Surah Al-Baqara Verse 25 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَبَشِّرِ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ أَنَّ لَهُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۖ كُلَّمَا رُزِقُواْ مِنۡهَا مِن ثَمَرَةٖ رِّزۡقٗا قَالُواْ هَٰذَا ٱلَّذِي رُزِقۡنَا مِن قَبۡلُۖ وَأُتُواْ بِهِۦ مُتَشَٰبِهٗاۖ وَلَهُمۡ فِيهَآ أَزۡوَٰجٞ مُّطَهَّرَةٞۖ وَهُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
Aur (aey paighambar), jo log is kitab par iman le aaye aur (iske mutabiq) apne aamaal durust karlein, unhein khushkhabri dedo ke unke liye aisey baagh hain, jinke nichey nehrein behti hongi. Un baaghon ke phal surat mein duniya ke phalon se miltey jhulte honge, jab koi phal unhein khane ko diya jayega, to woh kahenge ke aisey hi phal issey pehle duniya mein humko diye jatay thay. Unke liye wahan pakeeza biwiyan hongi, aur woh wahan hamesha rahenge