Surah Maryam - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
كٓهيعٓصٓ
Kaaf , Haa , yaa, ain , saad
Surah Maryam, Verse 1
ذِكۡرُ رَحۡمَتِ رَبِّكَ عَبۡدَهُۥ زَكَرِيَّآ
Zikr hai us rehmat ka jo tere Rubb ne apne banday zakariya par ki thi
Surah Maryam, Verse 2
إِذۡ نَادَىٰ رَبَّهُۥ نِدَآءً خَفِيّٗا
Jabke usne apne Rubb ko chupke chupke pukara
Surah Maryam, Verse 3
قَالَ رَبِّ إِنِّي وَهَنَ ٱلۡعَظۡمُ مِنِّي وَٱشۡتَعَلَ ٱلرَّأۡسُ شَيۡبٗا وَلَمۡ أَكُنۢ بِدُعَآئِكَ رَبِّ شَقِيّٗا
Usne arz kiya “aey parwardigar, meri haddiyan tak ghul gayi hain aur sar budhape se bhadak utha hai, aey parwardigar, main kabhi tujhse dua maang kar na-murad nahin raha
Surah Maryam, Verse 4
وَإِنِّي خِفۡتُ ٱلۡمَوَٰلِيَ مِن وَرَآءِي وَكَانَتِ ٱمۡرَأَتِي عَاقِرٗا فَهَبۡ لِي مِن لَّدُنكَ وَلِيّٗا
Mujhey apne peechey apne bhai bandon ki buraiyon ka khauf hai, aur meri biwi baanjh (barren) hai, tu mujhey apne fazal e khaas se ek waris ata karde
Surah Maryam, Verse 5
يَرِثُنِي وَيَرِثُ مِنۡ ءَالِ يَعۡقُوبَۖ وَٱجۡعَلۡهُ رَبِّ رَضِيّٗا
Jo mera bhi ho aur aale yaqub ki miras bhi paye, aur aey parwardigar , usko ek pasandeeda Insaan bana”
Surah Maryam, Verse 6
يَٰزَكَرِيَّآ إِنَّا نُبَشِّرُكَ بِغُلَٰمٍ ٱسۡمُهُۥ يَحۡيَىٰ لَمۡ نَجۡعَل لَّهُۥ مِن قَبۡلُ سَمِيّٗا
(Jawab diya gaya) “Aey zakariya, hum tujhe ek ladke ki basharat dete hain jiska naam Yahya hoga, humne is naam ka koi aadmi issey pehle paida nahin kiya”
Surah Maryam, Verse 7
قَالَ رَبِّ أَنَّىٰ يَكُونُ لِي غُلَٰمٞ وَكَانَتِ ٱمۡرَأَتِي عَاقِرٗا وَقَدۡ بَلَغۡتُ مِنَ ٱلۡكِبَرِ عِتِيّٗا
Arz kiya, “parwardigar, bhala mere haan kaise beta hoga jabke meri biwi baanjh (barren) hai aur main boodha hokar sookh chuka hoon?”
Surah Maryam, Verse 8
قَالَ كَذَٰلِكَ قَالَ رَبُّكَ هُوَ عَلَيَّ هَيِّنٞ وَقَدۡ خَلَقۡتُكَ مِن قَبۡلُ وَلَمۡ تَكُ شَيۡـٔٗا
Jawab mila “aisa hi hoga. Tera Rubb farmata hai ke yeh to mere liye ek zara si baat hai, aakhir issey pehle main tujhey paida kar chuka hoon jabke tu koi cheez na tha”
Surah Maryam, Verse 9
قَالَ رَبِّ ٱجۡعَل لِّيٓ ءَايَةٗۖ قَالَ ءَايَتُكَ أَلَّا تُكَلِّمَ ٱلنَّاسَ ثَلَٰثَ لَيَالٖ سَوِيّٗا
Zakariya ne kaha, “parwardigar, mere liye koi nishani muqarrar karde”. Farmaya “tere liye nishani yeh hai ke tu paiham teen din logon se baat na kar sakey”
Surah Maryam, Verse 10
فَخَرَجَ عَلَىٰ قَوۡمِهِۦ مِنَ ٱلۡمِحۡرَابِ فَأَوۡحَىٰٓ إِلَيۡهِمۡ أَن سَبِّحُواْ بُكۡرَةٗ وَعَشِيّٗا
Chunachey woh mehrab se nikal kar apni qaum ke saamne aaya aur usne isharey se unko hidayat ki ke subh-o-shaam tasbeeh karo
Surah Maryam, Verse 11
يَٰيَحۡيَىٰ خُذِ ٱلۡكِتَٰبَ بِقُوَّةٖۖ وَءَاتَيۡنَٰهُ ٱلۡحُكۡمَ صَبِيّٗا
Aey Yahya! Kitab e ilahi ko mazboot thaam le, humne usey bachpan hi mein “hukum” se nawaza
Surah Maryam, Verse 12
وَحَنَانٗا مِّن لَّدُنَّا وَزَكَوٰةٗۖ وَكَانَ تَقِيّٗا
Aur apni taraf se usko narm dili aur paakeezgi ata ki aur woh bada parheizgaar
Surah Maryam, Verse 13
وَبَرَّۢا بِوَٰلِدَيۡهِ وَلَمۡ يَكُن جَبَّارًا عَصِيّٗا
Aur apne walidain ka haqq shanaas (dutiful ) tha, woh jabbar(arrogant) na tha aur na nafarman
Surah Maryam, Verse 14
وَسَلَٰمٌ عَلَيۡهِ يَوۡمَ وُلِدَ وَيَوۡمَ يَمُوتُ وَيَوۡمَ يُبۡعَثُ حَيّٗا
Salaam uspar jis roz ke woh paida hua aur jis din marey aur jis roz woh zinda karke uthaya jaye
Surah Maryam, Verse 15
وَٱذۡكُرۡ فِي ٱلۡكِتَٰبِ مَرۡيَمَ إِذِ ٱنتَبَذَتۡ مِنۡ أَهۡلِهَا مَكَانٗا شَرۡقِيّٗا
Aur (aey Muhammad), is kitaab mein Maryam ka haal bayan karo, jabke woh apne logon se alag ho kar sharqi (eastern side) janib gosha nasheen (in seclusion) ho gayi thi
Surah Maryam, Verse 16
فَٱتَّخَذَتۡ مِن دُونِهِمۡ حِجَابٗا فَأَرۡسَلۡنَآ إِلَيۡهَا رُوحَنَا فَتَمَثَّلَ لَهَا بَشَرٗا سَوِيّٗا
Aur purda daal kar unse chup (hidden) baithi thi is halat mein humne uske paas apni rooh ko (yani farishte ko) bheja aur woh uske saamne ek puray Insan ki shakal mein namudar ho gaya
Surah Maryam, Verse 17
قَالَتۡ إِنِّيٓ أَعُوذُ بِٱلرَّحۡمَٰنِ مِنكَ إِن كُنتَ تَقِيّٗا
Maryam yakayak bol uthi ke “agar tu koi khuda tars aadmi hai to main tujhse rehman ki panaah maangti hoon”
Surah Maryam, Verse 18
قَالَ إِنَّمَآ أَنَا۠ رَسُولُ رَبِّكِ لِأَهَبَ لَكِ غُلَٰمٗا زَكِيّٗا
Usne kaha “main to tere Rubb ka faristada hoon aur isliye bheja gaya hoon ke tujhey ek paakeeza ladka doon”
Surah Maryam, Verse 19
قَالَتۡ أَنَّىٰ يَكُونُ لِي غُلَٰمٞ وَلَمۡ يَمۡسَسۡنِي بَشَرٞ وَلَمۡ أَكُ بَغِيّٗا
Maryam ne kaha “ mere haan kaise ladka hoga jabke mujhey kisi bashar (Insaan) ne chua tak nahin hai aur main koi badhkaar aurat nahin hoon”
Surah Maryam, Verse 20
قَالَ كَذَٰلِكِ قَالَ رَبُّكِ هُوَ عَلَيَّ هَيِّنٞۖ وَلِنَجۡعَلَهُۥٓ ءَايَةٗ لِّلنَّاسِ وَرَحۡمَةٗ مِّنَّاۚ وَكَانَ أَمۡرٗا مَّقۡضِيّٗا
Farishte ne kaha “ aisa hi hoga, tera Rubb farmata hai ke aisa karna mere liye bahut aasaan hai aur hum yeh isliye karenge ke us ladke ko logon ke liye ek nishani banayein aur apni taraf se ek rehmat, aur yeh kaam hokar rehna hai”
Surah Maryam, Verse 21
۞فَحَمَلَتۡهُ فَٱنتَبَذَتۡ بِهِۦ مَكَانٗا قَصِيّٗا
Mayam ko us bacchey ka hamal reh gaya aur woh is hamal ko liye huey ek door ke maqaam par chali gayi
Surah Maryam, Verse 22
فَأَجَآءَهَا ٱلۡمَخَاضُ إِلَىٰ جِذۡعِ ٱلنَّخۡلَةِ قَالَتۡ يَٰلَيۡتَنِي مِتُّ قَبۡلَ هَٰذَا وَكُنتُ نَسۡيٗا مَّنسِيّٗا
Phir zachgi (delivery) ki takleef ne usey ek khajoor ke darakht ke nichey pahucha diya. Woh kehne lagi “kaash main issey pehle hi marr jati aur mera naam o nishan na rehta”
Surah Maryam, Verse 23
فَنَادَىٰهَا مِن تَحۡتِهَآ أَلَّا تَحۡزَنِي قَدۡ جَعَلَ رَبُّكِ تَحۡتَكِ سَرِيّٗا
Farishtey ne paintey (at the foot of her bed) se usko pukar kar kaha “ghum na kar tere Rubb ne tere nichey ek chashma rawan kardiya hai
Surah Maryam, Verse 24
وَهُزِّيٓ إِلَيۡكِ بِجِذۡعِ ٱلنَّخۡلَةِ تُسَٰقِطۡ عَلَيۡكِ رُطَبٗا جَنِيّٗا
Aur tu zara is darakht ke tanay (trunk) ko hila, tere upar tarr-o-taaza khajoorein tapak padengi
Surah Maryam, Verse 25
فَكُلِي وَٱشۡرَبِي وَقَرِّي عَيۡنٗاۖ فَإِمَّا تَرَيِنَّ مِنَ ٱلۡبَشَرِ أَحَدٗا فَقُولِيٓ إِنِّي نَذَرۡتُ لِلرَّحۡمَٰنِ صَوۡمٗا فَلَنۡ أُكَلِّمَ ٱلۡيَوۡمَ إِنسِيّٗا
Pas tu kha aur pee aur apni aankhein thandi kar phir agar koi aadmi tujhey nazar aaye to ussey kehde ke maine rehman ke liye roze ki nazar maani hai, isliye aaj main kisi se na bolungi”
Surah Maryam, Verse 26
فَأَتَتۡ بِهِۦ قَوۡمَهَا تَحۡمِلُهُۥۖ قَالُواْ يَٰمَرۡيَمُ لَقَدۡ جِئۡتِ شَيۡـٔٗا فَرِيّٗا
Phir woh is bacchey ko liye huey apni qaum mein aayi. Log kehne lagey “aey Maryam, yeh tu nay bada paap kar daala
Surah Maryam, Verse 27
يَـٰٓأُخۡتَ هَٰرُونَ مَا كَانَ أَبُوكِ ٱمۡرَأَ سَوۡءٖ وَمَا كَانَتۡ أُمُّكِ بَغِيّٗا
Aey Haroon ki behan, na tera baap koi bura aadmi tha aur na teri Maa hi koi badhkar aurat thi”
Surah Maryam, Verse 28
فَأَشَارَتۡ إِلَيۡهِۖ قَالُواْ كَيۡفَ نُكَلِّمُ مَن كَانَ فِي ٱلۡمَهۡدِ صَبِيّٗا
Maryam ne bacchey ki taraf ishara kardiya. Logon ne kaha “hum issey kya baat karein jo gehwarey (cradle) mein pada hua ek baccha hai?”
Surah Maryam, Verse 29
قَالَ إِنِّي عَبۡدُ ٱللَّهِ ءَاتَىٰنِيَ ٱلۡكِتَٰبَ وَجَعَلَنِي نَبِيّٗا
Baccha bol utha “ main Allah ka banda hoon usne mujhey kitab di , aur Nabi banaya
Surah Maryam, Verse 30
وَجَعَلَنِي مُبَارَكًا أَيۡنَ مَا كُنتُ وَأَوۡصَٰنِي بِٱلصَّلَوٰةِ وَٱلزَّكَوٰةِ مَا دُمۡتُ حَيّٗا
Aur babarakat kiya jahan bhi main rahoon, aur namaz aur zakaat ki pabandi ka hukum diya jab tak main zinda rahoon
Surah Maryam, Verse 31
وَبَرَّۢا بِوَٰلِدَتِي وَلَمۡ يَجۡعَلۡنِي جَبَّارٗا شَقِيّٗا
Aur apni walida ka haqq ada karne wala banaya, aur mujhko jabbar (oppressive) aur shaqqi (hard-hearted) nahin banaya
Surah Maryam, Verse 32
وَٱلسَّلَٰمُ عَلَيَّ يَوۡمَ وُلِدتُّ وَيَوۡمَ أَمُوتُ وَيَوۡمَ أُبۡعَثُ حَيّٗا
Salam hai mujhpar jabke main paida hua aur jabke main maroon(die) aur jabke zinda karke uthaya jaoon”
Surah Maryam, Verse 33
ذَٰلِكَ عِيسَى ٱبۡنُ مَرۡيَمَۖ قَوۡلَ ٱلۡحَقِّ ٱلَّذِي فِيهِ يَمۡتَرُونَ
Yeh hai Isa ibn Maryam aur yeh hai uske barey mein woh sacchi baat jismein log shakk kar rahey hain
Surah Maryam, Verse 34
مَا كَانَ لِلَّهِ أَن يَتَّخِذَ مِن وَلَدٖۖ سُبۡحَٰنَهُۥٓۚ إِذَا قَضَىٰٓ أَمۡرٗا فَإِنَّمَا يَقُولُ لَهُۥ كُن فَيَكُونُ
Allah ka yeh kaam nahin hai ke woh kisi ko beta banaye. Woh paak zaat hai, woh jab kisi baat ka faisla karta hai to kehta hai ke hoja, aur bas woh ho jati hai
Surah Maryam, Verse 35
وَإِنَّ ٱللَّهَ رَبِّي وَرَبُّكُمۡ فَٱعۡبُدُوهُۚ هَٰذَا صِرَٰطٞ مُّسۡتَقِيمٞ
(Aur Isa ne kaha tha ke)”Allah mera Rubb bhi hai aur tumhara Rubb bhi, pas tum usi ki bandagi karo, yahi seedhi raah hai”
Surah Maryam, Verse 36
فَٱخۡتَلَفَ ٱلۡأَحۡزَابُ مِنۢ بَيۡنِهِمۡۖ فَوَيۡلٞ لِّلَّذِينَ كَفَرُواْ مِن مَّشۡهَدِ يَوۡمٍ عَظِيمٍ
Magar phir mukhtalif giroh baham ikhtilaf karne lagey. So jin logon ne kufr kiya unke liye woh waqt badi tabahi ka hoga
Surah Maryam, Verse 37
أَسۡمِعۡ بِهِمۡ وَأَبۡصِرۡ يَوۡمَ يَأۡتُونَنَا لَٰكِنِ ٱلظَّـٰلِمُونَ ٱلۡيَوۡمَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ
Jabke woh ek bada din dekhenge, jab woh hamare saamne hazir hongey us roz to unke kaan bhi khoob sun rahey hongey aur unki aankhein bhi khoob dekhti hongi, magar aaj yeh zalim khuli gumraahi mein mubtila hain
Surah Maryam, Verse 38
وَأَنذِرۡهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡحَسۡرَةِ إِذۡ قُضِيَ ٱلۡأَمۡرُ وَهُمۡ فِي غَفۡلَةٖ وَهُمۡ لَا يُؤۡمِنُونَ
(Aey Muhammad), is halat mein jabke yeh log gafil hain aur iman nahin la rahey hain, inhein us din se dara do jabke faisla kardiya jayega aur pachtawe ke siwa koi chara-e-kaar na hoga
Surah Maryam, Verse 39
إِنَّا نَحۡنُ نَرِثُ ٱلۡأَرۡضَ وَمَنۡ عَلَيۡهَا وَإِلَيۡنَا يُرۡجَعُونَ
Aakhir-e-kaar hum hi zameen aur uski sari cheezon ke waris hongey aur sab hamari taraf hi paltaye jayenge
Surah Maryam, Verse 40
وَٱذۡكُرۡ فِي ٱلۡكِتَٰبِ إِبۡرَٰهِيمَۚ إِنَّهُۥ كَانَ صِدِّيقٗا نَّبِيًّا
Aur is kitaab mein Ibrahim ka qissa bayan karo, beshak woh ek raast-baaz Insaan aur ek Nabi tha
Surah Maryam, Verse 41
إِذۡ قَالَ لِأَبِيهِ يَـٰٓأَبَتِ لِمَ تَعۡبُدُ مَا لَا يَسۡمَعُ وَلَا يُبۡصِرُ وَلَا يُغۡنِي عَنكَ شَيۡـٔٗا
(Inhein zara us mauqe ki yaad dilao) jabke usne apne baap se kaha ke “Abbajaan, aap kyun un cheezon ki ibadat karte hain jo na sunti hain na dekhti hain aur na aap ka koi kaam bana sakti hain
Surah Maryam, Verse 42
يَـٰٓأَبَتِ إِنِّي قَدۡ جَآءَنِي مِنَ ٱلۡعِلۡمِ مَا لَمۡ يَأۡتِكَ فَٱتَّبِعۡنِيٓ أَهۡدِكَ صِرَٰطٗا سَوِيّٗا
Abbajaan, mere paas ek aisa ilam aaya hai jo aapke paas nahin aaya, aap mere peechey chalein , main aapko seedha raasta bataunga
Surah Maryam, Verse 43
يَـٰٓأَبَتِ لَا تَعۡبُدِ ٱلشَّيۡطَٰنَۖ إِنَّ ٱلشَّيۡطَٰنَ كَانَ لِلرَّحۡمَٰنِ عَصِيّٗا
Abbajaan!aap shaytan ki bandagi na karein, shaytan to rehman ka nafarman hai
Surah Maryam, Verse 44
يَـٰٓأَبَتِ إِنِّيٓ أَخَافُ أَن يَمَسَّكَ عَذَابٞ مِّنَ ٱلرَّحۡمَٰنِ فَتَكُونَ لِلشَّيۡطَٰنِ وَلِيّٗا
Abbajaan, mujhey darr hai ke kahin aap rehman ke azaab mein mubtila na ho jayein aur shaytan ke saathi ban kar rahein”
Surah Maryam, Verse 45
قَالَ أَرَاغِبٌ أَنتَ عَنۡ ءَالِهَتِي يَـٰٓإِبۡرَٰهِيمُۖ لَئِن لَّمۡ تَنتَهِ لَأَرۡجُمَنَّكَۖ وَٱهۡجُرۡنِي مَلِيّٗا
Baap ne kaha “Ibrahim, kya tu mere maboodon se phir gaya hai? Agar tu baaz na aaya to main tujhey sangsar(stone you to death) kardunga. Bas tu hamesha ke liye mujhse alag ho jaa”
Surah Maryam, Verse 46
قَالَ سَلَٰمٌ عَلَيۡكَۖ سَأَسۡتَغۡفِرُ لَكَ رَبِّيٓۖ إِنَّهُۥ كَانَ بِي حَفِيّٗا
Ibrahim ne kaha “Salaam hai aapko, main apne Rubb se dua karoonga ke aapko maaf karde. Mera Rubb mujhpar bada hi meharban hai
Surah Maryam, Verse 47
وَأَعۡتَزِلُكُمۡ وَمَا تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ وَأَدۡعُواْ رَبِّي عَسَىٰٓ أَلَّآ أَكُونَ بِدُعَآءِ رَبِّي شَقِيّٗا
Main aap logon ko bhi chodhta hoon aur un hastiyon ko bhi jinhein aap log khuda ko chodh kar pukara karte hain. Main to apne Rubb hi ko pukarunga , umeed hai ke main apne Rubb ko pukar ke na-murad na rahunga”
Surah Maryam, Verse 48
فَلَمَّا ٱعۡتَزَلَهُمۡ وَمَا يَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ وَهَبۡنَا لَهُۥٓ إِسۡحَٰقَ وَيَعۡقُوبَۖ وَكُلّٗا جَعَلۡنَا نَبِيّٗا
Pas jab woh un logon se aur unke maboodane gair Allah se juda ho gaya to humne usko Ishaaq aur Yakub jaisi aulad di aur har ek ko Nabi banaya
Surah Maryam, Verse 49
وَوَهَبۡنَا لَهُم مِّن رَّحۡمَتِنَا وَجَعَلۡنَا لَهُمۡ لِسَانَ صِدۡقٍ عَلِيّٗا
Aur unko apni rehmat se nawaza aur unko sacchi naamwari ata ki
Surah Maryam, Verse 50
وَٱذۡكُرۡ فِي ٱلۡكِتَٰبِ مُوسَىٰٓۚ إِنَّهُۥ كَانَ مُخۡلَصٗا وَكَانَ رَسُولٗا نَّبِيّٗا
Aur zikr karo is kitaab mein Moosa ka, woh ek cheeda (chosen) shaks tha aur Rasool Nabi tha
Surah Maryam, Verse 51
وَنَٰدَيۡنَٰهُ مِن جَانِبِ ٱلطُّورِ ٱلۡأَيۡمَنِ وَقَرَّبۡنَٰهُ نَجِيّٗا
Humne usko Tur ke dahini(right) janib se pukara aur raaz ki guftagu se usko takarrub (honour) ata kiya
Surah Maryam, Verse 52
وَوَهَبۡنَا لَهُۥ مِن رَّحۡمَتِنَآ أَخَاهُ هَٰرُونَ نَبِيّٗا
Aur apni mehrabani se uske bhai Haroon ko Nabi bana kar usey (madadgaar ke taur par) diya
Surah Maryam, Verse 53
وَٱذۡكُرۡ فِي ٱلۡكِتَٰبِ إِسۡمَٰعِيلَۚ إِنَّهُۥ كَانَ صَادِقَ ٱلۡوَعۡدِ وَكَانَ رَسُولٗا نَّبِيّٗا
Aur is kitaab mein Ismail ka zir karo, woh wadey ka saccha tha aur Rasool Nabi tha
Surah Maryam, Verse 54
وَكَانَ يَأۡمُرُ أَهۡلَهُۥ بِٱلصَّلَوٰةِ وَٱلزَّكَوٰةِ وَكَانَ عِندَ رَبِّهِۦ مَرۡضِيّٗا
Woh apne ghar walon ko namaz aur zakat ka hukum deta tha aur apne Rubb ke nazdeek ek pasandeeda Insaan tha
Surah Maryam, Verse 55
وَٱذۡكُرۡ فِي ٱلۡكِتَٰبِ إِدۡرِيسَۚ إِنَّهُۥ كَانَ صِدِّيقٗا نَّبِيّٗا
Aur is kitaab mein Idris ka zikr karo, woh ek raast-baaz (righteous) Insaan aur ek Nabi tha
Surah Maryam, Verse 56
وَرَفَعۡنَٰهُ مَكَانًا عَلِيًّا
Aur usey humne buland muqaam par uthaya tha
Surah Maryam, Verse 57
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ أَنۡعَمَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِم مِّنَ ٱلنَّبِيِّـۧنَ مِن ذُرِّيَّةِ ءَادَمَ وَمِمَّنۡ حَمَلۡنَا مَعَ نُوحٖ وَمِن ذُرِّيَّةِ إِبۡرَٰهِيمَ وَإِسۡرَـٰٓءِيلَ وَمِمَّنۡ هَدَيۡنَا وَٱجۡتَبَيۡنَآۚ إِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتُ ٱلرَّحۡمَٰنِ خَرُّواْۤ سُجَّدٗاۤ وَبُكِيّٗا۩
Yeh woh paigambar hain jinpar Allah ne inaam farmaya Adam ki aulad mein se, aur un logon ki nasal se jinhein humne Nooh ke saath kashti par sawaar kiya tha, aur Ibrahim ki nasal se aur Israel ki nasal se aur yeh un logon mein se thay jinko humne hidayat bakshi aur barguzida kiya.Inka haal yeh tha ke jab rehman ki aayat unko sunayi jati to rotey huey sajde mein gir jatey thay
Surah Maryam, Verse 58
۞فَخَلَفَ مِنۢ بَعۡدِهِمۡ خَلۡفٌ أَضَاعُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَٱتَّبَعُواْ ٱلشَّهَوَٰتِۖ فَسَوۡفَ يَلۡقَوۡنَ غَيًّا
Phir inke baad woh nakhalf (degenerate) log inke jaansaheen (sucessors) huey jinhon ne namaz ko zaya kiya aur khwahishat e nafs ki pairwi ki. Pas qareeb hai ke woh gumraahi ke anjaam se do-char hon
Surah Maryam, Verse 59
إِلَّا مَن تَابَ وَءَامَنَ وَعَمِلَ صَٰلِحٗا فَأُوْلَـٰٓئِكَ يَدۡخُلُونَ ٱلۡجَنَّةَ وَلَا يُظۡلَمُونَ شَيۡـٔٗا
Albatta jo tawba karlein aur iman le aayein aur neik amali ikhtiyar karlein woh jannat mein dakhil hongey aur unki zarra barabar haqq talafi na hogi
Surah Maryam, Verse 60
جَنَّـٰتِ عَدۡنٍ ٱلَّتِي وَعَدَ ٱلرَّحۡمَٰنُ عِبَادَهُۥ بِٱلۡغَيۡبِۚ إِنَّهُۥ كَانَ وَعۡدُهُۥ مَأۡتِيّٗا
Inke liye hamesha rehne wali jannatein hain jinka rehman ne apne bandon se dar-purda wada kar rakkha hai aur yaqeenan yeh wada poora hokar rehna hai
Surah Maryam, Verse 61
لَّا يَسۡمَعُونَ فِيهَا لَغۡوًا إِلَّا سَلَٰمٗاۖ وَلَهُمۡ رِزۡقُهُمۡ فِيهَا بُكۡرَةٗ وَعَشِيّٗا
Wahan woh koi behuda baat na sunenge , jo kuch bhi sunenge theek hi sunenge aur unka rizq unhein paiham subh-o-shaam milta rahega
Surah Maryam, Verse 62
تِلۡكَ ٱلۡجَنَّةُ ٱلَّتِي نُورِثُ مِنۡ عِبَادِنَا مَن كَانَ تَقِيّٗا
Yeh hai woh jannat jiska waris hum apne bandon mein se usko banayenge jo parheizgaar raha hai
Surah Maryam, Verse 63
وَمَا نَتَنَزَّلُ إِلَّا بِأَمۡرِ رَبِّكَۖ لَهُۥ مَا بَيۡنَ أَيۡدِينَا وَمَا خَلۡفَنَا وَمَا بَيۡنَ ذَٰلِكَۚ وَمَا كَانَ رَبُّكَ نَسِيّٗا
(Aey Muhammad), hum tumhare Rubb ke hukum ke bagair nahin utra karte, jo kuch hamare aage hai aur jo kuch peechey hai aur jo kuch iske darmiyan mein hai har cheez ka maalik wahi hai aur tumhara Rubb bhoolne wala nahin hai
Surah Maryam, Verse 64
رَّبُّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَا فَٱعۡبُدۡهُ وَٱصۡطَبِرۡ لِعِبَٰدَتِهِۦۚ هَلۡ تَعۡلَمُ لَهُۥ سَمِيّٗا
Woh Rubb hai aasmano ka aur zameen ka aur un saari cheezon ka jo aasman o zameen ke darmiyan hain, pas tum uski bandagi karo aur usi ki bangadi par sabit qadam raho. Kya hai koi hasti tumhare ilm mein iski hum paya (equal in rank to him)
Surah Maryam, Verse 65
وَيَقُولُ ٱلۡإِنسَٰنُ أَءِذَا مَا مِتُّ لَسَوۡفَ أُخۡرَجُ حَيًّا
Insaan kehta hai kya waqai jab main mar chukunga to phir zinda karke nikal laya jaunga
Surah Maryam, Verse 66
أَوَلَا يَذۡكُرُ ٱلۡإِنسَٰنُ أَنَّا خَلَقۡنَٰهُ مِن قَبۡلُ وَلَمۡ يَكُ شَيۡـٔٗا
Kya Insaan ko yaad nahin aata ke hum pehle usko paida kar chuke hain jabke woh kuch bhi na tha
Surah Maryam, Verse 67
فَوَرَبِّكَ لَنَحۡشُرَنَّهُمۡ وَٱلشَّيَٰطِينَ ثُمَّ لَنُحۡضِرَنَّهُمۡ حَوۡلَ جَهَنَّمَ جِثِيّٗا
Tere Rubb ki kasam , hum zaroor un sab ko aur unke saath shayateen ko bhi gher layenge, phir jahannum ke gird laa kar inhein ghutno (knees) ke bal gira denge
Surah Maryam, Verse 68
ثُمَّ لَنَنزِعَنَّ مِن كُلِّ شِيعَةٍ أَيُّهُمۡ أَشَدُّ عَلَى ٱلرَّحۡمَٰنِ عِتِيّٗا
Phir har giroh mein se har us shaks ko chaant lenge (pick out) jo rehman ke muqable mein zyada sarkash bana hua tha
Surah Maryam, Verse 69
ثُمَّ لَنَحۡنُ أَعۡلَمُ بِٱلَّذِينَ هُمۡ أَوۡلَىٰ بِهَا صِلِيّٗا
Phir hum yeh jaante hain ke in mein se kaun sabse badhkar jahannum mein jhonke janey ka mustahiq hai
Surah Maryam, Verse 70
وَإِن مِّنكُمۡ إِلَّا وَارِدُهَاۚ كَانَ عَلَىٰ رَبِّكَ حَتۡمٗا مَّقۡضِيّٗا
Tum mein se koi nahin hai jo jahannum par warid na ho,yeh to ek tai shuda baat hai jisey pura karna tere Rubb ka zimma hai
Surah Maryam, Verse 71
ثُمَّ نُنَجِّي ٱلَّذِينَ ٱتَّقَواْ وَّنَذَرُ ٱلظَّـٰلِمِينَ فِيهَا جِثِيّٗا
Phir hum un logon ko bacha lenge jo (duniya mein ) muttaqi thay aur zalimon ko usi mein gira hua chodh denge
Surah Maryam, Verse 72
وَإِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتُنَا بَيِّنَٰتٖ قَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لِلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَيُّ ٱلۡفَرِيقَيۡنِ خَيۡرٞ مَّقَامٗا وَأَحۡسَنُ نَدِيّٗا
In logon ko jab hamari khuli khuli aayat sunayi jati hain to inkar karne waley iman laney walon se kehte hain “batao, hum dono girohon mein se kaun behtar halat mein hai aur kiski majlisein zyada shandaar hai?”
Surah Maryam, Verse 73
وَكَمۡ أَهۡلَكۡنَا قَبۡلَهُم مِّن قَرۡنٍ هُمۡ أَحۡسَنُ أَثَٰثٗا وَرِءۡيٗا
Halanke insey pehle hum kitni hi aisi qaumo ko halaak kar chuke hain jo insey zyada sar-o-samaan rakhti thin aur zahiri shaan o shaukat mein insey badi hui thi
Surah Maryam, Verse 74
قُلۡ مَن كَانَ فِي ٱلضَّلَٰلَةِ فَلۡيَمۡدُدۡ لَهُ ٱلرَّحۡمَٰنُ مَدًّاۚ حَتَّىٰٓ إِذَا رَأَوۡاْ مَا يُوعَدُونَ إِمَّا ٱلۡعَذَابَ وَإِمَّا ٱلسَّاعَةَ فَسَيَعۡلَمُونَ مَنۡ هُوَ شَرّٞ مَّكَانٗا وَأَضۡعَفُ جُندٗا
Insey kaho, jo shaks gumraahi mein mubtila hota hai usey Rehman dheel diya karta hai, yahan tak ke jab aisey log woh cheez dekh letay hain jiska unse wada kiya gaya hai khwa woh azaab e ilahi ho ya qayamat ki ghadi tab unhein maloom ho jata hai ke kiska haal kharab hai aur kiska jattha (party) kamzor
Surah Maryam, Verse 75
وَيَزِيدُ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ٱهۡتَدَوۡاْ هُدٗىۗ وَٱلۡبَٰقِيَٰتُ ٱلصَّـٰلِحَٰتُ خَيۡرٌ عِندَ رَبِّكَ ثَوَابٗا وَخَيۡرٞ مَّرَدًّا
Iske baraks jo logo raah e raast ikhtiyar karte hain Allah unko raast-rawi mein taraqqi ata farmata hai aur baaqi reh janey wali nekiyan hi tere Rubb ke nazdeek jaza aur anjaam ke aitbaar se behtar hain
Surah Maryam, Verse 76
أَفَرَءَيۡتَ ٱلَّذِي كَفَرَ بِـَٔايَٰتِنَا وَقَالَ لَأُوتَيَنَّ مَالٗا وَوَلَدًا
Phir tu nay dekha us shaks ko jo hamari aayat ko manney se inkar karta hai aur kehta hai ke main to maal aur aulad se nawaza hi jata rahunga
Surah Maryam, Verse 77
أَطَّلَعَ ٱلۡغَيۡبَ أَمِ ٱتَّخَذَ عِندَ ٱلرَّحۡمَٰنِ عَهۡدٗا
Kya usey gaib ka pata chal gaya hai ya usne rehman se koi ahad le rakkha hai
Surah Maryam, Verse 78
كَلَّاۚ سَنَكۡتُبُ مَا يَقُولُ وَنَمُدُّ لَهُۥ مِنَ ٱلۡعَذَابِ مَدّٗا
Hargiz nahin, jo kuch yeh bakhta (boasts of) hai isey hum likh lengey aur iske liye saza mein aur zyada izafa karenge
Surah Maryam, Verse 79
وَنَرِثُهُۥ مَا يَقُولُ وَيَأۡتِينَا فَرۡدٗا
Jis sar-o-samaan aur laao lashkar ka yeh zikr kar raha hai woh sab hamare paas reh jayega aur yeh akela hamare saamne hazir hoga
Surah Maryam, Verse 80
وَٱتَّخَذُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ ءَالِهَةٗ لِّيَكُونُواْ لَهُمۡ عِزّٗا
In logon ne Allah ko chodh kar apne kuch khuda bana rakkhey hain taa-ke woh inke pushtebaan (supporters) hon
Surah Maryam, Verse 81
كَلَّاۚ سَيَكۡفُرُونَ بِعِبَادَتِهِمۡ وَيَكُونُونَ عَلَيۡهِمۡ ضِدًّا
Koi pushtebaan na hoga, woh sab inki ibadat ka inkar karenge aur ultey inke mukhalif ban jayenge
Surah Maryam, Verse 82
أَلَمۡ تَرَ أَنَّآ أَرۡسَلۡنَا ٱلشَّيَٰطِينَ عَلَى ٱلۡكَٰفِرِينَ تَؤُزُّهُمۡ أَزّٗا
Kya tum dekhte nahin ho ke humne in munkireen e haqq par shayateen chodh rakkhey hain jo inhein khoob khoob (mukhalifat e haqq par) uksa rahey hain
Surah Maryam, Verse 83
فَلَا تَعۡجَلۡ عَلَيۡهِمۡۖ إِنَّمَا نَعُدُّ لَهُمۡ عَدّٗا
Accha, to ab inpar nuzul e azaab ke liye betaab na ho, hum inke din gin rahey hain
Surah Maryam, Verse 84
يَوۡمَ نَحۡشُرُ ٱلۡمُتَّقِينَ إِلَى ٱلرَّحۡمَٰنِ وَفۡدٗا
Woh din aane wala hai jab muttaqi logon ko hum mehmaano ki tarah rehman ke huzur pesh karenge
Surah Maryam, Verse 85
وَنَسُوقُ ٱلۡمُجۡرِمِينَ إِلَىٰ جَهَنَّمَ وِرۡدٗا
Aur mujreemon ko pyase jaanwaron ki tarah jahannum ki taraf haank le jayenge
Surah Maryam, Verse 86
لَّا يَمۡلِكُونَ ٱلشَّفَٰعَةَ إِلَّا مَنِ ٱتَّخَذَ عِندَ ٱلرَّحۡمَٰنِ عَهۡدٗا
Us waqt log koi sifarish laney par qaadir na honge bajuz uske jisne Rehman ke huzur se parwana hasil karliya ho
Surah Maryam, Verse 87
وَقَالُواْ ٱتَّخَذَ ٱلرَّحۡمَٰنُ وَلَدٗا
Woh kehte hain ke rehman ne kisi ko beta bana liya hai
Surah Maryam, Verse 88
لَّقَدۡ جِئۡتُمۡ شَيۡـًٔا إِدّٗا
Sakht behuda baat hai jo tum log ghadh laye ho
Surah Maryam, Verse 89
تَكَادُ ٱلسَّمَٰوَٰتُ يَتَفَطَّرۡنَ مِنۡهُ وَتَنشَقُّ ٱلۡأَرۡضُ وَتَخِرُّ ٱلۡجِبَالُ هَدًّا
Qareeb hai ke aasmaan phatt padein, zameen shaqq ho jaye (split asunder) aur pahad gir jayein
Surah Maryam, Verse 90
أَن دَعَوۡاْ لِلرَّحۡمَٰنِ وَلَدٗا
Is baat par ke logon ne Rehman ke liye aulad honay ka dawa kiya
Surah Maryam, Verse 91
وَمَا يَنۢبَغِي لِلرَّحۡمَٰنِ أَن يَتَّخِذَ وَلَدًا
Rehman ki yeh shaan nahin hai ke woh kisi ko beta banaye
Surah Maryam, Verse 92
إِن كُلُّ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ إِلَّآ ءَاتِي ٱلرَّحۡمَٰنِ عَبۡدٗا
Zameen aur aasmaano ke andar jo bhi hain sab uske huzoor bandon ki haisiyat se pesh honay waley hain
Surah Maryam, Verse 93
لَّقَدۡ أَحۡصَىٰهُمۡ وَعَدَّهُمۡ عَدّٗا
Sab par woh muheet (encircled) hai aur usne unko shumaar kar rakkha hai
Surah Maryam, Verse 94
وَكُلُّهُمۡ ءَاتِيهِ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ فَرۡدًا
Sab qayamat ke roz fardan fardan (akele akele) uske saamne hazir hongey
Surah Maryam, Verse 95
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ سَيَجۡعَلُ لَهُمُ ٱلرَّحۡمَٰنُ وُدّٗا
Yaqeenan jo log iman le aaye hain aur amal e saleh kar rahey hain anqareeb Rehman unke liye dilon mein muhabbat paida kardega
Surah Maryam, Verse 96
فَإِنَّمَا يَسَّرۡنَٰهُ بِلِسَانِكَ لِتُبَشِّرَ بِهِ ٱلۡمُتَّقِينَ وَتُنذِرَ بِهِۦ قَوۡمٗا لُّدّٗا
Pas (aey Muhammad) , is kalam ko humne aasaan karke tumhari zubaan mein isi liye nazil kiya hai ke tum parheizgaron ko khush khabri dedo aur hat-dharm (jhagdalu/obdurate) logon ko dara do
Surah Maryam, Verse 97
وَكَمۡ أَهۡلَكۡنَا قَبۡلَهُم مِّن قَرۡنٍ هَلۡ تُحِسُّ مِنۡهُم مِّنۡ أَحَدٍ أَوۡ تَسۡمَعُ لَهُمۡ رِكۡزَۢا
Insey pehle hum kitni hi qaumon ko halaak kar chuke hain, phir aaj kahin tum unka nishaan patey ho, ya unki bhanak bhi kahin sunayi deti hai
Surah Maryam, Verse 98