Surah Al-Baqara Verse 178 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraيَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ كُتِبَ عَلَيۡكُمُ ٱلۡقِصَاصُ فِي ٱلۡقَتۡلَىۖ ٱلۡحُرُّ بِٱلۡحُرِّ وَٱلۡعَبۡدُ بِٱلۡعَبۡدِ وَٱلۡأُنثَىٰ بِٱلۡأُنثَىٰۚ فَمَنۡ عُفِيَ لَهُۥ مِنۡ أَخِيهِ شَيۡءٞ فَٱتِّبَاعُۢ بِٱلۡمَعۡرُوفِ وَأَدَآءٌ إِلَيۡهِ بِإِحۡسَٰنٖۗ ذَٰلِكَ تَخۡفِيفٞ مِّن رَّبِّكُمۡ وَرَحۡمَةٞۗ فَمَنِ ٱعۡتَدَىٰ بَعۡدَ ذَٰلِكَ فَلَهُۥ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Aey logon jo iman laye ho, tumhare liye qatal ke muqaddamo mein qisas (retribution) ka hukum likh diya gaya hai. Azad aadmi ne qatal kiya ho to us azad hi se badla liya jaye, ghulam qatil ho to woh ghulam hi qatal kiya jaye, aur aurat is jurm ki murtakib ho to us aurat hi se qisas liya jaye, haan agar kisi qatil ke saath iska bhai kuch narmi karne ke liye tayyar ho to maroof tareeqe ke mutabiq khoon baha (blood money) ka tasfiya hona chahiye aur qatil ko lazim hai ke raasti ke saath khoon baha ada karey, yeh tumhare Rubb ki taraf se takhfif aur rehmat hai, ispar bhi jo zyadati karey uske liye dardnaak saza hai