Surah An-Nahl Verse 125 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah An-Nahlٱدۡعُ إِلَىٰ سَبِيلِ رَبِّكَ بِٱلۡحِكۡمَةِ وَٱلۡمَوۡعِظَةِ ٱلۡحَسَنَةِۖ وَجَٰدِلۡهُم بِٱلَّتِي هِيَ أَحۡسَنُۚ إِنَّ رَبَّكَ هُوَ أَعۡلَمُ بِمَن ضَلَّ عَن سَبِيلِهِۦ وَهُوَ أَعۡلَمُ بِٱلۡمُهۡتَدِينَ
(Aey Nabi), apne Rubb ke raaste ki taraf dawat do hikmat aur umdah naseehat ke saath, aur logon se mubahisa(discuss) karo aise tareeqe par jo behtareen ho. Tumhara Rubb hi zyada behtar jaanta hai ke kaun uski raah se bhatka hua hai aur kaun raah-e-raast par hai