Surah Al-Baqara Verse 189 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Baqara۞يَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلۡأَهِلَّةِۖ قُلۡ هِيَ مَوَٰقِيتُ لِلنَّاسِ وَٱلۡحَجِّۗ وَلَيۡسَ ٱلۡبِرُّ بِأَن تَأۡتُواْ ٱلۡبُيُوتَ مِن ظُهُورِهَا وَلَٰكِنَّ ٱلۡبِرَّ مَنِ ٱتَّقَىٰۗ وَأۡتُواْ ٱلۡبُيُوتَ مِنۡ أَبۡوَٰبِهَاۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ
log aap se chaand ke baare mein sawaal karte hai, aap kehdi jiye ke ye logo (ki ibaadath) ke waqto aur haj ke mausam ke liye hai (ehram ki haalath mein) aur gharo ke piche se tumhaara aana kuch neki nahi, balke neki waala wo hai jo muttaqi ho, aur gharo mein to darwaazo mein se aaya karo, aur Allah se darte raho, ta ke tum kamyaab ho jaao