Surah Al-Baqara Verse 174 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraإِنَّ ٱلَّذِينَ يَكۡتُمُونَ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ مِنَ ٱلۡكِتَٰبِ وَيَشۡتَرُونَ بِهِۦ ثَمَنٗا قَلِيلًا أُوْلَـٰٓئِكَ مَا يَأۡكُلُونَ فِي بُطُونِهِمۡ إِلَّا ٱلنَّارَ وَلَا يُكَلِّمُهُمُ ٱللَّهُ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ وَلَا يُزَكِّيهِمۡ وَلَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٌ
Haqq yeh hai ke jo log un ehkam ko chupate hain jo Allah ne apni kitab mein nazil kiye hain aur thode se duniyavi faiydon par unhein bhent chadhate hain woh darasal apne pait aag se bhar rahey hain , qayamat ke roz Allah hargiz unse baat na karega, na unhein pakeeza therayega, aur unke liye dardnaak saza hai