Surah Al-Baqara Verse 283 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqara۞وَإِن كُنتُمۡ عَلَىٰ سَفَرٖ وَلَمۡ تَجِدُواْ كَاتِبٗا فَرِهَٰنٞ مَّقۡبُوضَةٞۖ فَإِنۡ أَمِنَ بَعۡضُكُم بَعۡضٗا فَلۡيُؤَدِّ ٱلَّذِي ٱؤۡتُمِنَ أَمَٰنَتَهُۥ وَلۡيَتَّقِ ٱللَّهَ رَبَّهُۥۗ وَلَا تَكۡتُمُواْ ٱلشَّهَٰدَةَۚ وَمَن يَكۡتُمۡهَا فَإِنَّهُۥٓ ءَاثِمٞ قَلۡبُهُۥۗ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ عَلِيمٞ
Agar tum safar ki haalat mein ho aur dastawez likhne ke liye koi kaatib (scribe) na miley to rehan bil qabz (security of a pledge in hand ) par maamla karo, agar tum mein se koi shaks dusre par bharosa karke iske saath koi maamla karey to jispar bharosa kiya gaya hai usey chahiye ke amanat ada karey aur Allah apne Rubb se darey aur shahadat hargiz na chupao. Jo shahadat chupata hai uska dil gunaah mein aaluda hai aur Allah tumhare aamaal se bekhabar nahin hai