Surah Al-Baqara Verse 256 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraلَآ إِكۡرَاهَ فِي ٱلدِّينِۖ قَد تَّبَيَّنَ ٱلرُّشۡدُ مِنَ ٱلۡغَيِّۚ فَمَن يَكۡفُرۡ بِٱلطَّـٰغُوتِ وَيُؤۡمِنۢ بِٱللَّهِ فَقَدِ ٱسۡتَمۡسَكَ بِٱلۡعُرۡوَةِ ٱلۡوُثۡقَىٰ لَا ٱنفِصَامَ لَهَاۗ وَٱللَّهُ سَمِيعٌ عَلِيمٌ
Deen ke maamle mein koi zoar zabardasti nahin hai, saheeh baat galat khayalat se alag chaant kar rakh di gayi hai, ab jo koi taagut ka inkar karke Allah par iman le aaya, usne ek aisa mazboot sahara thaam liya jo kabhi tootne wala nahin, aur Allah ( jiska sahara usne liya hai) sabkuch sunne aur jaanne wala hai