Surah Al-Baqara Verse 173 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraإِنَّمَا حَرَّمَ عَلَيۡكُمُ ٱلۡمَيۡتَةَ وَٱلدَّمَ وَلَحۡمَ ٱلۡخِنزِيرِ وَمَآ أُهِلَّ بِهِۦ لِغَيۡرِ ٱللَّهِۖ فَمَنِ ٱضۡطُرَّ غَيۡرَ بَاغٖ وَلَا عَادٖ فَلَآ إِثۡمَ عَلَيۡهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٌ
Allah ki taraf se agar koi pabandi tumpar hai to woh yeh hai ke murdaar na khao, khoon se aur suwar (swine) ke gosht se parheiz karo aur koi aisi cheez na khao jispar Allah ke siwa kisi aur ka naam liya gaya ho, haan jo shaks majboori ki haalat mein ho aur woh inmein se koi cheez kha le bagair iske ke woh kanoon shikani ka irada rakhta ho ya zaroorat ki hadd se tajawuz karey, to uspar kuch gunaah nahin. Allah bakshne wala aur reham karne wala hai