Surah Al-Isra Verse 60 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Israوَإِذۡ قُلۡنَا لَكَ إِنَّ رَبَّكَ أَحَاطَ بِٱلنَّاسِۚ وَمَا جَعَلۡنَا ٱلرُّءۡيَا ٱلَّتِيٓ أَرَيۡنَٰكَ إِلَّا فِتۡنَةٗ لِّلنَّاسِ وَٱلشَّجَرَةَ ٱلۡمَلۡعُونَةَ فِي ٱلۡقُرۡءَانِۚ وَنُخَوِّفُهُمۡ فَمَا يَزِيدُهُمۡ إِلَّا طُغۡيَٰنٗا كَبِيرٗا
Yaad karo (aey Muhammad), humne tumse keh diya tha ke tere Rubb ne in logon ko gher rakkha hai aur yeh jo kuch abhi humne tumhein dikhya hai, isko aur us darakht ko jispar Quran mein laanat ki gayi hai, humne in logon ke liye bas ek fitna banakar rakh diya. Hum inhein tambeeh (warning) par tambeeh (warning) kiye jaa rahey hain, magar har tambeeh inki sarkashi hi mein izafa kiye jati hai