Surah Al-Baqara Verse 185 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraشَهۡرُ رَمَضَانَ ٱلَّذِيٓ أُنزِلَ فِيهِ ٱلۡقُرۡءَانُ هُدٗى لِّلنَّاسِ وَبَيِّنَٰتٖ مِّنَ ٱلۡهُدَىٰ وَٱلۡفُرۡقَانِۚ فَمَن شَهِدَ مِنكُمُ ٱلشَّهۡرَ فَلۡيَصُمۡهُۖ وَمَن كَانَ مَرِيضًا أَوۡ عَلَىٰ سَفَرٖ فَعِدَّةٞ مِّنۡ أَيَّامٍ أُخَرَۗ يُرِيدُ ٱللَّهُ بِكُمُ ٱلۡيُسۡرَ وَلَا يُرِيدُ بِكُمُ ٱلۡعُسۡرَ وَلِتُكۡمِلُواْ ٱلۡعِدَّةَ وَلِتُكَبِّرُواْ ٱللَّهَ عَلَىٰ مَا هَدَىٰكُمۡ وَلَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
Ramazan woh mahina hai jismein Quran nazil kiya gaya jo Insaano ke liye sarasar hidayat hai aur aisi wazey taleemaat par mushtamil hai jo raah e raast dikhane wali aur haqq o baatil ka farq khol kar rakh dene wali hai, lihaza ab se jo shaks is mahine ko paye usko lazim hai ke is poorey mahine ke roze rakkhey aur jo koi mareez ho ya safar par ho to woh dusre dino mein rozon ki tadaad poori karey. Allah tumhare saath narmi karna chahta hai, sakhti karna nahin chahta, isliye yeh tareeqa tumhein bataya jaa raha hai taa-ke tum rozon ki tadaad poori kar sako aur jis hidayat se Allah ne tumhein sarfaraz kiya hai uspar Allah ki kibriyayi ka izhar o aitraf karo aur shukarguzar bano