Surah Al-Baqara Verse 126 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَإِذۡ قَالَ إِبۡرَٰهِـۧمُ رَبِّ ٱجۡعَلۡ هَٰذَا بَلَدًا ءَامِنٗا وَٱرۡزُقۡ أَهۡلَهُۥ مِنَ ٱلثَّمَرَٰتِ مَنۡ ءَامَنَ مِنۡهُم بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِۚ قَالَ وَمَن كَفَرَ فَأُمَتِّعُهُۥ قَلِيلٗا ثُمَّ أَضۡطَرُّهُۥٓ إِلَىٰ عَذَابِ ٱلنَّارِۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ
Aur yeh ke Ibrahim ne dua ki: “Aey mere Rubb, is shehar ko aman ka shehar bana dey, aur iske bashindon (people) mein jo Allah aur aakhirat ko maanein, unhein har qism ke phalon ka rizq de”. Jawab mein uske Rubb ne farmaya: “aur jo na maanega ,duniya ki chandh roza zindagi ka samaan to main usey bhi dunga magar aakhir e kaar usey azaab e jahannum ki taraf ghaseetunga, aur woh badhtareen thikana hai”