Surah Al-Baqara Verse 133 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraأَمۡ كُنتُمۡ شُهَدَآءَ إِذۡ حَضَرَ يَعۡقُوبَ ٱلۡمَوۡتُ إِذۡ قَالَ لِبَنِيهِ مَا تَعۡبُدُونَ مِنۢ بَعۡدِيۖ قَالُواْ نَعۡبُدُ إِلَٰهَكَ وَإِلَٰهَ ءَابَآئِكَ إِبۡرَٰهِـۧمَ وَإِسۡمَٰعِيلَ وَإِسۡحَٰقَ إِلَٰهٗا وَٰحِدٗا وَنَحۡنُ لَهُۥ مُسۡلِمُونَ
Phir kya tum us waqt maujood thay jab Yakub is duniya se ruksat ho raha tha? Usne marte waqt apne bacchon se pucha: “ bacchon! Mere baad tum kiski bandagi karoge?” un sab ne jawab diya : “ hum usi ek khuda ki bandagi karenge jisey aap ne aur aapke buzurgon Ibrahim, Ismail, aur Ishaq ne khuda maana hai aur hum usi ke muslim hain”