Surah An-Nahl Verse 69 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah An-Nahlثُمَّ كُلِي مِن كُلِّ ٱلثَّمَرَٰتِ فَٱسۡلُكِي سُبُلَ رَبِّكِ ذُلُلٗاۚ يَخۡرُجُ مِنۢ بُطُونِهَا شَرَابٞ مُّخۡتَلِفٌ أَلۡوَٰنُهُۥ فِيهِ شِفَآءٞ لِّلنَّاسِۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗ لِّقَوۡمٖ يَتَفَكَّرُونَ
aur har tarah ke mewe kha aur apne rub ki asaan raaho mein chalti phirti reh, un ke pet se rang bi rang ka mashroob nikalta hai jis ke rang muqtalif hai aur jis mein logo ke liye shifa hai, ghaur wa fikr karne walo ke liye is mein bhi bahuth badi nishaani hai