Surah Al-Baqara Verse 189 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqara۞يَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلۡأَهِلَّةِۖ قُلۡ هِيَ مَوَٰقِيتُ لِلنَّاسِ وَٱلۡحَجِّۗ وَلَيۡسَ ٱلۡبِرُّ بِأَن تَأۡتُواْ ٱلۡبُيُوتَ مِن ظُهُورِهَا وَلَٰكِنَّ ٱلۡبِرَّ مَنِ ٱتَّقَىٰۗ وَأۡتُواْ ٱلۡبُيُوتَ مِنۡ أَبۡوَٰبِهَاۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ
Log tumse chand ki ghathti badhti suraton ke mutaaliq puchte hain, kaho : yeh logon ke liye taarekon ki taayin ki aur hajj ki alamatein hain. Neiz unsey kaho : yeh koi neki ka kaam nahin hai ke apne gharon mein pichey ki taraf daakhil hote ho, neki to asal mein yeh hai ke aadmi Allah ki naraazi se bachey, lihaza tum apne gharon mein darwaze hi se aaya karo, albatta Allah se darte raho shayad ke tumhein falaah naseeb ho jaye