Surah Al-Baqara Verse 164 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraإِنَّ فِي خَلۡقِ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَٱخۡتِلَٰفِ ٱلَّيۡلِ وَٱلنَّهَارِ وَٱلۡفُلۡكِ ٱلَّتِي تَجۡرِي فِي ٱلۡبَحۡرِ بِمَا يَنفَعُ ٱلنَّاسَ وَمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مِن مَّآءٖ فَأَحۡيَا بِهِ ٱلۡأَرۡضَ بَعۡدَ مَوۡتِهَا وَبَثَّ فِيهَا مِن كُلِّ دَآبَّةٖ وَتَصۡرِيفِ ٱلرِّيَٰحِ وَٱلسَّحَابِ ٱلۡمُسَخَّرِ بَيۡنَ ٱلسَّمَآءِ وَٱلۡأَرۡضِ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَعۡقِلُونَ
(Is haqeeqat ko pehchanne ke liye agar koi nishani aur alamat darkaar hai to) jo log aqal se kaam lete hain unke liye asmaano aur zameen ki saakht (creation) mein, raat aur din ke paiham ek dusre ke baad aane mein, un kashtiyon mein jo Insaan ke nafaa ki cheezein liye huey daryaon aur samandaron mein chalti phirti hain, baarish ke us pani mein jisey Allah upar se barsata hai, phir uske zariye se zameen ko zindagi bakshta hai aur apne isi intezam ki badaulat zameen mein har qism ki jaandaar makhlooq ko phaylata hai, hawaon ki gardish mein, aur un baadalon mein jo asmaan aur zameen ke darmiyan tabey farmaan bana kar rakkhey gaye hain, beshumaar nishaniyan hain