Surah Al-Baqara Verse 102 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَٱتَّبَعُواْ مَا تَتۡلُواْ ٱلشَّيَٰطِينُ عَلَىٰ مُلۡكِ سُلَيۡمَٰنَۖ وَمَا كَفَرَ سُلَيۡمَٰنُ وَلَٰكِنَّ ٱلشَّيَٰطِينَ كَفَرُواْ يُعَلِّمُونَ ٱلنَّاسَ ٱلسِّحۡرَ وَمَآ أُنزِلَ عَلَى ٱلۡمَلَكَيۡنِ بِبَابِلَ هَٰرُوتَ وَمَٰرُوتَۚ وَمَا يُعَلِّمَانِ مِنۡ أَحَدٍ حَتَّىٰ يَقُولَآ إِنَّمَا نَحۡنُ فِتۡنَةٞ فَلَا تَكۡفُرۡۖ فَيَتَعَلَّمُونَ مِنۡهُمَا مَا يُفَرِّقُونَ بِهِۦ بَيۡنَ ٱلۡمَرۡءِ وَزَوۡجِهِۦۚ وَمَا هُم بِضَآرِّينَ بِهِۦ مِنۡ أَحَدٍ إِلَّا بِإِذۡنِ ٱللَّهِۚ وَيَتَعَلَّمُونَ مَا يَضُرُّهُمۡ وَلَا يَنفَعُهُمۡۚ وَلَقَدۡ عَلِمُواْ لَمَنِ ٱشۡتَرَىٰهُ مَا لَهُۥ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ مِنۡ خَلَٰقٖۚ وَلَبِئۡسَ مَا شَرَوۡاْ بِهِۦٓ أَنفُسَهُمۡۚ لَوۡ كَانُواْ يَعۡلَمُونَ
Aur lagey un cheezon ki pairwi karne jo shayateen Sulaiman ki sultanat ka naam lekar pesh kiya karte thay, halaanke Sulaiman ne kabhi kufr nahin kiya, kufr ke murtaqib to woh shayateen thay jo logon ko jaadugari ki taleem dete thay.Woh pichey padey us cheez ke jo babil (babylon) mein do Farishton, Harut o Marut par nazil ki gayi thi, halaanke woh (Farishtey) jab bhi kisi ko uski taleem dete thay to pehle saaf taur par mutanabbey (warn) kardiya karte thay ke “dekh, hum mehaz ek aazmaish hain, tu kufr mein mubtila na ho”.Phir bhi yeh log unse woh cheez seekhte thay jissey shohar aur biwi mein judai daal dein, zaahir tha ke izan e ilahi ke bagair woh is zariye se kisi ko bhi zarar (harm) na pahuncha sakte thay, magar iske bawajood woh aisi cheez seekhte thay jo khud inke liye nafa baksh nahin, balke nuqsan-de thi aur unhein khoob maloom tha ke jo is cheez ka khareedar bana uske liye aakhirat mein koi hissa nahin. Kitni buri mataa thi jiske badle unhon ne apni jaano ko bech dala, kaash unhein maloom hota