Surah Al-Baqara Verse 177 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqara۞لَّيۡسَ ٱلۡبِرَّ أَن تُوَلُّواْ وُجُوهَكُمۡ قِبَلَ ٱلۡمَشۡرِقِ وَٱلۡمَغۡرِبِ وَلَٰكِنَّ ٱلۡبِرَّ مَنۡ ءَامَنَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةِ وَٱلۡكِتَٰبِ وَٱلنَّبِيِّـۧنَ وَءَاتَى ٱلۡمَالَ عَلَىٰ حُبِّهِۦ ذَوِي ٱلۡقُرۡبَىٰ وَٱلۡيَتَٰمَىٰ وَٱلۡمَسَٰكِينَ وَٱبۡنَ ٱلسَّبِيلِ وَٱلسَّآئِلِينَ وَفِي ٱلرِّقَابِ وَأَقَامَ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتَى ٱلزَّكَوٰةَ وَٱلۡمُوفُونَ بِعَهۡدِهِمۡ إِذَا عَٰهَدُواْۖ وَٱلصَّـٰبِرِينَ فِي ٱلۡبَأۡسَآءِ وَٱلضَّرَّآءِ وَحِينَ ٱلۡبَأۡسِۗ أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ صَدَقُواْۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُتَّقُونَ
Neki yeh nahin hai ke tumne apne chehre mashriq (east) ki taraf karliye ya magrib(west) ki taraf, balke neki yeh hai ke aadmi Allah ko aur yaum e aakhir aur malaika ko aur Allah ki nazil ki hui kitab aur uske paighambaron ko dil se maane aur Allah ki muhabbat mein apna dil pasand maal rishtedaaron aur yateemon par, miskeeno aur musafiron par, madad ke liye haath phaylane walon par aur ghulamo ki rihayi par kharch karey, namaz qayam karey aur zakaat de aur neik woh log hain ke jab ahad karein to usey wafa karein, aur tanggi o museebat ke waqt mein aur haqq o baatil ki jung mein sabr karein, yeh hain raast baaz log aur yahi log muttaqi (pious) hain