Surah Al-Kahf Verse 17 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Kahf۞وَتَرَى ٱلشَّمۡسَ إِذَا طَلَعَت تَّزَٰوَرُ عَن كَهۡفِهِمۡ ذَاتَ ٱلۡيَمِينِ وَإِذَا غَرَبَت تَّقۡرِضُهُمۡ ذَاتَ ٱلشِّمَالِ وَهُمۡ فِي فَجۡوَةٖ مِّنۡهُۚ ذَٰلِكَ مِنۡ ءَايَٰتِ ٱللَّهِۗ مَن يَهۡدِ ٱللَّهُ فَهُوَ ٱلۡمُهۡتَدِۖ وَمَن يُضۡلِلۡ فَلَن تَجِدَ لَهُۥ وَلِيّٗا مُّرۡشِدٗا
aap dekhenge ke aaftaab ba-waqte tulo un ke ghaar se dayi jaanib ko jhuk jaata hai aur ba-waqte ghuroob un ke baayi jaanib katra jata hai aur wo us ghaar ki kushaada jageh mein hai, ye Allah ki nishaaniyo mein se hai, Alla ta’ala jis ki rehbari farmaye, wo raahe raast par hai, aur jise wo gumarh karde, na mumkin hai ke aap us ka koi kaar-saaz aur rehnuma pa sake