Surah Al-Isra Verse 23 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Isra۞وَقَضَىٰ رَبُّكَ أَلَّا تَعۡبُدُوٓاْ إِلَّآ إِيَّاهُ وَبِٱلۡوَٰلِدَيۡنِ إِحۡسَٰنًاۚ إِمَّا يَبۡلُغَنَّ عِندَكَ ٱلۡكِبَرَ أَحَدُهُمَآ أَوۡ كِلَاهُمَا فَلَا تَقُل لَّهُمَآ أُفّٖ وَلَا تَنۡهَرۡهُمَا وَقُل لَّهُمَا قَوۡلٗا كَرِيمٗا
Tere Rubb ne faisla kardiya hai ke: tumlog kisi ki ibadat na karo, magar sirf uski, walidain (maa-baap) ke saath neik sulook karo.Agar tumhare pas unmein se koi ek, ya dono, boodhey (old) hokar rahein to unhein ‘ uff ’ tak na kaho, na unhein jhidak kar jawab do , balke unsey ehtaram ke saath baat karo