Surah Al-Baqara Verse 283 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Baqara۞وَإِن كُنتُمۡ عَلَىٰ سَفَرٖ وَلَمۡ تَجِدُواْ كَاتِبٗا فَرِهَٰنٞ مَّقۡبُوضَةٞۖ فَإِنۡ أَمِنَ بَعۡضُكُم بَعۡضٗا فَلۡيُؤَدِّ ٱلَّذِي ٱؤۡتُمِنَ أَمَٰنَتَهُۥ وَلۡيَتَّقِ ٱللَّهَ رَبَّهُۥۗ وَلَا تَكۡتُمُواْ ٱلشَّهَٰدَةَۚ وَمَن يَكۡتُمۡهَا فَإِنَّهُۥٓ ءَاثِمٞ قَلۡبُهُۥۗ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ عَلِيمٞ
aur agar tum safar mein ho aur likhne waala na paao to rehen qabza mein rakh liya karo, haan agar aapas mein ek dosre se mutma-in ho, to jise amaanat di gayi hai wo ose adaa karde aur Allah ta’ala se darta rahe jo us ka rab hai aur gawaahi ko na chupaao, aur jo ose chupaale wo gunehgaar dil waala hai aur jo kuch tum karte ho ose Allah ta’ala qoob jaanta hai