Surah Al-Baqara Verse 133 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Baqaraأَمۡ كُنتُمۡ شُهَدَآءَ إِذۡ حَضَرَ يَعۡقُوبَ ٱلۡمَوۡتُ إِذۡ قَالَ لِبَنِيهِ مَا تَعۡبُدُونَ مِنۢ بَعۡدِيۖ قَالُواْ نَعۡبُدُ إِلَٰهَكَ وَإِلَٰهَ ءَابَآئِكَ إِبۡرَٰهِـۧمَ وَإِسۡمَٰعِيلَ وَإِسۡحَٰقَ إِلَٰهٗا وَٰحِدٗا وَنَحۡنُ لَهُۥ مُسۡلِمُونَ
kya (hazrath) Yaqub ke inteqaal ke waqth tum maujod thein? jab unhone apni aulaad ko kaha ke mere baadh tum kis ki ibdath karoge? to sab ne jawaab diya ke aap ke maboodh ki aur aap ke aaba wa ajdaad Ibraheem (alaihissalaam) aur Ismail (alaihissalaam) aur Ishaq (alaihissalaam) ke maboodh ki, jo maboodh ek hee hai aur hum osi ke farmabardaar rahenge