Surah Al-Isra Verse 44 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Israتُسَبِّحُ لَهُ ٱلسَّمَٰوَٰتُ ٱلسَّبۡعُ وَٱلۡأَرۡضُ وَمَن فِيهِنَّۚ وَإِن مِّن شَيۡءٍ إِلَّا يُسَبِّحُ بِحَمۡدِهِۦ وَلَٰكِن لَّا تَفۡقَهُونَ تَسۡبِيحَهُمۡۚ إِنَّهُۥ كَانَ حَلِيمًا غَفُورٗا
Uski paaki to saato (seven) aasman aur zameen aur woh saari cheezein bayan kar rahi hain jo aasman o zameen mein hain. Koi cheez aisi nahin hai jo uski hamd ke saath uski tasbeeh na kar rahi ho, magar tum unki tasbeeh samajhte nahin ho. Haqeeqat yeh hai ke woh bada hi burdbaar (very Forbearing) aur darguzar karne wala hai