Surah Al-Baqara Verse 240 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَٱلَّذِينَ يُتَوَفَّوۡنَ مِنكُمۡ وَيَذَرُونَ أَزۡوَٰجٗا وَصِيَّةٗ لِّأَزۡوَٰجِهِم مَّتَٰعًا إِلَى ٱلۡحَوۡلِ غَيۡرَ إِخۡرَاجٖۚ فَإِنۡ خَرَجۡنَ فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ فِي مَا فَعَلۡنَ فِيٓ أَنفُسِهِنَّ مِن مَّعۡرُوفٖۗ وَٱللَّهُ عَزِيزٌ حَكِيمٞ
Tum mein se jo log wafaat payein aur pichey biwiyan chodh rahey hon, unko chahiye ke apni biwiyon ke haqq mein yeh wasiyat kar jayein ke ek saal tak unko naan-o-nafaqa (maintenance) diya jaye aur woh ghar se na nikali jayein. Phir agar woh khud nikal jayein to apni zaat ke maamle mein maroof tareeqe se woh jo kuch bhi karein uski koi zimmedari tumpar nahin hai. Allah sab par gaalib iqtedar rakhne wala aur hakeem o daana hai