Surah Al-Isra Verse 102 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Israقَالَ لَقَدۡ عَلِمۡتَ مَآ أَنزَلَ هَـٰٓؤُلَآءِ إِلَّا رَبُّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ بَصَآئِرَ وَإِنِّي لَأَظُنُّكَ يَٰفِرۡعَوۡنُ مَثۡبُورٗا
Moosa ne uske jawab mein kaha “tu khoob jaanta hai ke yeh baseerat afroz (eye opener) nishaniyan Rabbus samawaati wal ardh (lord of the Heavens and the earth) ke siwa kisi ne nazil nahin ki hain, aur mera khayal yeh hai ke aey Firoun, tu zaroor ek shamat-zada (doomed) aadmi hai”