Surah Al-Baqara Verse 26 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqara۞إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَسۡتَحۡيِۦٓ أَن يَضۡرِبَ مَثَلٗا مَّا بَعُوضَةٗ فَمَا فَوۡقَهَاۚ فَأَمَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ فَيَعۡلَمُونَ أَنَّهُ ٱلۡحَقُّ مِن رَّبِّهِمۡۖ وَأَمَّا ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فَيَقُولُونَ مَاذَآ أَرَادَ ٱللَّهُ بِهَٰذَا مَثَلٗاۘ يُضِلُّ بِهِۦ كَثِيرٗا وَيَهۡدِي بِهِۦ كَثِيرٗاۚ وَمَا يُضِلُّ بِهِۦٓ إِلَّا ٱلۡفَٰسِقِينَ
Haan, Allah issey hargiz nahin sharmata ke machhar ya issey bhi haqeer-tar (insignificant) kisi cheez ki tamseelein (examples) de. Jo log haqq baat ko qabool karne waley hain , woh inhi tamseelon ko dekh kar jaan lete hain ke yeh haqq hai jo unke Rubb hi ki taraf se aaya hai, aur jo maanne waley nahin hain, woh inhein sunkar kehne lagte hain ke aisi tamseelon se Allah ko kya sarokar? Is tarah Allah ek hi baat se bahuton ko gumraahi mein mubtila kardeta hai aur bahuton ko raah e raast dikha deta hai. Aur gumraahi mein woh unhi ko mubtila karta hai jo faasiq hain