Surah An-Nahl Verse 27 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah An-Nahlثُمَّ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ يُخۡزِيهِمۡ وَيَقُولُ أَيۡنَ شُرَكَآءِيَ ٱلَّذِينَ كُنتُمۡ تُشَـٰٓقُّونَ فِيهِمۡۚ قَالَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡعِلۡمَ إِنَّ ٱلۡخِزۡيَ ٱلۡيَوۡمَ وَٱلسُّوٓءَ عَلَى ٱلۡكَٰفِرِينَ
Phir qayamat ke roz Allah unhein zaleel o khwar karega aur unse kahega “ batao, ab kahan hain mere woh shareek jinke liye tum (ehle haqq se) jhagde kiya karte thay?” Jin logon ko duniya mein ilm haasil tha woh kahenge “ aaj ruswayi aur badbakhti hai kafiron ke liye”