Surah Al-Baqara Verse 165 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يَتَّخِذُ مِن دُونِ ٱللَّهِ أَندَادٗا يُحِبُّونَهُمۡ كَحُبِّ ٱللَّهِۖ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَشَدُّ حُبّٗا لِّلَّهِۗ وَلَوۡ يَرَى ٱلَّذِينَ ظَلَمُوٓاْ إِذۡ يَرَوۡنَ ٱلۡعَذَابَ أَنَّ ٱلۡقُوَّةَ لِلَّهِ جَمِيعٗا وَأَنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعَذَابِ
(Magar wehdat e khudawandi par dalalat karne waley in khule khule aasaar ke hotey huey bhi) kuch log aisey hain jo Allah ke siwa dusron ko uska humsar aur madd e muqabil (equals and rivals) banate hain aur unke aisey girwida(adore) hain jaise Allah ke saath girwidgi honi chahiye, halaanke iman rakhne waley log sabse badhkar Allah ko mehboob rakhte hain, kaash jo kuch azaab ko saamne dekhkar unhein soojhne wala hai woh aaj hi in zalimeen ko soojh jaye ke saari taaqatein aur saare ikhtiyaraat Allah hi ke qabze mein hain aur yeh ke Allah saza dene mein bhi bahut sakht hai