaaliq poochte hain. Kaho “yeh rooh mere Rubb ke hukum se aati hai, magar tum logon ne ilm se kum hi behra paya hai”( but you have been given only a little of the Knowledge)
Surah Al-Isra, Verse 85
وَلَئِن شِئۡنَا لَنَذۡهَبَنَّ بِٱلَّذِيٓ أَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡكَ ثُمَّ لَا تَجِدُ لَكَ بِهِۦ عَلَيۡنَا وَكِيلًا
Aur (aey Muhammad), hum chahein to woh sab kuch tumse cheen lein jo humne wahee ke zariye se tumko ata kiya hai, phir tum hamare muqable mein koi himayati(helper) na paogey jo isey wapas dila sakey
Surah Al-Isra, Verse 86
إِلَّا رَحۡمَةٗ مِّن رَّبِّكَۚ إِنَّ فَضۡلَهُۥ كَانَ عَلَيۡكَ كَبِيرٗا
Yeh to jo kuch tumhein mila hai tumhare Rubb ki rehmat se mila hai, haqeeqat yeh hai ke uska fazal tumpar bahut bada hai
Surah Al-Isra, Verse 87
قُل لَّئِنِ ٱجۡتَمَعَتِ ٱلۡإِنسُ وَٱلۡجِنُّ عَلَىٰٓ أَن يَأۡتُواْ بِمِثۡلِ هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانِ لَا يَأۡتُونَ بِمِثۡلِهِۦ وَلَوۡ كَانَ بَعۡضُهُمۡ لِبَعۡضٖ ظَهِيرٗا
Kehdo ke agar Insaan aur Jinn sab ke sab milkar is Quran jaisi koi cheez laaney ki koshish karein to na laa sakenge, chahe woh sab ek dusre ke madadgaar hi kyun na hon
Surah Al-Isra, Verse 88
وَلَقَدۡ صَرَّفۡنَا لِلنَّاسِ فِي هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانِ مِن كُلِّ مَثَلٖ فَأَبَىٰٓ أَكۡثَرُ ٱلنَّاسِ إِلَّا كُفُورٗا
Humne is Quran mein logon ko tarah tarah se samjhaya magar aksar log inkar hi par jamey rahey
Surah Al-Isra, Verse 89
وَقَالُواْ لَن نُّؤۡمِنَ لَكَ حَتَّىٰ تَفۡجُرَ لَنَا مِنَ ٱلۡأَرۡضِ يَنۢبُوعًا
Aur unhon ne kaha “ hum teri baat na maanenge jab tak ke tu hamare liye zameen ko phaadh kar ek chashma (spring) jari na karde
Surah Al-Isra, Verse 90
أَوۡ تَكُونَ لَكَ جَنَّةٞ مِّن نَّخِيلٖ وَعِنَبٖ فَتُفَجِّرَ ٱلۡأَنۡهَٰرَ خِلَٰلَهَا تَفۡجِيرًا
Ya tere liye khajooron aur angooron ka ek baagh paida ho aur tu usmein nehrein rawan karde
Surah Al-Isra, Verse 91
أَوۡ تُسۡقِطَ ٱلسَّمَآءَ كَمَا زَعَمۡتَ عَلَيۡنَا كِسَفًا أَوۡ تَأۡتِيَ بِٱللَّهِ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةِ قَبِيلًا
Ya tu aasman ko tukde tukde karke hamare upar gira de jaisa ke tera dawaa hai ya khuda aur Farishton ko ru dar ru (face to face )hamare saamne le aaye
Surah Al-Isra, Verse 92
أَوۡ يَكُونَ لَكَ بَيۡتٞ مِّن زُخۡرُفٍ أَوۡ تَرۡقَىٰ فِي ٱلسَّمَآءِ وَلَن نُّؤۡمِنَ لِرُقِيِّكَ حَتَّىٰ تُنَزِّلَ عَلَيۡنَا كِتَٰبٗا نَّقۡرَؤُهُۥۗ قُلۡ سُبۡحَانَ رَبِّي هَلۡ كُنتُ إِلَّا بَشَرٗا رَّسُولٗا
Ya tere liye sooney ka ek ghar ban jaye ya tu aasmaan par chadh jaye, aur tere chadne ka bhi hum yaqeen na karenge jab tak ke tu hamare upar ek aisi tehrir (written) na utaar laye jisey hum padhein”. (Aey Muhammad), insey kaho “paak hai mera parwardigar! Kya main ek paighaam laney waley Insaan ke siwa aur bhi kuch hoon?”
Surah Al-Isra, Verse 93
وَمَا مَنَعَ ٱلنَّاسَ أَن يُؤۡمِنُوٓاْ إِذۡ جَآءَهُمُ ٱلۡهُدَىٰٓ إِلَّآ أَن قَالُوٓاْ أَبَعَثَ ٱللَّهُ بَشَرٗا رَّسُولٗا
Logon ke saamne jab kabhi hidayat aayi to uspar iman laney se unko kisi cheez ne nahin roka magar unke isi qaul ne ke “Kya Allah ne bashar (human being) ko paigambar bana kar bhej diya?”
Surah Al-Isra, Verse 94
قُل لَّوۡ كَانَ فِي ٱلۡأَرۡضِ مَلَـٰٓئِكَةٞ يَمۡشُونَ مُطۡمَئِنِّينَ لَنَزَّلۡنَا عَلَيۡهِم مِّنَ ٱلسَّمَآءِ مَلَكٗا رَّسُولٗا
Insey kaho agar zameen mein Farishte itminaan se chal phir rahey hotey to hum zaroor aasmaan se kisi Farishte hi ko unke liye paigambar bana kar bhejte
Surah Al-Isra, Verse 95
قُلۡ كَفَىٰ بِٱللَّهِ شَهِيدَۢا بَيۡنِي وَبَيۡنَكُمۡۚ إِنَّهُۥ كَانَ بِعِبَادِهِۦ خَبِيرَۢا بَصِيرٗا
(Aey Muhammad), insey kehdo ke mere aur tumhare darmiyan bas ek Allah ki gawahi kaafi hai, woh apne bandon ke haal se bakhabar hai aur sab kuch dekh raha hai
Surah Al-Isra, Verse 96
وَمَن يَهۡدِ ٱللَّهُ فَهُوَ ٱلۡمُهۡتَدِۖ وَمَن يُضۡلِلۡ فَلَن تَجِدَ لَهُمۡ أَوۡلِيَآءَ مِن دُونِهِۦۖ وَنَحۡشُرُهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ عَلَىٰ وُجُوهِهِمۡ عُمۡيٗا وَبُكۡمٗا وَصُمّٗاۖ مَّأۡوَىٰهُمۡ جَهَنَّمُۖ كُلَّمَا خَبَتۡ زِدۡنَٰهُمۡ سَعِيرٗا
Jisko Allah hidayat de wahi hidayat paney wala hai, aur jisey woh gumraahi mein daal de to uske siwa aise logon ke liye tu koi haami o nasir (protector and helper) nahin paa sakta. Un logon ko hum qayamat ke roz aundhe mooh kheench layenge, andhey, gungay aur behre. Unka thikana jahannum hai. Jab kabhi uski aag dheemi honay lagegi hum usey aur bhadka denge
Surah Al-Isra, Verse 97
ذَٰلِكَ جَزَآؤُهُم بِأَنَّهُمۡ كَفَرُواْ بِـَٔايَٰتِنَا وَقَالُوٓاْ أَءِذَا كُنَّا عِظَٰمٗا وَرُفَٰتًا أَءِنَّا لَمَبۡعُوثُونَ خَلۡقٗا جَدِيدًا
Yeh badla hai unke is harakat ka ke unhon ne hamari aayat ka inkar kiya aur kaha “kya jab hum sirf haddiyan aur khaak (dust) ho kar reh jayenge to naye sirey se humko paida karke utha khada kiya jayega?”
Surah Al-Isra, Verse 98
۞أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّ ٱللَّهَ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ قَادِرٌ عَلَىٰٓ أَن يَخۡلُقَ مِثۡلَهُمۡ وَجَعَلَ لَهُمۡ أَجَلٗا لَّا رَيۡبَ فِيهِ فَأَبَى ٱلظَّـٰلِمُونَ إِلَّا كُفُورٗا
Kya inko yeh na soojha ke jis khuda ne zameen aur aasmano ko paida kiya hai woh in jaison ko paida karne ki zaroor qudrat rakhta hai? Usne inke hashar ke liye ek waqt muqarrar kar rakkha hai jiska aana yakeeni hai, magar zalimon ko israar(persist) hai ke woh iska inkar hi karenge
Surah Al-Isra, Verse 99
قُل لَّوۡ أَنتُمۡ تَمۡلِكُونَ خَزَآئِنَ رَحۡمَةِ رَبِّيٓ إِذٗا لَّأَمۡسَكۡتُمۡ خَشۡيَةَ ٱلۡإِنفَاقِۚ وَكَانَ ٱلۡإِنسَٰنُ قَتُورٗا
(Aey Muhammad) Insey kaho, agar kahin mere Rubb ki rehmat ke khazane tumhare qabze mein hotay to tum kharh ho janey ke andeshey se zarror unko roak rakhte. Waqai Insaan bada tangg dil (narrow minded) waqey hua hai
Surah Al-Isra, Verse 100
وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا مُوسَىٰ تِسۡعَ ءَايَٰتِۭ بَيِّنَٰتٖۖ فَسۡـَٔلۡ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ إِذۡ جَآءَهُمۡ فَقَالَ لَهُۥ فِرۡعَوۡنُ إِنِّي لَأَظُنُّكَ يَٰمُوسَىٰ مَسۡحُورٗا
Humne Moosa ko to nishaniyan ata ki thi jo sareeh taur par dikhayi de rahi thi (which were quite manifest). Ab yeh tum khud bani Israel se pooch lo ke jab woh saamne aayi to Firoun ne yahi kaha tha na ke “Aey Moosa, main samajhta hoon ke tu zaroor ek sehar-zada (bewitched) aadmi hai
Surah Al-Isra, Verse 101
قَالَ لَقَدۡ عَلِمۡتَ مَآ أَنزَلَ هَـٰٓؤُلَآءِ إِلَّا رَبُّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ بَصَآئِرَ وَإِنِّي لَأَظُنُّكَ يَٰفِرۡعَوۡنُ مَثۡبُورٗا
Moosa ne uske jawab mein kaha “tu khoob jaanta hai ke yeh baseerat afroz (eye opener) nishaniyan Rabbus samawaati wal ardh (lord of the Heavens and the earth) ke siwa kisi ne nazil nahin ki hain, aur mera khayal yeh hai ke aey Firoun, tu zaroor ek shamat-zada (doomed) aadmi hai”
Surah Al-Isra, Verse 102
فَأَرَادَ أَن يَسۡتَفِزَّهُم مِّنَ ٱلۡأَرۡضِ فَأَغۡرَقۡنَٰهُ وَمَن مَّعَهُۥ جَمِيعٗا
Aakhr-e-kaar Firoun ne irada kiya ke Moosa aur bani Israel ko zameen se ukhad phenke, magar humne usko aur uske saathiyon ko ikattha garq(drown) kardiya
Surah Al-Isra, Verse 103
وَقُلۡنَا مِنۢ بَعۡدِهِۦ لِبَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ ٱسۡكُنُواْ ٱلۡأَرۡضَ فَإِذَا جَآءَ وَعۡدُ ٱلۡأٓخِرَةِ جِئۡنَا بِكُمۡ لَفِيفٗا
Aur uske baad bani Israel se kaha ke ab tum zameen mein baso, phir jab aakhirat ke wadey ka waqt aan poora hoga to hum tum sab ko ek sath laa haazir karenge
Surah Al-Isra, Verse 104
وَبِٱلۡحَقِّ أَنزَلۡنَٰهُ وَبِٱلۡحَقِّ نَزَلَۗ وَمَآ أَرۡسَلۡنَٰكَ إِلَّا مُبَشِّرٗا وَنَذِيرٗا
Is Quran ko humne haqq ke saath nazil kiya hai aur haqq hi ke saath yeh nazil hua hai. Aur (aey Muhammad) tumhein humne iske siwa aur kisi kaam ke liye nahin bheja ke (jo maan le usey) basharat de do aur (ja na maaney usey) mutanabbeh (warn) kardo
Surah Al-Isra, Verse 105
وَقُرۡءَانٗا فَرَقۡنَٰهُ لِتَقۡرَأَهُۥ عَلَى ٱلنَّاسِ عَلَىٰ مُكۡثٖ وَنَزَّلۡنَٰهُ تَنزِيلٗا
Aur is Quran ko humne thoda thoda karke nazil kiya hai taa-ke tum thehar thehar kar isey logon ko sunao, aur isey humne ( mauqa mauqa se) ba-tadreej utara hai
Surah Al-Isra, Verse 106
قُلۡ ءَامِنُواْ بِهِۦٓ أَوۡ لَا تُؤۡمِنُوٓاْۚ إِنَّ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡعِلۡمَ مِن قَبۡلِهِۦٓ إِذَا يُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡ يَخِرُّونَۤ لِلۡأَذۡقَانِۤ سُجَّدٗاۤ
(Aey Muhammad), in logon se kehdo ke tum isey maano ya na maano, jin logon ko issey pehle ilm diya gaya hai unhein jab yeh sunaya jata hai to woh mooh ke bal sajde mein gir jatey hain
Surah Al-Isra, Verse 107
وَيَقُولُونَ سُبۡحَٰنَ رَبِّنَآ إِن كَانَ وَعۡدُ رَبِّنَا لَمَفۡعُولٗا
Aur pukar uthte hain “paak hai hamara Rubb , uska wada to pura hona hi tha”
Surah Al-Isra, Verse 108
وَيَخِرُّونَ لِلۡأَذۡقَانِ يَبۡكُونَ وَيَزِيدُهُمۡ خُشُوعٗا۩
Aur woh mooh ke bal rotey rotey huey gir jaate hain aur isey sunkar unka khushu (humility) aur badh jata hai
Surah Al-Isra, Verse 109
قُلِ ٱدۡعُواْ ٱللَّهَ أَوِ ٱدۡعُواْ ٱلرَّحۡمَٰنَۖ أَيّٗا مَّا تَدۡعُواْ فَلَهُ ٱلۡأَسۡمَآءُ ٱلۡحُسۡنَىٰۚ وَلَا تَجۡهَرۡ بِصَلَاتِكَ وَلَا تُخَافِتۡ بِهَا وَٱبۡتَغِ بَيۡنَ ذَٰلِكَ سَبِيلٗا
(Aey Nabi), insey kaho, Allah kehkar pukaro ya rehman kehkar, jis naam se bhi pukaro uske liye sab acchey hi naam hain aur apni namaz na bahut zyada buland aawaz se padho aur na bahut past aawaz se, in dono ke darmiyan awsat darje ka lehja ikhtiyar karo
Surah Al-Isra, Verse 110
وَقُلِ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ ٱلَّذِي لَمۡ يَتَّخِذۡ وَلَدٗا وَلَمۡ يَكُن لَّهُۥ شَرِيكٞ فِي ٱلۡمُلۡكِ وَلَمۡ يَكُن لَّهُۥ وَلِيّٞ مِّنَ ٱلذُّلِّۖ وَكَبِّرۡهُ تَكۡبِيرَۢا
Aur kaho “tareef hai us khuda ke liye jisne na kisi ko beta banaya, na koi baadshahi mein uska shareek hai, aur na woh aajiz (helpless) hai ke koi uska pushtbaan (supporter) ho” aur uski badayi bayan karo, kamaal darje ki badayi
Surah Al-Isra, Verse 111